SWATI KA IZHAR

286 22 95
                                    

*Bohot bohot shukriya doston aap sabhi ka. Aap sab ne meri book ko appreciate kiya. Maine bhi koshish ki hai ki aap sab ko nirash na karoon.*

*To jaisa ki aap sabne padha last chapter me Naman ro raha tha aur akele me poetry likh raha tha.Swati usse baat karne k liye tadap rahi thi aur usne Naman ko rote hue bhi dekh liya tha.Swati ko uske pyar ka ehsas Ishika karwati hai aur use samjhati hai. Swati ko khud me samajh to aa jata hai leki ab wo Naman se apne pyar ka izhar kaise karegi ye dekhna zruri hai.To aaiye doston aage badhte hain aur is chapter ka lutf uthate hain.*

Swati POV:

Kya karu yaar? Kaise Naman se baat karu? Zindagi me phli baar bohot ajeeb sa lag raha hai. Hmesha bol deti hoon jo bhi mere dilme hota hai lekin ye baat Naman se kaise kahoon? Kya reaction hoga uska? Pata nahi uske mann me mere liye feelings hongi bhi ya nahi. Acha wo to pata chal jayega.

Ishika POV:

Swati Naman se pyar karne lagi hai. Wo bhi is hadd tak ki use khud bhi nahi pata. Mujhe DEEPIKA Di se abhi baat karni hogi. Kahi Naman dobara se tut gaya to problem ho jayegi. Bohot hi jyada. Deepika di k jane k baad se Naman ki halat kya rahi hai sirf mai janti hoon. Kya kroon? Swati ko sab sach bata doon ya fir Di se hi phle baat karoon.?

Naman POV:

Aaj mujhe Swati ne rote hue dekh hi liya. Maine bohot hi jyada koshish ki hai use bhulane ki leki har din..Har din wo mujhe yaad aati hai uski har ek baat yaad aati hai...Kya mai itna bura hoon?? Kya mai kisi k pyar k kabil nahi hoon?? Koi bhi mujhe pasand nahi karta..Koi bhi nahi...😖
  Khair ab kar bhi kya sakta hoon.? Waise bhi uske jane k baad se na jane kyu mai itna jyada rude ho gaya hoon. Wo bechari Swati..Itni cute si ladki hai aur maine use kitna rula diya. Na jane kya kuch nahi keh diya use. Kal hi ja kar college me mai use sorry keh dunga aur sath me ye bhi ki wo kisi se bhi mere rone ki baat ka zikar na kare..😊

*Dusre din college me Naman Swati se milta hai aur use college k peeche usi jagah bulata hai jaha wo kal mile the. Swati ko kuch samajh nahi aata shayad lekin wo khush ho jati hai ki Naman ne usse baat karne k liye bulaya hai wo bhi akele me.*

Class me jane se phle Swati Ishika se milti hai aur Ishika aur uski baatein hoti hain. Jo is tarah thi.

I: Tu thk hai na?
S: Haan ekdum maze me hoon.
I: Tu sach me thk hai na?
S: Haan re..Mujhe kya hoga?
I: Kuch to gadbad lag rahi hai.Mtlb kal tu ro rahi thi aur aaj itni khush hai. Swati baat kya hai?
S: Are baba koi baat nahi hai.
I: Acha tu kehti hai to maan leti hoon.

Ishika POV:

Koi to baat hai jo Swati mujhse chupa rahi hai. Ye khud se to batayegi nahi. Aur maine Naman k liye iske pyar ko bhi bhadka diya hai. Samajh nahi aa raha ki kya karoon. Deepika di se bhi baat nahi ho payi hai. Ek kaam karti hoon iska peecha karti hoon class k baad ki ye akhir karti kya hai.?

Swati POV:

Sorry Ishu maine tujhe nahi bataya ki mai Naman se milne wali hoon. Kyuki jab tak hum dono k bich khud sab kuch clear nahi ho jata is baare me mai kisi se bhi nahi keh sakti. Tujhse bhi nahi. Mujhe maaf karne meri bestie..

*Recess time me dono college k peeche milte hain. Swati kisi tarah bahana bana kar Ishika se waha se nikal jati hai aur Naman waha phle se hi intezaar kar raha hota hai. Ishika bhi kam tez nahi thi wo Swati ka peecha karti hai aur jab Swati ko Naman se milte dekhti hai to shocked ho jati hai use samajh hi nahi aata ki wo kya kare to wo waha chup kar dono ki baatein sunne lagti hai.*

N: Wo..mujhe tumse kuch baat kehni thi.
S: Mujhe bhi kuch kehna tha.
N: Acha phle tum keh lo fir mai tumse kahunga.
S: Koi dikkat nahi hai. Tum phle apni baat kaho mai fir keh loongi.
N: Nahi tum bolo.
S: *Naman ko dekti hai fir dono hasne lagte hain.*
N: Phle tum k chakkar me koi kuch nahi keh payega. Chalo mai hi kehta hoon.
S: Hmmm
N: Swati tum bohot hi sweet aur cute si bandi ho. Aur kal mai thoda jyada disturb tha to tumse rudely keh diya. Ho sake to mujhe maaf kar dena please.
S: Please aisi baatein mat karo. Koi bhi disturb hota hai to aisa keh deta hai. Shayad tumhari jagah agar mai hoti to yahi karti. To kya hum fir se dost ban sakte hain. Aur is baar pakke wale?
N: Haan bilkul. Mujhe khushi hogi. Lekin ek request hai.Tum please kisi ko mat batana ki mai ro rhaa tha.
S: Ummm. Tab to gadbad ho gayi.
N: Kya gadbad ho gayi?
S: Maine Ishika ko sab kuch bata diya. Sorry.
N: What? Yaar tum ladkiyan kabhi bhi koi baat khud me nahi rakh sakti. Har baat kisi na kisi ko batana zruri hai.😒😣
S: I am really sorry. Next time se aisa nahi hoga.
N: Sorry ka ab mai achar daloon.* Naman bohot gusse me aa jata hai*.
Meri mat mari gayi thi jo tumse friendship karne k liye maine tumhe yaha bulaya. Mujhe tumse koi baat nahi karni.
S: Please Naman ye last baar maaf kar do. Next time se aisa nahi hoga.*zor zor se rone lagti hai.*

*Naman waha se chala jata hai. Ishika bhi sari baatein sun leti hai. Uski jaan me jaan aati hai. Chalo bala tali keh kar waha se wo nikal jati hai. Aur Swati wahi baith kar rone lagti hai.*

Doston story lineup karne me thodi si boring ho gayi hai aisa mujhe lagta hai. Baki aap sab padh kar bataye ki sach me boring hai ya fir apka interests barkarar rkha hai maine.
  Kayi sawal is chapter me bhi apke dimag me aa rahe honge:

Ye Deepika di akhir kon hai?

Ishika Swati ki friend hai ya enemy?

Ishika sach me kya chahti hai?

Kya Naman aur Swati milenge ek dusre se dobara?

Kya Swati apne pyar ka izhar kar payegi Naman se?

Chaliye next part me padhenge aur aapke in sawalon k jawab bhi denge. Tab tak k liye good bye..😊😊

COFFEE AUR PYARजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें