SWATI KI BAK BAK

239 27 122
                                    

*Last part me aapne padha ki Naman aur Swati ki mulakat hoti hai.Aur mulakat k sath halki gulli baat bhi hoti hai. Aur Naman to bas wahi chup chap rehne wala lekin Swati chup baith jaye aisa ho nahi sakta.*
*Kuch baatein jo aage badhi dono k bich aaiye padhte hain.*

N:*Starting me bas jitni baat hui utni baat kar k chup ho gaya aur apne kaam me busy tha.*
S: *Mann hi mann sochti hai kitna boring ladka hai.Koi bina baat kiye kaise reh sakta hai.? Fir khud hi bolti hai Naman se.*
S: Waise sorry disturb karne k liye lekin ye to jo book aap padh rahe ho kis topic par hai.?
N:Novel hai PREMCHAND ki.
S:Ohh!! Aapko novels achi lagti hain?
N:Hmmm.
S: Waise maine bhi kafi novels padhi hain lekin Hindi writers ki novel mujhe samajh nahi aati.
N: Sabki apni choice hoti hai.
S:*Mann me sochti hai ajeeb ladka hai. Kuch bhi bolo bas Hu-Haan k aage bolta hi nahi.*
S: Waise naam kya hai novel ka?
N: GODAN.
S: Content kya hai iske?
N: Dekhiye Miss.
S: You can call me Swati.
N: Haan jo bhi hai. Mujhe apni book par concentrate karne dijiye aur aap apni coffee pijiye.
S:*Ajeeb akdoo banda hai*
S: Okay.Sorry*Aur Swati ka chehra udas ho jata hai.*

NAMAN se Swati ka udas chehra dekha nahi jata. To wo bas usse kehta hai ki use jyada baatein karna acha nahi lagta hai aur koi use uski book k padhte waqt disturb kare to wo bhi use pasand nahi hai.

N: Swati. I am sorry. Mujhe pata hai mai bohot rude hoon.Lekin mujhe apni book padhte waqt koi bhi disturbance pasand nahi hai.Waisemere pas ek aur book bhi hai.Tum use chaho to padh sakti ho.
S: No,Its okay.
N: I said sorry na.
S:Okay par ek shart par.
N:Bolo.
S:1st of all apna naam batao aur ye batao ki tum bina wajah koi baat nahi karte kya?
N: I am Naman Sinha, B.A. 2nd year. Shriram college.
Aur tumhare dusre question k answer dene se phle ye batao ki tum bina wajah hi har baat karti ho kya?
S: Mister maine to sirf naam pucha tha lekin apne to pura bio data de diya.Waise bina wajah baatein karne se tension se relax rehta hai insan.
N: *Hasne lagta hai.* Okay ye sahi hai.
S: Waise I am also B.A. student from Shriram college.But I am in part one.
N: Nice.
S:*Swati bhi smile karti hai bas*.Fir use Naman ki diary dikhti hai aur suddenly wo use utha kar padhne lagti hai.
N: *Jo apni book me itna khoya hua tha ki use pata bhi nahi chala ki Swati uski diary padh rahi hai.*
S: Tum poetry likhte ho? Bohot achi hai.
N:*Naman ka dhyan jata hai us taraf to wo diary cheen leta hai*. Meri diary mujhse bina puche padhi kaise tumne?*Ekdum gusse me aa jata hai*
S:* Darr jati hai. Aur bina kuch kahe waha se chali jati hai.*

*SWATI ko NAMAN ki poetry me ek dard dikhta hai jo usne feel kiya. Wo fir Naman ko har din chup chup kar dekhne lagti hai.Uski activity note karti hai. Use na jane kyu Naman ki poetry k karan Naman se lagav ho gaya tha.*
*Ek baar Swati samne se aa rahi thi aur Naman dusre taraf se.Swati jab bhi Naman ko aate dekhti to waha se gayab ho jati lekin Naman ne jab use dekha to rok liya.,aur maafi mangi us din k liye.Fir friendship ka hath badhaya.Kyuki Naman ko Swati ki innocency achi lagi.*

Ab aage kya hua iske liye to thoda intezaar karna padega na.Akhir love story hai.Bina koi masla hue koi masla hal thodi hoga.To next part me hum dekhte hain ki inki friendship se college k students par kya asar padta hai aur sath hi inki life me kya changes aate hai. Aur friends mujhe please vote kijiye aur comment kar k suggest bhi kijiye agar kuch editing ki zaroorat hai to.

COFFEE AUR PYARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें