The second Khalifa!💎

104 16 8
                                    

The second Khalifa( خليفه ثاني): Khalifa e Dom Hazrat Umar Farooq R.A Ka Shumar Ashra Mubashra Sahaba Karam Main Hota Hai, Ap r.a ashraf e Quraish apni zati aur khandani wajahat ke aitebar se mumtaz aur buland martaba hasiyat rakhte hain, Ap r.a Sarkar e Madinah s.a.w.we ke khusar hain, Ap r.a ki kunniyat Abu Hifaz, Laqab Farooq e Azam aur Ism Mubarak UMAR - R.A hai.

Line age (سلسله نسب): Ap r.a ka silsalay nasab yeh hai. Umar bin Khattab bin Nufail bin Abdul aza'a bin Abdullah bin Qart bin Zarah bin Ad'i bin Ka'ab bin Lo'ee.

Athween (8th) pusht main Ap r.a ka silsalay nasab Rasool-e-Kareem s.a.w.w. say ja milta hai.

Ap r.a ki walidah majidah ka naam Hatmah bint e Hashim bin Mughairah hai.

Birth (ولادت با سعادت): Ap r.a ki wiladat ba sa'adat hijri Nabvi se chalees(40) baras pehle yani waqia feel ke terah(13) baras baad huvi.

Death/Martyrdom (وفات): Madinah Munawarah main Mughairah bi Sha'aba ka aik nasrani ghulam abu lolo fairoz - L.A (majoosi) rehta tha, jo kh kafir hone ki waja se Sayeduna Ameer ul momineen r.a se bughaz rakhta tha,

aik roz budh (Wednesday) ke din Namaz e Fajar ke waqat Musalman Masjid e Nabvi main jama huwe to fairoz L.A bhi aik khanjar (Knife) liye huwe Masjid e Nabvi main dakhil ho gaya, jab Hazrat Umar r.a ne Namaz ki Imamat start ki, Fairoz L.A jo Musalmano ke sath pehli saf main khada tha nikal kar es ne Hazrat Umar Farooq r.a per Khanjer (knife) ke 6 War kiye,

Ap R.A ne foran Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ko apni jaga par Imamat ke liye khada kar dia aur khud zakhmon ke sadme se behosh ho kar gir pade, Hazrat Abdur Rahman bin Awf r.a ne do(2) bht hi choti choti sooraton ke sath Namaz padhai.

Hazrat Umar R.A per hamla karne ke baad Fairoz L.A ne aur Namaziyon per bhi hamla kia, jinho ne is ko bhagte huwe pakadne ki koshish ki is ne 13 afrad ko zakhmi kia jin main se 6 afrad bad main inteqal farma gaye, es waqat aikk Ansari Sahabi ne is per kamble (Blanket) daal dia aur woh os kamble main ulajh gaya es per os ne apne hi khanger se khud kushi kar li.

"Sweet diary "Donde viven las historias. Descúbrelo ahora