chapter 5

589 15 10
                                    


"Chalen ,ya koi kaam rah gaya hai ?".shahmeer ne zoya se pucha .
Zoya andar hi andar jhinjla rahi thi ,aisi konsi aafat pad gayi hai pata nahi ab kya itni kadi dhoop me long drive pe jane ka programme bana liya fazool me. Apne andar k jhinjlahat ko chupa ka wo asbaat me sir hilakar apne room me chadar odhne chali gayi.
"Chalen ". Itna kahkar wo shahmeer k peeche chalne lagi jo aage chal raha tha uske liya door kholkar khada tha.
"Huh, always a gentleman ", wo mumble kari to shahmeer ne apne eyebrow uchkaye .
Shukar hai suna nahi warna aur akad jaye sahab wo andar hi andar sonch rahi thi phir zor se kaha "kuch nahi , thank you kaha hai ".
"Oh acha ". Wo log elevator se neeche utarne lage . Parking lot me aaye to shahmeer ne black sleek Mercedes-Benz ka door khola wo front seat me baith gayi , shahmeer ne door bandh kar k driving seat sambhali.
Shahmeer ne kinankhiyon se zoya ko dekha wo window ki taraf face kiye bahar dekh rahi thi . Shahmeer ne galla khankar ke usse apni taraf mutawajja kiya.
Zoya usse sawaliya andaaz me dekhne lagi ,uske kuch na kahne par wo "kya hua ?". Sawal kar baithi.
"Hua to nahi hai kuch , so zoya batao mujhe tum apna phone kyun bandh rakha tha ?". Uske gusile lahje par wo thodi pareshan ho gayi aur khud ko control kar ke jawab diya.
"Phone hi bandh tha koi qsyamath nahi tooti thi k aap bhage bhage chale aaye ,agar koi zaroori baat karni thi to aap zarun k mobile par kar lete ". Zoya k kahne ki der thi k shahmeer ne brake par apne pair rak diye aur uski taraf mud kar ussse ghoorne laga.
"Ab ye kya tamasha hai car kyun rok di and mujhe ghoorna bandh kare".
"Meri biwi ho tum jab tumhare paas har sahulat muhaiyya hai to mai kyun kisi aur ki madad lun , aur marzi hai meri yahan side me rokun ya bhari bazar me meri marzi hai . Agar tumne phir aisi koi harkat ki na to sath le jaunga yahan se . Got it ". Wo ghusse se kah raha tha aur wo bhi ab ghusse me agayi uske lahje se .
"Matlab kya hai apki baat ka han? Kahan lekar jainge mujhe ? Samajh kya rakha hai apne khud ko ? Jo ji chahe kar liya sab kya farigh baithe hai na aap ne ek ishara kar diya aur logon ne maan liya. Aise kaise le jainge mujhe ,maar hi na dalun aapko . God , seriously  i hate you !".
Wo cheeq hi padi ab para high hone ki shahmeer ki bari thi usne to apna aapa hi kho diya zoya ke aakhri alfaaz par usne ek jhatke se uska bazu apne girafth me liya aur use apni taraf kheencha . Wo is afdaat par tayyar nahi thi aur jab ahsas hua ho kya raha hai tab tak der ho chuki thi kyunke shahmeer ne use apni giraft me jakad liya tha uska ek haath abhi tak uske bazu par tha aur ek kamar k gird hayel tha aur uski chadar dhalak kar sir se neeche ho gayi thi chahre par hawaiyan ud rahi thi . Wo aankhe phailaye usse takne lagi aur mazahmat karne lagi .
"Ye kya......". Uske muh se abhi alfaaz pure nikle hi nahi the k shahmeer ne uske honth par apni shahadat ki ungli rakh di.
"Don't". Shahmeer ka lahja bahot hi sard aur sakht tha us  k sirf ek lafz  par wo sakit hogayi aur usse takne lagi.
"Ek dafaa to kah diya tum ne mai aaindah nahi sununga tumhare muh se hate ka lafz wo bhi mere liye , I swear kuch kar baithunga mai". Shahmeer ne kaha .
Ab tak usne uske honth pe se ungli nahi uthayi thi phir dheere dheere usne apni ungli zoya k honthon se hatha kar uske gaal tak drag ki aur phir neck par , ab toh zoya ki jaan fana ho rahi thi wo kuch kahne k liye muh hi khol rahi thi k shahmeer k madhosh lahje me kahe gaye alfaaz par uske jism par sansahat daur gayi.
"God ! You're so exquisite". Ye kah kar shahmeer uske upar jhuka aur uske cheeck par kiss kiya aur wahan se apne hontho ko  drag karte hue zoya k temple par kiss karne laga aur yahan zoya ki jaan jane lagi wo toh shahmeer ki himmat par freeze ho gayi .
"Shahmeer ". Zor se kah kar ek zor k jhatke se usse door hone ki koshish kar ne lagi magar wo bhi apni girafth mazmmot karli aur usse apne aur khareeb kar liya aur usne uske forehead par ek lingering kiss dekar usse apne girafth se azzad karne se pahle uska sir chadar se dhaank diya.
Jaise hi wo azaad hui darwaze se lag kar baith gayi aur apna chahra window ki taraf karke lambi lambi saansein lene lagi.
Idhr shahameer ne khud ko compose kiya aur car start kardi aur shukar kiya k ye koi sunsaan ilaqa tha.
Ek 15 min k baad car k sannate ko zoya ki awaaz ne toda
"Aap intehai bebaak insan  hai shahmeer, aaindah mai aapke sath akele kahin nahi jaungi ".
Uske kahne par shahmeer k honthon par dil fareb muskurath cha gayi aur wo uski taraf ek nigah karke kaha
"Ab mai is qism ki 'bebaaki' har ek k saath to nahi kar sakta na , sweetcheeks", shahmeer ne bebaaki par zor dete hua use chedne laga.
"Ab fazool qism ki guftagu karne ki koi zrurat nahi hai apko ". Zoya ne ghusse se kaha aur khamosh ho gayi.
"Okay". Kahkar shameee bhi chup ho gaya  .
Jaise hi car parking lot me aakar ruki zoya ne jhat se door khola aur bahar nikal gayi aur elevator ka button push karke elevator ka aane ka intezaar karne lagi. Itne me shahmeer car ko lock karke uske bazu aakar tahar gaya.
Shahmeer kuch kah kar uska mood aur off nahi karna chahta tha so wo bhi chup hi raha.


************

Din tezi se guzarne lage . Shahmeer ko wapis jakar bhi 2 mahine ho chuke the . Ab dono k darmiyaan phonic guftagu bhi hone lagi thi . Sardi ka mausam khatam ho chuka tha ab garma ka mausam start ho chuka tha. Ab k saal garmi bahot zyadah thi. College me bhi working days on the .
Mazna pregnant thi . Zoya k plans ab k thode din nani k paas spend karne k liye . Ab do months me phir se exams hone wale the.
Raat k 12 baj rahe the wo apne ereader me susan Elizabeth phillips ki kiss an angel padh rahi thi . Isko susan k novels bahot zyadah pasand the. Phone par shamer ki call ane lagi toh wo ereader side me rakh kar phone pick kar liya. Rasmi guftagu k baad shahmeer ne saman k rishte k baat karne laga wo toh sun kar hairan hi hogayi.  Shameer usse tafseel sunane laga ladke walon ki family k bare me aur ankhareeb engagement k baare me kahne laga. Zoya ka to  khushi se bura haal tha sawalon par sawal kar rahi thi . Uske excitement par wo hans raha tha aur saare sawalon ka jawab de raha tha .
"Ab aap phone rakhen mujhse baat hi nahi ho payegi mai zarun se ye news share karne ja rahi hun , khuda hafiz". Kahkar phone rakh kar sofa par uth kar bhaag kar zarun k room me pahonchi.
"Tum yaqeen hi nahi karoge k mere paas aisi news hai tum sunoge to khush ho jaoge". Woh bolne lagi to zarun bhi excited ho gaya.
"Chali iski shadi to milegi full maze karenge". Dono bahi bahen plans banane lage.



*********

Saman ki engagement ka din tha saare ghar me jawan party ne audham macha rakhi thi . Sab milkar saman k to records laga rahe the .
Zarun aur zoya teen din pahle hi aa chuke the . Engagement ka function ghar par hi tha . Ghar k bade tayyariyon me masroof the , lawn ko event management wale decorate kar rahe the.
Ghar k sab shadi shuda ladkiyan bhi ek din pahle hi pahonch chuke the. Unke bacchon se sare ghar me ronaq phaili thi.
Shaam k 6 baje to badi bahno ne saman ko tayyar karne lagi. Ek maher beautician ko bulaya gaya tha.
Saman taayar hui to wo bahot hi khubsurat lag rahi thi pearl white color k lahenge me uska gora rang damak raha tha mehandi se full hath bhi bahot khubsurat lag rahe the.
Usko tayyar karne k baad sab apni apni tayyari karne lage.
Zoya apne room me aayi to uske bed par shopper ko dekh kar hairan hogayi aur shopper me se ek pale pink color par baby blue color ka border ka pakiatani style ka long suit nikla. Dress intehai khubsurat tha. Uspar kaam bhi itna nazuk tha k bas dekh kar tareef karne ko dil chahe. Uspar same color combination wali badi si odhni thi. Lagne me bhi intehai mahenga malum hota tha.
Usne shopper me jhanak to shoebox bhi nazar aaya to wo nikaal ke box khola to golden high heels pakar dang rah gayi . Pahankar dekha to fit baithi. Usse yaqeen to ho gaya k ye karastani shahmeer hi ki hai wo shopper me koi note talash karne hi lagi thi k mobike par msg aaya usne khol kar dekha to shahmeer ka msg paya.
Shahmeer : you'll wear that dress only.
Bas itna hi mag likha tha.
Wo bhi tayyar hone khadi ho gayi . Koi bhi is dress ko resist hi nahi kar pata , khud se kahkar wo dressing room me ghus gayi.

**

Shahmeer sahil k sath dulhe walon ka isteqbal kar raha tha. Dulhe wale aa chuke the . Wo sab se muskura
muskura k guftagu kar raha tha . Dulhan ko bhi stage par lakar bitha doya gayaa tha . Sab khush gappon me masroof the. Shahmeer k nazar usse talash karne lagi magar wo abhi tayyar hokar bahar nahi aayi thi.
Shahmeer ko doubt ho raha tha  k woh uska gift kiya hua dress pahenegi ya nahi bhi.
Woh aashir se baat kar raha tha tab uski bahar aati hui zoya par nazar padi  aur uski nigah hatna bhool gayi.

Você leu todos os capítulos publicados.

⏰ Última atualização: Feb 23, 2018 ⏰

Adicione esta história à sua Biblioteca e seja notificado quando novos capítulos chegarem!

junoon e ishq  Onde histórias criam vida. Descubra agora