Chehre ki ye haseen murkiya,
Ek haseen soor chher deti he.Gaalo aise surkh kar jaate he,
Jaise surkhaab k par lage ho.Chhote bache ki tarah is dil ko behla jaate he kabhi
To kabhi rim jhim barish si baras khwaabo ko bhigote he.
Kuch hasi k jaal ko aise bunte he ki khudi to dur ki baat he, khuda bhula dete he.
Kuch to hasee ko itna mitha bana dete he ki shakkar ko parda laazim ho.
Kuch bhi ho hasee ek aisa elaaj he, jise marz thik hona qaida he,
Sajaye rakhiyega hotho pe janab,
Is me bara faayeda he.
YOU ARE READING
AARZOO/DESIRES
DiversosA hindi poem collection written straight from my heart, with its English translation. Gift for Sona, love, haffi, lallan and my cruella.