Chapter 11

1.3K 94 12
                                    

In Malhotra Mansion,

Abi- Toh suno...5 saal pehle...

Rishi comes.

Rishi- Wo chote Papa in papers ke baare main kuch......

He sees omkara sitting on the sofa.

Rishi- Ohh sorry. Maine nahin dekha ke ghar main guest aaye hain.
Abi- Rishi beta ye omkara hai.
Rishi- Hii Omkara.
Om- Hi.
Rishi- Chote Papa aap log baat kijiye main chalta Hun.
Abi- Arre beta tum kisi kaam se aaye the.
Rishi- Hna inn papers ke baare main kuch discuss karna thaa. Par koi baat nahin baad main discussion kar lenge.
Abi- Acha thik hai mera ek kaam karoge.
Rishi- Aap order kijiye chote Papa.
Abi- Andar jaake dekho ke gauri bahar na aaye.
Rishi- (confused) Ok chote Papa.

Abinash can understand rishi's confusion.

Abi- Aur hna. Omkara gauri ka dost hai.
Rishi- Ohh acha..

Rishi smiles and goes to gauri's room.

In gauri's room,

Rishi- Hey moti gd morning.
Gauri- (in fake anger) Main tumhe moti lagti Hun.

She hits him lightly.

Rishi- Arre Arre sorry baba. Tum moti nahin ho.
Gauri- Hna ab thik hai. Gd morning bade Bhai.
Rishi- Hna abhi yaad tumhe ki main tumhara bada Bhai hun.
Gauri- Acha thik hai chalo niche chalte hai. Mujhe office bhi jaana hai.

She was about to go towards the door but rishi stopped her.

Rishi- Nahin....!!!!
Gauri- Kya hua??
Rishi- Tum bahar nahin jaa sakte.
Gauri- Par kyun?
Rishi- Mujhe tumse baat karni hai.
Gauri- Hna toh niche jaake bhi baat kar sakte hai na.
Rishi- Nahin. Top secret. U know brother-sister talk.
Gauri- Ok..

In hall,

Abi- Toh suno omkara. 5 saal pehle gauri ki graduation day ke din woh bohot khush thi. Pata nahin kyun itna khush maine usse un 3 saalon main nahin dekha tha.

Omkara remembers that was the day when he asked her to meet him in the central park.

Flashback,.....

Gauri was very happy she came to the hall in a beautiful dress. She saw Abinash, Rita, Arjun and Nisha sat and talking with each other.

Gauri- Gd evening all.

Arjun- Gd evng beta.
Nisha- Kahan jaa rahi ho gauri.
Gauri- Woh badi maa bahar jaa rahi hun thoda kaam hai.
Abi- Acha thik hai jaao.
Rita- Beta raat hone se pehle waapas aa Jana.
Gauri- Ok mom..

Gauri smiled and went out.

Nisha- Aise hi khush rahe humare bache. Kabhi kisi ki najar na lage.
Rita- Hna bhabhi aapne sahi kaha.

They continued their chit-chatting.

In night, All were very tensed because gauri didn't come home.

Rita- Maine kaha thaa jaldi aane ko abhi tak ghar nahin aayi hai.
Nisha- Tum chinta mat karo aa jaayegi.

The phone started to ring.

Mallika- Main dekhti Hun.

She went and received the phone.

Mallika- Yes. Aap koun.

Other side-...........

Mallika- Hna woh meri behen hai.

Other side-............

Mallika- WHAT?????

She cut the call and started sobbing.

Ani- (tensed) Kya hua mallika. Kyun to rahi ho.
Abi- Hna beta batao.
Mallika- (crying) Gauri...
Rishi- Kya hua gauri ko.
Mallika- Woh..woh gauri ka accident ho gaya hai. Kuch log usse city hospital lekar gaye hai. Wahin se phone aaya tha.

Rita- Kyaa!!!!!
Ani- choti Maa..

They all rushed to the city hospital. Gauri was in operation theater.

Rita was crying and Nisha was consoling her. Abinash and Arjun wandering outside the operation theater in tension. Anika, mallika and rishi were consoling each other.

The doctor came outside after a long time.

Ani- Doctor meri behen kesi hai ab.
Doc- Chinta mat kijiye unki sar pe gehri chot aayi thi par wo ab khatre se bahar hai.
Rita- Doctor kya ab hum usse mil payenge.
Doc- Hna jarur. Par unhe jyada stress mat dijiyega.

They shift gauri from the OT and all the family members went to visit her.
Gauri was lying with her eyes opened.
She saw her family and smiled. Anika,mallika and rishi hugged her.

Rishi- Kaisi ho tum.
Gauri- Main ab thik Hun.
Ani- Tumhe pata hai hum kitne pareshaan the.
Mallika- Hna aur choti maa ki toh ro ro ke bura haal ho gaya tha.
Gauri- Maa...

Rita came and hug her. She kissed on her forehead.

Abi- Kitni baar tumhe bola hai ki dekh ke gaadi chalaya karo par tum..
Arjun- Ab Chodo bhi ye dekho ki gauri ab thik hai.

Gauri- Meri accident gaadi chalane ke waqt hui thi.
Nisha- Hna beta.
Gauri- Woh mujhe kuch yaad nahin hai.
Ani- Hna woh sab Chodo woh tumhari dost Lina ka phone aaya tha. Bohot tensed thi ab woh tumse milne aa rahi hai.

Gauri became a little confused.
That time Lina entered.

L- Gauri tu kaisi hai pata hai main kitni pareeshan thi. Acha hua ki ani didi ki number mere pass thi.

She went and hugged gauri. Gauri confusingly hugged her back.

L- Kya hua gauri.
Gauri- Woh mujhe yaad nahin aa raha.
L- Kya?
Gauri- Ke aap koun hai.
L- Kya!!! Gauri main Lina tumhari dost.
Gauri- I am sorry but I can't remember u.

All became shocked to hear this.

Abi- Woh mujhe doctor se milna hoga.
Arjun- Main bhi aata hun.

Abinash and Arjun went to the doctor's cabin. They told him all about gauri.

Doc- (after thinking for some time) Mujhe lagta hai ki ye case partial memory loss ka hai.
Abi- Kya!!
Doc- Hna patients apni jindagi ke kuch saal ya phir kuch hisse bhul jaate hai. Sar pe gehri chot ke wajah se shayad ye hua hai.
Arjun- Doctor uski memory aayegi ya nahin.
Doc- Hna kuch cases main jaldi aa jaati hai aur kuch cases main saalon lag jaate hai. Aap unhe kahin dur le jaayiye nahin toh iss surrounding main rehne se unki dimaag pe bura asar pad sakta hai. Aur baad main dhire dhire unko aap sab bata dijiye.

Flashback end...

Abi- Aur phir hum apni family ko lekar yahan Delhi shift ho gaye. Gauri ko abhi tak kuch yaad nahin aaya hai beta.

Omkara's eyes filled with tears. The girl who was his best friend, the girl whom he loves, she doesn't even able to recognize him. She doesn't even know the existence of him in her life.
.
.
.
.
.
.
.
.
So that's all for chapter 11. Tell me friends how is this.😋😋

Memories of our friendship- rikara ff [Completed❤✔]Where stories live. Discover now