Tu

453 16 4
                                    

Kuch yu bayaan karti hu tarif teri,
Ki na tu bhagwaan hai,
Na shaitaan.
Na hi koi farishtaan hai,
Fir bhi kyu hai ek khaas Insaan?

Kuch yu bayaan karti hu tarif teri,
Ki na neeli aankhe hai teri,
Na ghungraale baal.
Lekin teri surkh siyaah nazro ke ghere,
Un reshmi zulfo me jab jab tu hath fere,
Kyu hojata hai mera dil behaal?

Kuch yu tarif bayaan karti hu teri,
Ki mehez naam se tere,
Ajati hai mere gaalo pe lali,
Or Hoton pe gulal.
Dekh tere ishq me Mehboob,
Kis kadar Shayarana hai mera haal...

Alfaaz bhi Ehsaas Hai [Hindi/Urdu Shayari]जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें