chapter 4

283 6 1
                                    

"tum konse sonche me gum rahne lagi ho ?", zarun ke sawal par wo chaunk kar use dekhne lagi par boli kuch nahi bas khamoshi se uth kar kitchen ki taraf badh gayi aur fridge khol kar pani peene lagi , use bhi ahsas tha wo kuch zyaah hi sochne lagi thi par wo sabko uska jawaz nahi bata sakti thi, woh shahmeer k us actions par dang hokar rah gayi thi , pahle se hi wo shahmeer se afraid thi magar ab wo use terrified ho kar rah gayi thi. usne mobile bhi bandh kar rakha tha jab se wapis aye the ye log . usi pal zarun chala aaya kitchen me aur use phir sochon me dekh kar frown karta hua uske khareeb jakar use phone thamaya aur nain ka phone kah kar lounge me chala gaya.

"hello", uske kahne ki der thi k bas nain shru hogayi "kahan ho bhai phone kahan hai tumhara ,ek hafta ho gaya tumhe wapis hokar ekl call nahi aur upar se phone bhi bandh aaraha hai kya hua hai phone ko ?" nain ne ek sath sawal kar dale

"han bas padhai me busy hun syllabus start ho gaya na fursat nahi hai mujhe", use khud ahsas tha wo intehai lame excuse banarahi hai .

"oho tum badhi studious ho na, har class me top jo kiya hai "nain k tanz par wo ji bhar k sharmindah hui.

"ab sharmindah to mat karo bas aise hi bandh hai phone ,charging bhi nahi hai usme ab lagatiu , tum bolo bacche kaise hain ?" wo subject change karte hue bacchon ki khairiyath puchne lagi.

"bacche theek hai alhumdulillah, aani ko yaad karre the magar aani ko to kisi ka khayal hi nahi hai ", nain k shikwah par wo safayiyan pesh karne lagi"ab aisa bhi nahi hai mai karne hi lagi thi tum ko phone aaj , ab ye shikwah bandh karo aur kuch sunao kya haal caal hai ? dono phone par busy hogaye aur idhar udhar ki sab baatein karne lagin.

raat k taqreeban 8 baj rahe the usne apna mobile nightstand se utha kar on liya charging bhi 50% thi jaise hi mobile on hua missed call and msgs aane lage. wo sab k msgs check karne lagi sabko replies bhi de diya last me shahmeer k msgs khola jo k zyadah nahi the jaise hi uski last msg par nazar padhi uske hosh udne k liye kafi the.

shahmeer: if I don't get your reply in one hour I am coming over!.

usne hisab lagaya 5 ghante ho chuke the us msg ko . usne abhi lambi saans lekar  reply karne hi lagi thi k doorbell ki awaaz ne ghar k sannate ko tod diya. aur uske hosh waqaye me ud gaye . kyun k ghar par kabhi koi nahi aata tha zarun bhi apne doston ko kabhi is flat me nahi bulaya tha. woh apne larazte wajood ko sambhal kar ut kadhi hui aur room se nikal kar door kholne k irade se aage badh rahi thi magar zarun ne use maat de diya aur door kholdiya. door par khade  shahmeer ko dekh kar dono bhi apni jagah tham se gaye magar zarun apne shock se jaldi recover hokar shahmeer ko salaam kiya aur andar bulakar sofa par bitha bhi chukka tha aur wo ab tak shock ki kaifiyat me door ki taraf hi dekh rahi thi wo umeed aur dua kar rahi thi k koi aur door par hoga magar shahmeer ko dekh kar wo shock me jun ki tun khadi rah gayi.

zarun k gale saaf karne par wo shock se nikal kar khali khali nazron se use dekhne lagi. wo coffee lane ka kah raha tha wo asbaat me sir hilakar kitchen ki taraf aa gayi usne ek nazar bhi shahmeer ki taraf nahi dekha uske andar himmat hi nahi thi . wo sink k paas ruk kar lambi lambi sansein apni andar utaar ne lagi. use abhi tak yaqeen hi nahi aaraha tha k is waqt wo longe me maujood hai aur coffee ka intezaar kar raha tha . apni bewakhoofi par ghussa aane laga ,khud ko kosne lagi zarurat hi kya thi phone bandh rakhne ki agar phone bandh na hota to ye situation bhi handle karne zarurat hi nahi aati.

insaan bhi bada hi bewakhoof waqaye hua hai wo aksar faisle bina soch samajhkar karta hai . ek choti si baat par wo khamoshi ikhtiyaar karne k bajaye use face karti to kam az kam aaj ye itni badi mushkil to pesh na aati. aur jab muskil 6"2 inch ki ho to insan ko darna bhi chahiye waise me bhi shahmeer hai bahot intense and intimidating shakhs .wo inhi socho me gum hokar coffee banana lagi.


***********



shahmeer araam se sofa par baitha bazahir to  zarun se mahu guftagu tha magar andar se intehain bechain tha use samajh nahi aaraha tha wo zoya ka kare kya. she was his obsession and infatuation . wo use waqt de raha tha magar ab wo uske khareeb aana chahta tha , ek dusre k beech understanding pida karna chahta tha magar zoya ka bas chalta to wo uske aur apne beech saath samandar , pahad la khada karti . isse andazah tha wo koshish kar rahi thi magar wo zyadah koshish nahi karna chahti thi . shahmeer ki soch pata nahi kahan kahan jati use pahle hi use zoya coffee k do mug tray me le aayi aur centre table par rakh diya.

junoon e ishq  Where stories live. Discover now