Khushnuma...

11 4 2
                                    

Aksar zehn-e-aks me purani parchhaiya dhundte he.
Rubaroo hote he kuch khusnuma pal.
Muskura kar Unhe chhune ke liye jab haath badhaya,

Kho diya.

Khaali hatheli dekh, aankho ko kuch taras aaya.
Palak jhapkate hi khaalipan ko aansuo se bar diya.

Labo ne mushkura kar, nam aankho ko apni naadaani yaad dilai.
Hatheli or chehre ko el aur baar khaalipan ki baarish me bhiga kar,
Ek baar phir se zehn-e-aks ko khangala,
Is baar kuch nagawaar si yaadein thi saamne.
Humne haatho ko simat liya,
Dil ki dhandkano ko ahista karne ke liye,
Galati se kahi un kadoorat yaadon ko chhu na le.

Unki aawaaz ne hame itminaan diya.
Phir aankhein nam hui,
Phir chehra bhig gaya.
Tab ehsaas huwa ye pal bhi to kitne
Khusnama
he...



AARZOO/DESIRESWhere stories live. Discover now