Jumma ka din tha , mazna ki last jummagi thi wo kal maike me achuki thi .
Subah se hi tayyari chal rahi thi ab shaam hone aayi thi ladkiyon ne pahle mazna ko ready kardiya. Robin blue color ki chiffon ki saree par matching bangles aur saleeqe se kiya gaye make up par mazna bahot hi pyari lag rahi thi.
Mazna ko bahar hall me bhej kar sab ladkiyan ready hone chali gayi.
Zoya bhi ready hone k liye apne room ki taraf ja rahi thi jab ammi ne use awaaz dekar apne master bedroom me bula liya. "Meri zara tayyari karwao parlo naji jam raha mujhse". Ammi ki baat par wo Unki tayyari me madad karane lagi.
Ammi ki tayyari puri karakar wo tayyar hone chali gayi aur jaldi jaldi tayyar hone lagi.
Door khol kar saman aur shiza aapi daqil hui . Shiza api aaj hi apne sasural se aayi thi Unki shadi ko 8 months ho chuke the.
Shiza ne tareefi nazron se use dekha aur shararti lahje me kahan "ahan! Kis par ghazab dha'ane k irade hai ?" , shiza ki baat par usne unhe naraazi se ghoorne lagi
"Bahot fazool bolti hain aap , allah bachaen aap ki baaton se aapi ".
Wo muskura kar boli.
Wo lag bhi bahot khubsurat thi. Pahle se hi bahot pyari thi .
Average height k sath slightly curvy , fair color , baal lambe wavy black with natural brown highlights
, eyes bhi brown the like melting chocolate with long length lashes , naak khadi , honth pink bhare bhare. Khandaan k sabhi ladke , ladkiyan ek se badh kar ek the.
Aaj usne pale pink color ka shalwar kameez pahna tha uspar golden color k zari ka bahot hi nazuk kaam tha . Usne makeup bhi bahot kam kiya tha base, mascara aur lipstick k alawah kuch nahi waise bhi wo make up bahot kam karti thi .
Saira wahan shiza aapi ko bulane ayi thi jaise hi uspar nazar padi bina soche samjhe bol padi "aaj to shahmeer bhai ki khair nahi!". Jaise hi uske muh se alfaaz nikle use apni ghalti ka ahsas hua aur room ka khushgawar mahol ek dum khatam ho gaya.
Saira mumbled 'I'm sorry'. Koi faidah to hona nahi tha uski sorry ka saman alagh saira ko ghoor rahi thi "Chalen bahar chalte hain " , zoya ne kaha aur room se nikal gayi.
"Tum filter hi istemal kar liya karo bolne se pahle " saman ne saira ko ghurka bechari aur sharminda ho gayi "ab nikal gaya mere muh se . Mujhe samajh nahi aata zoya ab kab tak sog manayegi? . Itne ache to hain shahmeer bhai koi bhi ladki khushi se pagal hojati Unka sath pakar , ek ye hai ". Saira ki baat par saman ne phir use ghusse se dekhne lagi
"Zoya bhi koi kisi se kam nahi hai aur sab ko pata hai uska , thoda to react kare gi na woh koi doll to hai nahi jahan rakh diya wahan padi rahe".
"Ab chalo lecture ki mujhe nahi zoya ko zarurat hai". Saira mazaq se kah kar aage badh gayi.
Function bas chota mota tha sirf ghar k hi afraad the . Mahol bahot hi khushgawar tha naujawan ladke bahar backyard me apna group banaye baithe the. Ladkiyan andar apni sargoshion me masroof the aur bade log apni ghar dari aur business and politics ki guftagu me masroof the. Khana bhi bahar hi khayal gaya tha .
Kha kar sab ek jagah jama ho gaye.
Mazna ka saural wale bahot achi tabiyath k malik the .
*
Shahmeer ki nazar baar baar bhatak k zoya ki taraf jarahi thi , wo lag bhi bahot khubsurat rahi thi uska dil use satane ko chah raha tha aur wo zoya ka reaction imagine kar ke dil hi dil me hans raha tha.
When he was returned from London , the time when he saw her he knew that he'll gonna marry her .
Wo apna phone nikaal kar type karne laga "To be in love in with you is to be the luckiest fool" . Wo highpoetssociety ki short poem type kar ke zoya ko msg kar diya aur phone wapis pocket me rakh liya , usse pata tha wo apna mobile humesha sath nahi rakhti thi.
Raat 12 ek baje log rukhsath hue .
Sab thak haar k apne apne rooms me chale gaye.
Taqreeban 1:30 ho rahe the jab shahmeer k phone par msg aaya. Wo msg khol kar padhne laga
Zoya:huh? Luckiest ?
Shahmeer: yea. 😍
Zoya: then what should I feel 'bout myself? Unluckiest?
Shahmeer: nah honey, u should feel proud 'Cause some luckiest fool loves you.
Zoya:cocky much ?
Shahmeer:yea , when you know the person you loves , loves u back . It's the most precious gift in world.
Zoya:loves you back?. Why am I feeling we're talking about someone else, because I'm sure as hell that I'm not in love with you.
Shahmeer:it's just a matter of time . I know you are running way from me but sweetheart run as far as you want but know one thing , I'll chase you , I'll find you and I won't let you go. Sleep tight ,sweetheart. Love you and good night.
Shahmeer's last msg has caused shiver running down her spine ,somehow she knows that he is obsessive and possessive of her but he knows how to cover it up .
And she believes that he knows she's a little afraid of him.
Khauf koi buri cheez nahi hai. Jab aapko pata ho koi aapke liye junooni ho aur wo apke liye kuch bhi kar sakta ho to mere khayal se aapka khauf sahi hai .
Sab ko pata tha ke shahmeer humesha se extremist raha hai . Ab baat jab mohabbat ki aayi to Zahir hai wo apne paas kuch nahi rakha . He didn't know how to hold back. Apna sab kuch dene me usne dekha hi nahi k lene wale k paas sakat hai ya nahi .
Use ab bhi yaad hai jab London se wapis aaya tha aur jab dono ki mulaqat hui tab woh uski aankhon me alag hi chamak dekhi . Pahle aisa kabhi nahi hua tha , wo apna waham samajh kar jhutla rahi thi, magar gut feelings aapko koi ghalat taraf ishara nahi dete aap chahen use gut feelings bolen ya instincts ya sub conscious kah len sab ek hi hai . Ye sab cheezen aapko khabardaar karte hain .
Wo log ek bade khandaan me pali badhi thi . Daulat ki koi kami nahi thi agar ye kahen k Daulat ghar ki baandi to ghalat nahi tha magar kisi ko is baat ka aza'am nahi tha. Bachon ki parvarish deeni taur par kiya tha. Ladkon ko aur at ki izzat ka sikhaya. Aur ladkiyon ki tabiyath bhi bahot ache se ki thi odhne pahenne ka dhang, parde ki pabandi , namaz ki pabandi.
Wo bachpan se apne cousins k sath rahi thi freely , sab ek dusre se mohabbat karte the khayal rakhte the ek dusre k beech nok jhonk chalti thi. Magar kisi ne bhi kisi ko alag nazron se nahi Dekha tha . Aisi nazron se jaise aap un se nazar nahi mila sakte ho , uncomfortable feel karte ho .
Wo shahmeer se aankhon me aankhein daal kar baat karni chod di thi aur woh usse gurez karne lagi aur woh bhi koi immature ladka nahi tha uske gurez ki wajah.
Wo thodi si chidne bhi lagi thi ,ghalat baat to nahi thi chidna .
Aaj wo apni soch ko rokna nahi chahti thi kyun ke bahot pul bandh liye soch par ab wo un pulon ko todna chahti thi . Wo sab sochna chahti thi jo wo sochna nahi chahti thi.
