FRIENDSHIP

134 22 91
                                    

*Last part me aap sabne padha ki Naman aur Swati kafi baatein karte hain aur mafi kuch ek dusre k baareme jan lete hain.Waise jyada kuch to nahi hi jaan pate hain lekin phli mulakat k liye utna janna bhi kafi hota hai.Fir Swati ko Naman ki diary dikhti hai aur wo use padhne lagti hai lekin Naman ko uska diary padhna acha nahi lgta hai aur fir gussa ho jata hai aur Swati ko dant deta hai sath hi waha Coffee shop se uth kar chala bhi jata hai.To ab padhte hain ki aage kya hota hai dono k bich.*

*Swati aur Naman dono ek hi college k student hote hain aur Swati jab bhi Naman ko dekhti to avoid krti thi aur Naman ne bhi ye baat notice ki thi.Lekin ek bar dono ek dusre k samane aa hi jate hain aur Naman use raste me hi rok leta hai.Aur usse maafi bhi mangta hai.Waise to Naman college me kisi ladki se baat bhi nahi karta tha lekin yaha usne khud Swati se friendship k liye approach kiya.*

Swati POV:

Ajeeb insan hai.Phle gussa karta hai fir khud hi friendship ka hath badhata hai.Lekin bande ki poetry me kuch to baat hai aur mujhe wo baat janni hai.Abhi friendship kar leti hoon.Jab sari baat samajh aa jayegi to shayad ye akdoo thoda naram bhi pad jaye.* Fir smile karne lagti hai*

*Naman chukti bajate hue Swati k ankhon k samne.*

N: Kaha kho gayi?
S: Ab..Wo...Kahi nahi..
N: Lag to raha tha ki kahi khoyi hui thi.
S: Are wo kuch nahi.
N: Acha..To batao..
S: Kya batau?
N: Are ki tumhe meri friendship manzoor hai ya nahi?
S: Ummmm...Soch kar bataungi..
N: Isme sochna kya hai? Friendship k liye hi pucha hai propose nahi kiya hai..
S: *Kash ki karte*
N: Kuch kaha tumne?
S: Maine...Nah..Bilkul nahi...
N: Okay..To batao...
S: Kyaaa??
N: Ajeeb ladki ho yaar...Choro kuch nahi...

Naman POV:

Ajeeb ladki hai..Pata nahi kaha khoi hui thi.Khair friendship karne ka mann nahi hoga..Ab to mai dobara puchne bhi nahi jane wala..😒😒

Swati POV:

NAMAN really...Mujhse friendship karna chahta tha.Lekin kyu??🤔
Khair baat to usse friendship karne k baad hi pata chalegi na.Koi nai,kal hi mai usse keh dungi ki friendship mujhe accepted hai.Mujhe pata nahi kyu par uske baare me janne ka bohot dil kar rhaa hai.

*Class me Swati ka bilkul bhi dil nahi lgta.Uska dhyan to Naman par tha.Fir uski friend jiska naam ISHIKA tha usse puchti hai ki baat kya hai..Swati kuch nahi kehti.Fir thodi der baad khud hi Ishika se kehti hai yaar wo Naman...Isika ki ankhein badi badi ho jati hain Naman ka naam sun kar...😳😳*

I:Kaha khoi hui hai tu?
S:Kahi nahi.Kyu?
I:Tera dhyan yaha nahi hai.Kuch to baat hai warna meri chulbuli friend chup rahe aisa ho nahi sakta.
S: Ummmm.....Promise kar ye baat tere aur mere bich me rahegi.
I:Okay..Par baat kya hai.?
S:Tu phle promise kar fir mai bataungi tujhe..
I:Okay.Promise..Ab jaldi bata..
S: Yaar wo Naman..
I:Kon Naman?
S: Yaar wahi senior jo hai.
I: Wo handsome guy..Topper??
S: Haan wahi..Usne mujhe friendship k liye approach kiya..
I: Whaaatttt???

*Ishika itni zor se bolti hai ki pure class ka dhyan un dono k taraf chala jata hai aur lecturer ka bhi.*

Lecturer.: Hey!! You girls..What happened?
Ishika: Nothing sir.
Lecturer: Then why you screamed?
Ishika: Wo sir...Wo...Wo... Cockroach...I saw Cockroach behind my desk.
Lecturer: Okay.Just sit and be quite. Don't shout again.Got it..??
Ishika: Yes sir..

*Lecturer aur Ishika ki conversation ko sun kar pura class hasne lagta hai aur Swati k shakal par aayi hui tension relax ho jati hai.Fir Ishika Swati se aage puchti hai ki kya hua..To Swati kehti hai class k baad wo sari baat coffee shop me batayegi..*

Kuch aisi baatein jo Swati ne kisi se share nahi ki aur ab Ishika se share karne ja rahi thi.Akhir kya hoga Ishika ka reaction?Kya wo sab kuch sun kar fir se chillayegi ya fir Swati ko smajhayegi padhenge agle chapter me.Tab tak k liye meri book k sath bane rahiye...😊😊

COFFEE AUR PYARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें