result day

134 22 10
                                    

I think we all agree ki jis din result aata hai us din sab ki blood pressure high ho jaata hai, saans chadh jati hai, paseene aane lag jaate hai..
In short, band baj jaati hai yaar.
And if you don't agree, then let's just agree to disagree.

***
*On the phone with a friend*

"Mai Barbaad hu yaar kal to. Mere ghar wale mujhe maar daalenge."

"Are itni tension mat le."

"Kaise tension na lu?! Me pakka fail hone wali hu yaar. Papa maar daalenge mujhe. Mere marne ke Baad tu bhoolna mat mujhe."

"Are aisa kuch nahi hoga."

"Dekho to kaun bol raha hai. Tu nahi samjhegi mera Dard..tu har baar top Karti hai. Mummy ne pata nahi kitne rishtedaaro ko Bataya hai result ke baare me"

"Tu bhi na yaar."

Next day

Mummy : beta, result aaya ki nahi?

Papa : kitni baje aa raha hai tumhara result?

Mama : aur result kya Raha?

Bua : pass huye ki nahi?

Result ke din hamare sab rishtedaaro ko hamari yaad aa jaati hai aur vo ye batane ki liye zaroor phone karte hai ki vo Abhi bhi zinda hai
Jaise..
Mummy ke chachere bhai
Papa ki Khumbh ke mele me khoi hui behen
Dadaji ke bhai ke beti
Mummy ke behen ke mausi ki nanand
Himalaya pe ja kar sanyas le chuke uncle

You get the point, right?

Even vo uncle jo ki apne death bed par honge, vo bhi call karke zaroor poochenge..

"Kyu beta *cough* result kya aaya tumhara? *Cough*"

I mean, ab kya Jaan hi le lo bachche ki.

***
If you can relate then hit like and leave a comment!

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jun 26, 2019 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Desi Feelingsजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें