chapter 1

1.3K 12 1
                                    

"Assalamuaikum". Usne phone utha te hi salam kiya.
"Walekumassalam  , kaisi ho beta ?
Tum dono mazna ki shadi me arahe hona?" .
Ammi ki baat par usne jawab diya " nahi ammi hum nahi aa sakte . Date fix karne se pahle hum log se puch liya hota tab itna masla na hota. Hum log ke papers hone wale hai us waqt han albatta shadi se ek hafta pahle ek do din k liye chakkar lagayenge hum log."
"Han acha hai shaadi se pahle lagalo ek chakkar. Sab khush hojayenge. Zarun kahan hai meri usse baat hi nahi hui ek hafte se ." Ammi ne zarun k bare me puchne lagin wo haal ahwal sab sunakr phone bandh kar ke sukoon ki saans li.
Raat ke 10 baje zarun ki wapsi hui wo apne doston k sath bahar gaya hua tha."kya horaha hai ?" Zarun k sawal par usne kuch nahi kahkar chup hogayi phir kahne lagi ammi ka phone aya tha maine kah diya hai papers start hone se pahle ek do din k liye hum chakkar laga jayenge.
"Han acha kiya.  Waise afsos to bahot hora yaar mazna ki shadi miss hone ka". Zarun k kahne par wo bhi asbaat me sir hilane lagi " han afsos to hai magar kya kar sakte ladke walon ko jaldi thi . "
"Hmm" hunkara bhar kar  zarun uth khada hua . "Okay ,I'm retiring for bed now ,tum bhi sojao phir subah jaldi colg bhi jana hai ". Wo kahkar room me chala gaya.
Din raftari se guzar ne lage aur inke papers khareeb ane lage . Friday ka din tha dono ne Saturday ghar jane ka iradah kiya aur thodi se packing karne lage. Saturday k din subah subah fajar ki namaz padh kar dono nikal gaye. Safar car me sukoon aur khamoshi se guzra . Beech me breakfast bhi kar liya . Char ghante ka safar iqtemam par pahoncha to dono k chahron par excitement tari hogayi. dusre city me ghar walon se dur rah kar padhna bhi mushkil hi kaam hota hai .
Car ek bahot hi shandaar aur bade ghar k gate k andar daqil hui .ye ghar bahot hi bada 2 acre par bana tha.
Is ghar ko "shah mahal " kaha jata hai.
Shah mahal me teen families abaad hain . Syed sami shah ke char aulad hain . Sab se bade syed vaseem shah aur inki begum ayesha , inki shadi ko 30 saal guzar chuke hai inke 5 aulad hai sahil, naina, zainab ,zarun aur sabse choti zoya vaseem. Zarun aur zoya ghar se door dusre city me apni education k liye wahan rahte hain . Naina aur zain ki shadi ho chuki hai dono apne gharon me khush hai apne bachon aur shohar k sath.
Dusre hain syed kamil shah inke yahan teen aulad hain sabse bada syed shahmeer jo ke khandaan ka bhi bada hai . Shahmeer k baad mazna aur phir shiraaz.
Teesre no. Par syed abid shah inke yahan chaar aulad hain . Teen betiyan shiza , saman , saira aur akhri beta ashir .
Syed sami shah ki akhri aulad doordana usi shahr me apne ghar me abad hain unke yahan 3 aulad hui teeno bhi shadi shudah hai.

*********

Car driveway me akar ruki ghar me subah ki halchal machi hui thi jaise hi saman ne zoya aur zarun ko dekha wo khushi se cheeq padi "tum log kab aaye "
"Zahir hai abhi aye hain" zarun k chidane par saman bas use nagawari se dekh kar kahne lagi " tum to bas chup hi raha karo zarun " .
"Tum is tarha k betuke sawal puchogi to aise hi jwab milne hai tumne" zoya ki baat ko nazarandaz karke saman andar sab ko batane chali gayi.
"Assalamuaikum " dono ne ek sath sab ko salam kiya aur sofa par tik kar baith gaye .
"Walekumassalam "sab ne khushdili se jawab diya.
dusre chachi fathima ne daryaft kiya aane se pahle call  kardete bhai aisa chup chap nikalne ki kya zarurat thi .
"Bas hum log ne aane hi tha phir socha kyun na chota surprise de den". Zarun ne jawab diya aur sath ho sawal kardala " dulhan saheba nazar  nahi ari hai kahan hai ?".
"Bas idhar hi thi hogi kahin".shiraz na jawab diya .phit sab czns apas me guftagu karne lage.
"Tumlog k papers bhi abhi hone the maza kharab kardiya yaar ". Saira ki baat par sab ittefaq karne lage .
" han ab kya kar sakte hai".
Zoya ne kaha aur phir uth khadi hui "hayen tum kahan uth kar chali. Abhi to ayi ho ?"
Saira k puchne par wo muskuradi "room me jarahi hun ,room ki yaad arahi hai" .
Uski baat par saira aur saman hansdi aur saman ne kaha han jao bhai tumhara room bhi tumhe yaad kar raha hai .

*******

Wo choti si nap lekar uthi fresh hokar bathroom se nikal kar apna mobile check karne lagi nain aur zain k msgs k alawah uske do msgs dekh kar  nagawari se mobile bed par phenk kar bahar lounge me chali aayi.
Wahan ammi ki maujood paya jo koi drama dekhne me mahu thi .jiska faidah utha kar wo dabe chapon se peeche se "ooooowwww" zor se kaha .
"Zoyaaaa!!!! " .Ammi k bichak jane par khil khila kar hasne lagi.
"Ammi ap to  dar gayi". Hahahaha
Uske hasne par ayesha ne use ghoor k dekha "bahot hi badtameez ladki ho tum . Maa k sath bhi ye sab harkaten karti phirna ."
Maa ke dapat par wo phir khil khila k handi phir paas aakar khareeb baith gayi .
"Kya poori tayari ho gayi shadi ki ?
Phupu aur nain zain ne kab tak aana hai , ammi"?.
"Han tayyari to mukammil hai . Doordana to kal arahi hai naina aur zainab mayun se ek din pahle ane wale hai ".ammi ne jawab diya .
"Chalen mai chachi k portion me ja rahi hun ". Wo kahkar chachi k portion me chali aayi jahan mazna sofa par araam se baithi chachi se baat kar rahi thi uspar nazar padte hi khushdili se muskuradi aur kahne lagi "kahan ghayab hogayi thi aate hi . Mujh se mil kar hi so jati bewafa ladki. Ab shakal dikha rahi ho ".
"Haha acha ab dikhane ayi hun na apni shakal " zoya k jawab par wo bhi muskuradi.
"Aur dulhan saheba kya haal chaal hai ? Chahre se to saaf nazar araha hai kitni khush ho " ... wo use chedne lagi aur mazna jhemp gayi "zoya tum bahot fazool bolti ho".
"Koi fazool nahi bolti dekho kaise blush kar rahi ho tum kaho to azhan bhai ko pic lekar send karun Unka din ban jayega."
"Koi nahi. Satao nahi mujhe do din ki mahman hun mai ". Mazna k kahne par wo hanse lagi "han ho to mahman hi "
Phir dono yahan wahan ki guftagu karne lage phir saman aur saira bhi wahan agayi  sab baton Me mashghool hogaye .

junoon e ishq  Where stories live. Discover now