Bhai kaha karti thi wo shahmeer ko . 9 saal bada tha wo usse . Jab woh London me padh raha tha phir 2 Saal jab job kiya tab bhi ek aat baar phone par baat hojati thi , jab to kabhi aisa nahi laga wo aise interested hai mujhme. Usse aaj tak samajh hi nahi aaya wo usse mohabbat kyun karne lage the , wo wajah dhoond dhoond kar thak gayi thi.
Shayad koi wajah thi hi na ho bas dil ne kaha ho chalo isse mohabbat karte hain aur wo maan gaye.
Unhone kabhi usse koi ghalat baat nahi ki thi koi ishara ya koi ghalat harkat nahi ki thi uske sath . Han unhe zarurat hi nahi thi kuch ishara ya muh se bolne ki . Un sab kaamo k liye Unki aankhein kafi thi .
Shahmeer ne koi use propose nahi kiya na hi mohabbat ka aitraaf kiya uske saamne. Unhone seedha rasta chuna gaye direct apne baba aur mamma se kah diya mujhe zoya se shadi karni hai aap log jayen aur baat karen. That is it. Chachi chahti thi Unki banji shahmeer ki biwi bane magar ghar ka bada beta jab koi farmaish karta hai to kisi ko use rad karna pasand nahi . Bas baat taye hui kisi ne usse puchna tak gawarah nahi kiya.
Woh bhi koi bezubaan nahi thi kaha tha minnatein ki thi k nahi karni shadi shahmeer se magar ladkiyon ki baton ko kon sunta hai . Agar wo cheeq cheeq k bhi inkar kare to sab kaan bandh kiye baith jate hai. Ye society ladkiyon ki nahi hai .
Han cheeqa maine , chillaya , paer patke har harba istemal kiya magar hua wohi jo khandaan ka bada supurt chahta tha.
Itwaar k din khandaan k khareebi logon ko bulaye gaya aur saadgi se mujhe white suit aur red odhni odha kar nikah padwa diya.
Maine bhi nikah qubool kar liya.
Phir rebel karne lagi aur agar ek jagah nahi maane to dusri jagah baat maanli
Transfer kara diya mera colg se . Mai zarun k sath dusre city me uske colg me transfer ho gayi. Bcom k 3 sem maine wahin padha 4th sem me city colg me transfer ho gayi.
To haan abhi sirf 7 month hue hai mere nikah ko abhi rukhsathi nahi karna chahte the shahmeer sahab so rukhsathi nahi hui.
In 7 months me maine bahot kam rabta rakah tha shahmeer se ya ye bolna bhi ghalat nahi hai rabta rakah hi nahi tha.
Aaj pahli dafa tha shahmeer ne use nikah k baad msg kiya tha. Aisa nahi tha k shahmeer ko uski koi khabar nahi thi , nahi usse har cheez ki khabar thi , woh uske har cheez par tabs rakhta tha directly na sahi but indirectly . Wo bahot chalaki se ya kahen sambhal k apna rasta bana raha tha , halanke use rasta banane ki koi zarurat nahi thi magar wo uske dil me apna qabza karna chahta tha . Wo use space de raha tha
Aaj shahmeer ne Koi normal msg bhi nahi kiya tha wo use kuch bawar kara rahabtha aur wo uska matlab bhi samajh gayi . aur use yaqeen tha agar wo bhage gi wo uske peeche zarur aayega kyun k wo give up kar dene walon me se nahi hai . Wo jab tak chain se nahi baithe ga jab tak wo usse apna dil na dede. Nahi usse sirf dil nahi chahiye tha agar baat sirf dil ko hoti to wo nikah se pahle koshish karta to uska dil kabhi ka uska ho jata. Magar use sirf dil nahi balke uske sath uska dimagh, soch, jism, jaan ,rooh sab chaiye. He wants everything because he has given everything.
YOU ARE READING
junoon e ishq
Romancethis story will revolve around Muslim family. it's a urdu novel