PLANNING

255 15 114
                                    

Hello doston,umeed hai aap sabhi ache honge aur bohot bohot shukriya meri book k chapters ka wait karne k liye.
         Jaisa ki aap sabhi ne last chapter me padha ki Naman ka kuch aisa past hai jo use aaj bhi pareshan karta hai. Swati apne pyar ka izhar karne liye Naman se milti hai lekin kar nahi pati hai.Ishika jo Swati ki bestie hai lekin kuch aise raaz hain jo sirf wahi janti hai. Deepika Ishika ki cousin hai lekin Ishika Naman aur Swati se judi baat use kyu batana chahti hai iska jawab hume is chapter me milega. Aur Naman ka asali gussa to kisi ne dekha bhi nahi tha. Swati ko wo college peeche wale ground me akele chor kar chala jata hai aur Swati bhi apne pyar ka izhar nahi kar pati jise dekh kar Ishika bohot relaxed feel karti hai. Ab aaiye aage padhte hain.

Swati POV:

*Meri kya galti thi jo Naman itna zyada naraz ho gaya.? Kya karoon? Kaise use apni dil ki baat bataon? Mai Naman se beinteha mohabbat karti hoon. Ishika ko sati baat batao ya nahi. Ek wahi hai jisse mai apni har baat share karti hoon. Aur waise bhi Naman se mai pyar karti hoon ye ehsas to usi ne mujhe dilaya hai atleast usse to share karti hoon.*

*Swati Ishika ko call karti hai*

*Swati ka call dekh kar Ishika ko doubt hota hai ki Swati ne abhi kyu call kiya hai. Fir Deepika se puch kar wo call receive karti hai.*

I: Hello.
S: Hello Ishu tu hai kya abhi free.
I: Free???
S: Haan, agar free hai to mere ghar aa ja na abhi please.
I: Kyu,kya hua hai jo itna urgently bula rahi hai?
S: Hai kuch baat jo mai phone par nahi bata sakti.Ek kaam kar tu aaj raat mere ghar hi ruk jaiyo.
I: Tere ghar?? Baat bohot jyada hi serious lagti hai. Acha thk hai mai raat ko 8 baje tak tere ghar pooch jaungi.
S: Okay. Koshish karna agar jaldi aa sake to.
I: Okay. Bye.
S: Bye.

Ishika POV:

Ye matter to bohot jyada sensitive Aur serious ho chuka hai. Isse phle ki matter hath se nikal jaye mai Deepika di se sari baat clear kar loon.

*Ishika Deepika ko call karti hai aur Coffee shop me milne k liye bulati hai*

I: Didiiii..
D: Ishuuuu...Kaise hai re tu?
I: Main to thk hoon.Par jyada der rahoongi nahi.
D: Kyu? Kya hua hai? Sab thk to hai?
I: Di abhi tak to sab thk hai lekin aage kharab hi jayega. Mujhe aapki help chahiye.
D: Haan bol na. Meri behen takleef ne ho aur mai help na karoon aisa thodi hua hai aaj tak??!!
I: Didi...Wo Naman...Aur Swati...
D: Naman...Kya hua hai use? Wo thk to haina? Aur Swati to kal tak mast thi achanak use kya hua? Waise use problem hui hai strange..

*Ishika Deepika ko sara kissa suna deti hai shuru se ant tak. Aur Deepika ka chehra phle to tension me aata hai fir khud hi relaxed ho jati hai wo.*

