chapter 3

230 7 1
                                    

Raat ka waqt tha shahmeer jaise hi taya abbu k portion me daqil hua zoya ko sofa par baithe paya, wo kindle me book padh rahi thi aur coffee table par uske mobile me se lady antebellum k songs chal rahe the. Shahmeer ko aaj tak ye baat samajh nahi aayi ko book k sath songs kaise sun sakti thi.
Zoya book padhne me itni mahoo thi k usne shahmeer k aamad ka pata hi nahi chala
"Taya abbu kahan hain ?". Side se achanak awaaz ane par wo uchal hi padi , aur shahmeer ko paas khade dekha to seene par hath rakh kar use ghoor ne lagi "tauba hai dara diya aap ne, koi awaaz hi kar lete".
Uski baat par woh bas shane uch ka kar rah gaya .
Zoya ne pale pink color ka joda pahna hua tha aur baal choti me qaid the , choti se ek do latein nikal kar uske chahre ki kashish ko aur badha rahe the .
"Abbu aap ka intezar karke sogaye hain, ek ghante se intezar kar rahe the pahle se hi thake hue the mai ne sojane k liye kaha,  pata nahi aap ayenge bhi ya nahi" wo usse waqt ka ahsas dilarahi thi aur wo ji bahr kar sharminda hua.
"Han bas busy tha jaise hi free hua hun direct yahin aya hun", wo safayi pesh kar hi raha tha k study se taya abbu bahar nikalte aaye aur jaise hi shahmeer ko zoya k sath batein karte dekha wahan chale aye "tum yahan baatein karte baith gaye aur mai wahan study me tumhara intezar kar raha tha", taya abbu k saqt lahje par wo gadbada k rah gaya aur zoya ko ghoor k dekhne laga "ji mai apke paas hi araha tha magar zoya ne kaha k aap sogaye hain to yahan baith gaya tha , warna directly yahin aya hun ",
Shahmeer ki baat par abbu ne zoya ki taraf sawal bhari nazron se dekhne lage ab sharmindagi ki bari zoya ki thi aur wo ji bahr k sharminda ho bhi rahi thi uski shakal dekh kar shahmeer ko apni hansi dabani mushkil lag rahi thi.
"Woh abbu mai to bas mazaq kiya tha , seriously le liya in hone,  aap log baithen mai ja rahi hun", wo jaldi jaldi kah kar jane hi lagi thi k abbu k kahne par phir ruk gayi "Shahmeer k khana nikalo kah to raha hai seedha yahan aya hai , tum khana nikalo hum wahin dining table par baat karte hain aur han mere liye tea and khane k baad shahmeer k liye coffee lana , okay ".
Wo bas ji kar k kitchen ki taraf badh gayi . Khana garam kar ke table par lagaya aur awaaz dekar tea banane chali gayi . Tea banakar dining hall me abbu ko dekar phir manzar se aujhal hogayi.
Shahmeer khane tak wo log business ki baat karte rahe coffee bhi wahin khatam ki aur jo bhi zaroori batein thi wo discuss karke dono bhi uth khade hue .
Shahmeer ne taya abbu ko shabakhair kaha aur jane k liye tayyar ho gaya, nazrein idhar udhar daudayin wo kahin nazar nahi aayi , taya abbu bhi apne room me chale gaye Unka aur zoya ka room niche hi tha usne  zoya k room ki taraf qadam   badha diye,door k khareeb pahonch kar knock kiya aur nob ghuma kar door khol kar andar daqil hogaya.
Zoya headboard se tek lagaye book padh rahi thi jaise hi Darwaza par knock hua aur phir shahmeer ko enter hota dekh kar seedha ho baithi aur side se odhni utha kar sir par odh liya aur sawaliya nazron se usse dekhne lagi jo ab sukoon se room me pade sofa par baith chuka tha aur wo bas hairani se use muh khole dekh rahi thi.
Aur wo uski halat dekh kar khul kar hans pada , "hans kyun rahe hai aap aur koi kaam tha aise aakar kyun baith gaye hai ."
Zoya k sawal par wo muskura utha ya ye bolna bahtar rahe ga k muskurahat uske labon pe chipak gayi hai "pareshan kyun ho rahi ho ? Baith sakta hun mai aur bas tumse baat karne ka dil chah raha tha isiliye yahan hun , kya padh rahi ho  ?".
Wo jaise sakte ki kaifiyat me thi bas shahmeer ko ghoore ja rahi thi . "Plz aap jayen yahan se , koi agaya to ?" Wo pareshani aur khauf k mile jhule tasur me boli
"To kya hua koi agaya to , koi nazeba harkat nahi kar rahe hain hum , baat kar rahe hain aur room ka door khula choda hua hai maine ". Wo intehai pursukoon lahje me bola.
"Aaram se baith jao plz, koi kuch nahi bole ga ".
Shahmeer k samjhane par woh sir hilati bed k edge par baith gayi .
"Han to kahan the hum ? , han so KONSI book padh rahi ho ?", Shahmeer k phir se sawal karne par usse nacharah jawab dena hi pada "fever series by Karen marie moning padh rahi thi ".
"Hmm next week jarahe ho tum log ? " Shahmeer ne pucha
"Han , classes start hore , isiliye ". She was trying hard not to show her nervousness but inside she's nervous wreck and he's not helping either . He's staring at her like she's some kind of meal and he want to devour her .
"You know you can relax , I promise you I won't bite " he was smirking at her and god help her , she want to kick that smirk right out of his face .
"Oh but why am I not sure ". At her reply he started chuckling.
"Because rosebud, you are afraid of me " again he was smirking .
"Keep your endearments with you only and I'm not afraid of you" she totally exclaimed.
"Deal with my endearments sweetheart because I won't stop calling you by love names".
He said it casually.
"Please you can leave now , I'm exhausted I want to sleep ". She told him softly .
"Sleep, I'd like to watch you while you are sleeping ". He half joked but she has taken him seriously and nearly screamed "what ? You've  got to be kidding me ".
"Kab tak bhaagogi zoya, thaki nahi ho tum , accept kyun nahi kar leti ho ? Wo sanjeedah lahje me use rasaan se samjhane laga.
Zoya bhi ek dum khamosh hogayi aur lambi sans chod kar use ghaur se dekhne lagi agar uske jagah koi aur ladki hoti to wo apni qismat par rashk karti  aisa nahi tha k woh nashukri kar rahi hai ya badon k faisle par rebel bas usse kuch waqt chahiye tha apne jazbaat ko ikhatta karne k liye , wo tayyar nahi thi apni zindagi me itna bada change lane k liye , uske life me to bas education goal hi tha achanak k nikah ne uski life change kar ke rakhdi.
"I know , mai hona bolkar nahi door ho rahi hun apse, mujhe kuch waqt darkaar hai , mai abhi terms me nahi ayi ye nayi  zindagi ki , meri life k aage 2 Saal tak abhi koi mard ka naam o nishaan nahi hona tha magar mera nikah ho gaya wo bhi aap se , I was least expecting you , to mere liye ye thoda mushkil hai". Zoya k samjhane par wo bas usse hi dekh raha tha aakhir me asbaat me mundi hilayi aur khada ho gaya , usse khada hote dekh kar wo bhi khadi hogayi aur woh chalta hua uske bahot hi khareeb aakar ruk gaya aur neeche uske upar thoda sa jhuk kar uske tasura'at jaanchne laga , wo uske nazron ki tapesh na lakar apna sir jhuka liya.
Apni thoodi pe uske ungliyon ko mahsoos karne par uski saansein tham si gayi aur wo apni aankhein bandh karli.
Shahmeer ne uska chahra apni ungliyon se uncha kiya aur bas wo bekhudi se use dekhta gaya, pahli baar wo uske itni khareeb thi aur ajeeb baat thi wo koi ahtejaj bhi nahi kar rahi thi , uska dil chah raha tha bas waqt tham jaye , Magar waqt thamta nahi , hum waqt ko apne qaid me nahi kar sakte .
"Look at me " he whispered in a hoarse voice.
Wo nafi me sir hilane lagi . "Zoya, I said look at me ".
Wo phir bhari aur maddham lahje me kaha.
Dheere dheere wo apni lambi palkein uthane lagi .
And shahmeer swear that it was the most beautiful sight in the entire world.
Usne apni puri aankhein kholdi aur jab uski nazar apne bahot khareeb khade shahmeer par padi wo ek dum blush kar gayi aur phir se palkon ka chilman gira liya.
Shahmeer uski har adaa mabhoot andaz me dekh raha tha .
Shahmeer ka dil chah raha tha wo usse kahin le jaye jahan sirf wohi usse dekhe aur takte rahe.
"Shahmeer choden mujhe,  koi aajayega aur jayen aap". Zoya ki sharm se awaaz bhi mushkil se nikli.
" I can wait zoya, take your time but know that I'll be waiting for you, you know I believe you have cast some spell on me love,  and I don't even want to break that spell . I'm your willing victim,  you bewitched me ,love. If it takes all eternity to be with you I'll wait for you knowing that you'll spend all your rest life with me . There's nothing in this world I can't do for you , just name it ,love ". After saying all of these beautiful words he places a soft , gentle and lingering kiss on her forehead.
Zoya bas uske alfaaz aur action par saans Thame khadi thi aur wo room se bahar bhi chala gaya.


   
 
 

junoon e ishq  Where stories live. Discover now