MULAKAT

126 27 51
                                    

*Bohot tez barish ho rahi thi. Bachne ka koi chance nahi tha Swati kisi tarah bachte hue coffee shop me aati hai. Usi coffee shop me jaha Naman hmesha baith kar apne notes banata ya akele me apni diary likhta.*
    .*Coffee shop puri bhari hui thi aur kahi par bhi baithne ki jagah nahi thi. Aur SWATI ko ek jagah chahiye thi baithne ki aur ek garam garam coffee ki.Lekin iske aage kya hua aaiye chalte hain aur padhte hain.😊😊*

Swati: Excuse Me!
Naman: Yes.
Swati: Kya mai yaha baith jau agar aap bura na mane to.?
*Naman k chehre par question mark aa jata hai jise Swati smajh jati hai.*
Swati: Wo actually puri Coffee shop bhari hui hai lekin mujhe aur mujhe baithne ki koi jagah nahi mil rahi hai.Aur yaha apke pas jagah khali hai to..Kya mai bait jau? Please!!

*Swati ki innocent se face ko pata nahi kyu lekin Naman mana nahi kar paya. Aur baithne ki ijazat de di.*

N: Baith jaiye. Waise bhi apko ek garam coffee ki zrurat hai warna aapko thand lag jayegi.
S: Ji shukriya.!!
*Naman kuch bhi nahi kehta aage bas apne kaam me lag jata hai.Aur Swati bhi kuch nahi kehti halanki aadat se majboor wo aage baatein karti hai Naman se lekin uske liye apko next part ka wait karna hoga*

Hello readers,I think story thodi jyada fast ja rahi hai. Aur aapko bhi aisa lagta hai to please mujhe bataiye aur suggest kijiye ki mujhe kaha aur kis tarah se editing ki zrurat hai. Apke suggestions hi mujhe aage ki story likhne ko encourage karenge. Waise next part me thodi masti hone wali hai to bas patience rakhiyega aur aapko ek sweet si love story padhne ko milege. Tab tak k liye Bye, Good Night.😊😊

COFFEE AUR PYARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें