" Main kiraya dunga..." Akhir kar use ye dao bhi aazmana para jabke woh nahi chahta tha
" Main tumhara saya bhi apne bachon par nahi parne dena chahta... Behtar yahi hai ke tum yahan se chale jao... Ab bare hogaye ho apne pairon pe khare hosakte ho... Aur jahan tak ke baat jaidad ki hai to tumhe usme se phooti kori nahi milegi... Tumhari parhai ke ikhrajat uthaliye humne wahi bohot hai..." Kitni sangdili se kaha gaya tha... Lekin woh bachpan se iss sab ka aadi ho chuka tha...
" Ye meri maa ka ghar hai aur mujhe yahan se koi nahi nikaal sakta... Main court main jaonga..."
" Tum apne baap ke ghar pe kyun nahi jate..." Firdos malik ke chehre par ek kamini si muskurahat bikhar gayi.... Woh khamoosh raha...
" Ye mujhe bhi achi tareeke se pata hai aur tumhe bhi achi tareeke se pata hai... Shukr karo ke tumhe humne paal liya... Ye humara tum par bohot bara ehsaan hai.. Warna tum jesi najaiz auladon ko to log peda hote hi maar dete hain... Ab dafa hojao meri nazron ke samne se..."
Uski ankhon main lahu sa utar gaya... Woh firdos ko kha jane wali nazron se dekhne laga...
" Ye ankhein kisko dikha rahe ho han..." Firdos ne uska girban pakar liya aur bas phir Arish ke sabar ka pemana bhi toot gaya aur uss nojawan ne apne adher umar mamu ka lehaaz kiye bagair unhe itni zor ka mukka mara ke unke jabre hil gaye... Firdos ke mun se khoon nikalne laga.. Ankhon main khoon leke firdos ne apni jaib main se bandook nikali kar uss par taan di... Arish halka sa muskuraya... Uski muskurahat main tanz tha... "Oh.. Apko apni protection ke liye ab bandook ki zaroorat parti hai... Himmat hai to bandook side pe rakh ke do chaar hath karein..." Arish ne unke andar ki ghairat ko lalkara...
" Bewakoof samajh rakha hai mujhe.." Firdos ne mun se behta khoon saaf karte hue kaha...Achanak se kamre ka darwaza khula aur andar ka mahol dekh kar do minute ke liye to Rizwan Malik ko jhatka laga... Woh firdos ke mun se behta khoon dekh kar pareshaan the... Aur apne bhanje par tani hui bandook dekh kar to aur bhi zyada pareshan the... Firdos aur Arish bhi unhe dekh kar thori der ke liye thuthak gaye..
" Ye kya kar rahe ho firdos.." Rizwan ne jaa kar firdos ke hath se bandook cheeni...
" Assalam o alikum mamu..." Arish ne ehtraman unhe salam kiya...
" Arish tum kab baaz aao ge.." Humshe wala fikra humesha ki tarah phir dohraya gaya...
" Isko samjha lijiye bhai jaan... Kisi din mere hathon se iska katal na hojae..." Humesha ki tarah ye fikra bhi dohraya gaya...
" Zaroor" Arish muskuraya..
" Bakwas band karo Arish... Tum donon kab sudhro ge...." Rizwan malik ne ek nazar donon ko dekha...
" Mera koi kasoor nahi hai larai inhon ne start ki thi.." Arish ne bari hi laparwahi se kaha...
" Dekh rahe hain bhai jaan... Baron se kese baat ki jaati hai... Koi tameez hi nahi hai ise..." Firdos to Arish ko dekh dekh ke hi khol rahe the...
" Kya hua? Kyun tamsha kar rahe ho tum donon?...."
" Mamu simple si baat hai... Dekhen... Ye mera ghar hai ke nahi?"
" Hai " Rizwan malik ne ankhon ko sukerte hue kaha jese woh uski puri baat samjhne ki koshish kar rahe hon... Aur firdos apne bhai ke jawab main apne bhai ka mun dekh ke reh gaya...
" Main yahan par reh sakta hun ke nahi..."
" Reh sakte ho..."
" Problem solve... Bas inko etraaz hai..." Arish ne kandhe uchka kar kaha... Rizwan Malik ne apne chote bhai ko herat se dekha... Pichli baar unhon ne isi masle par unhen danta tha aur ghar main sabko samjha diya tha ke Arish isi ghar ka hissa hai aur ab phir se unhein etraaz karte hue dekh kar unhe kuch afsoos hua...
" Tum iss silsile main baat karne ke liye mere paas kyun nahi aye..."
" Main to apke paas hi aa raha tha... Ye hi zabardasti mujhe apne kamre main le aye..." Usne bura sa mun bana kar kaha...
" Bhai jaan aap iss badtameez ko dant te kyun nahi... Dekhen ye kis andaaz main mujhse baat kar raha hai..." Baat ko badalne ke liye firdos ne uski badtameezi ka sahara liya.. Aur baaton ka rukh badal ke uss mozu ki taraf rukh kiya...
" Mamu shukar karein ke main apki izzat kar raha hun... Warna app to itni izzat ke bhi laik nahi hain..." Ek zannate daar thapad Arish ke mun pe para... Ye thapad use apne sabse azeez mamu Rizwan Malik se para... Woh unki izzat karta tha... khamoosh hogaya...
" Zubaan sambhal ke baat kiya karo... Badtameezi main shumar hota hai ye sab kuch..." Rizwan malik ne use hidayat karte hue kaha...
" Ji mamu..." Woh khamoosh hogaya...
" Firdos tumhe iske mun lagne ki koi zaroorat nahi hai... Aur tum..." Rizwan malik ne akhri fikra kehte hue Arish ko mutawajja kiya...
" Tum mere kamre main ao..." Itna keh ke woh wahan se chale gaye...
YOU ARE READING
Badtameez
RomanceMashoor-e-badtameez.... Arish Rizwan... Woh badtameez tha...... Na use baat karne ki tameez thi..... Na kisi se milne ki tameez thi.... Woh baron ki izzat nahi karta tha.... Woh mun phat tha... Ya phir.... Woh man ka moji tha..... Woh har kisi se...