A ghazal by Wasi Shah:-
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai....Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta'alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..
YOU ARE READING
Urdu Poetry
PoetryThe collection of the poetry in this whole book are not my works and are taken from either different books or internet websites... so the credit completely goes to the writers and poets and not me... The book also contains works of very popular and...