D: Sun Ishu. Phle ye pata laga ki Swati aur Naman ek dusre ko chahte hain ya nahi.?
I: Di Swati ka to mai bata sakti hoon ki wo Naman se bohot pyar karti hai lekin Naman k baare me koi idea nahi hai mujhe.
D: Acha mtlb hmara half kaam to asan hai half kaam tough actually bohot tough. Kyuki Naman ki feelings ko janna sher k muh me gardan dene k barabar hai.
I: Di ye to mujhe bhi pata hai.Wo hmesha se aisa hi tha kya? Tum to use bohot ache se janti ho aaj to mujhe saari baat bata do warna mai Swati ki help nahi kar paungi.Waise bhi mai apse kitni baar puch chuki hoon.
D: Mujhe bhi ab aisa lagta hai ki tujhe sab sach batana hi padega. To sun le aaj tu bhi puri baat.
Naman aur mai best friends the tujhe sirf itna pata hai asal me baat isse kahi jyada thi.Naman aur Mai ek dusre se bohot pyar karte the. Actually pyar sirf uske taraf se tha mere liye infatuation tha wo par mujhe realise tab hua jan mai Arush se mili. Par maine kabhi bhi Naman ka bura nahi chaha aaj bhi use kabhi bhi meri zrurat pade to mai uske help k liye ready hoon par wo meri to kya kisi ki bhi help nahi lena chahta hai.
I: Di kuch to tarika hoga na pata lagane ka ki Naman Swati ko pasand karta bhi hai ya nahi?
D: Isme Arush help kar sakta hai. Lekin problem ye hai ki kya Swati manegi jo idea mai tujhe keh rahi hoon.
I: Aap bas idea batao Swati ko to mai pata loongi.
D: Jealousy!!
I: Jealousy?? Mai kuch samjhi nahi.
D: Swati ko Naman k samne tu Arush se milwayegi fir mai tujhe ishara karungi ki tu Swati se kehna wo Arush ko hug kare.Agar Naman ko fark pada it means wo Swati ko pasand karta hai aur agar kuch bhi fark nahi pada then Naman ko dusre tarah se manana hoga.
I: What an idea Diiii...Love you a lot...Kya idea di ho tum. *Coffee shop me Ishika nachne lagti hai aur sab use dekhne lagte hain. Aur Deepika khich kar use baithati hai aur pyar se jhidki deti hai.*

I: Di ab hum log chalte hain aur Swati se baat karte hain.
D: Nahi Ishu mai jaungi to Swati pata nahi kya soche mere bare me. Sach janne khaas to wo aur bhi royegi. Bohot hi chulbuli ladki hai mujhe pata hai par dil se bohot sensitive hai.
I: Di aisa kuch bhi nahi hoga aap chalo to. Waise bhi aap ye sab usi k liye tomar rahe ho.
D: Sach batau tujhe Ishu. Ye mai sirf uske liye nahi Naman k liye bhi kar rahi hoon. Mujhe uski harek baat ki khabar rahi hai. Wo kisi se kuch kehta nahi ye uski purani adat hai. Pata nahi kisi tarah usne ye 2saal khud ko snbhala hoga. Mujhe bohot achi ladki deserve karta tha wo par uska pyar mere liye itna saccha tha ki uski takleef se aaj bhi mujhe guilty feel hota hai.
I: Di aap tension mat lo. Sab thk ho jayega ab mai hoon na aapke sath. Apki guilty aur meri bestie ki love story dono ki planning mai karoongi. You just wait and watch. Bas abhi aap Swati k pas chalo.
D: Okay. Chal.

*Wo dono hi Swati k ghar jate hain to uski mummy se mulakat hoti hai to wo batati hain ki college se aane k baad wo neeche hi nahi aayi hai bas usne ye kaha ki Ishu aaye to seedhe room me bhej dena.*

Swati ki Mummy = SWM

Dono: Namastey Aunty.
SWM: Are Ishu aa gyi bete. Kaise ho aap? Aur Deepika bete bade dino baad. Sab thk to hai na?
D: Mai achi hoon aunty. Aur baki sab bhi thk. Aap kaise ho?
SWM: Mai bhi achi hoon.
I: Aunty Awaj kaha hai?
SWM: Apne room me bete. Jao aap dono mil lo shayad koi urgent baat ho.
I: Ji aunty. *Smile de kar Swati k room k pas ja kar room ka door knock karti hai*
S: *Door open kar k Ishu ko dekh kar lipat jati hai aur bohot zor se hug karti hai aur rone lagti hai.*

Swati kyu roti hai kya wo Ishika ko Deepika k samne wajah bata payegi?

Ishika aur Deepika ki planning se kya Swati satisfied hogi aur Deepika se wo kya nafrat karne lagegi ya fir uski feeling ko samajh kar uski baat manegi?

Deepika k liye agar Naman Infatuation tha to usne Usse pyar kyu kiya aur agar Naman k liye uske mann me feeling hain to wo uske pas friendship karne kyu nahi gayi?

In sare sawalon k jawab apko milenge agle part me aur thoda masala thoda drama, sath me Ishika ki chulbuli pan Swati aur Naman ko sath layega janne k liye mere book k sath bane rahe aur ye chapter apko kaisa laga please apna comment bhi de...Thank you...😊

COFFEE AUR PYARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें