So guys the story is starting with small Kartik and naira rest all characters are same and goenka family is very nice and they are good friends of singhania's ..... Kartik is 4 years old and naira is few months younger to Kartik and they are in the same Kindergarten school
Akshara - naira beta plzz idhar aao and khaana Khao
Small cute naira is running
Naira - main Nahi khaungi
Akshara - huff main toh thak gayi iske peeche bhaagte bhaagte.... Suvarna tum kaise sambhalti ho Kartik ko
Suvarna - Kartik bhi kahan khaata Hai khaana akshara main toh pareshaan ho gayi hoon
Akshara - main bhi
Naira - kaaltik meleko pakad ke toh dikhao
(guys mere spelling wrong Nahi Hai I am writing in a way they will pronounce each other's name like small kids do..... So Kartik is kaaltik and naira is naila right now)
Kartik - main he tumhe pakloonga naila... Dekho main he win kalunga yeh game
Naira - Nahi main win kalungi
Kartik - mumma naila ko dekho voh keh Rahi Hai ki voh win karegi but win toh main he karunga
Naira - mumma kaltik bol raha Hai ki usko win karna Hai.... But win toh mereko bhi karna Hai
All adore small kaira fighting
Suhasini dadi - kitne pyaare bache Hain na hamare dekho kitne pyaar se lad Rahe Hain
Bhabima - Haan Suhasini ji kitne pyaare bachen Hai
Kaira look at everyone confused
Akshara - idhar aao bachon
They go to her
Akshara - bachon dekho aap dono friends ho na Aur friendship main toh Koi haar jeet Nahi hoti
Kartik - Aunty haar kya hota hai
Naira - are budhu jo neck main mumma shiny Sa pehnti Hai usse haar kehte Hain (she thought necklace😂)..... Vaise mumma jeet kya hota hai
Kartik - ale pagal hamali class main ek ladka Hai na usse jeet kehte Hain... Matlab voh kehta Hai ki uska naam jeet Hai but
All elders laugh at their innocent talks
Suvarna - bacho jeet ka Matlab hota hai win and haar ka Matlab hota hai loose
Kaira - ohh
Kartik then started laughing
Naira - ale kya hua kaaltik tum Hass kyun Rahe ho
Kartik(laughing) - naila jeet ke mumma papa ne uska naam galat rakh diya Hai
Naira - pal kyun??
Kartik(laughing) - uska naam toh jeet Hai par voh Har game main mujhse haarta Hai
Naira (laughing) - ohh phir toh uska naam haar hona chahiye tha
Then both kaira laugh and Manish enters (actually goenka's and singhania's are very good friends.... They were friends even before kaira were born.... They share a very lovely bond and they even attended each other's marriage)
Kaira runs towards him and Manish hugs both
Manish - kaise ho princess and champ
Naira - main theek hoon Manish uncle
Kartik - main bhi theek hoon papa
Naira - Manish uncle papa abhi tak kyun Nahi aaye.... Main unse baat Nahi kalungi
Manish - main bhi tumhare saath hoon princess hum milkar baat Nahi karenge
Then naitik enter
Naitik - sorry sorry main late ho gaya
Then he sees naira angrily looking somewhere else and Manish is also doing the same
Naitik - kya hua princess..... Aur Manish tumhe kya hua
Manish - batao usse princess
Naira - papa main Aur Manish uncle apse katti hain kyunki aap Hamesha late aate ho
Naitik - kya??
Naira / Manish - Haan
Naitik - chalo maana naira toh bachi Hai par Manish tum bhi.... Akshara tum he inhe batao na
Akshara - main kya bataun naitik main toh khud unki side hoon aap Hamesha late he aate Hain
She also goes and stands with them
While others laugh
Naitik(faking cry) - Matlab Koi meri side Nahi Hai
Kartik - main hoon na aapki side uncle
Then Kartik and naitik does high fi
Naitik - thank you soo much champ
Manish - kahan tum do Aur hum teen
Kartik - hum bhi teen Hain papa
Manish - kaise??
Kartik then goes to suvarna
Kartik - mumma dekho na papa bhi toh Hamesha late aaten Hain and ab naitik uncle thode se late kya ho Gaye
Voh unse katti ho Gaye HainSuvarna - Haan sahi baat Hai.... Khud toh Hamesha aap bahut late aate ho Aur naitik ji thode late kya ho Gaye toh aise mooh phula Liya
Dadi and bhabima laugh seeing them
Dadi - bas bas ab chalo sab khaana khaate Hain
They all eat food
Kartik and naira are having there favorite kachori both take 1 each and now only 1 more is left both touch the kachori together
Naira - Kaaltik yeh kachori main khaungi
Kartik - Nahi naila yeh main khaunga
Suvarna - ofoo.. Bachon vaise toh aap log kuch khaate Nahi ho Aur jab kachori ki baat aati Hai toh kaise lad padhte ho
Akshara - aap dono half- half khaoge..... Friendship main sharing Karni hoti Hai
Kaira - OK
Then they ate half - half kachori
So guys did you like our small and cute kaira...... Plzz vote and comment
I'll continue the small kaira for 2-3 more chapters... And then there will come a big twist
आप पढ़ रहे हैं
kaira - My childhood love ✔️(completed)
FanfictionStory of 2 childhood sweethearts Kartik and naira..... With lovely goenka and singhania family