Chapter 3

124 2 2
                                    

Thapad ka asar kuch yun hua ke Arish ke dimaagh main kai tarah ke khayalaton ne ghera kar liya... Woh bachpan se esa hi tha... Use agar Rizwan Malik se dant bhi parti to apne andar hi adalat khari karleta... Khud mazloom ban jata aur Rizwan Malik ko zaalim bana deta... Ek esi adalat larta jiska wakeel bhi woh khud hota aur judge bhi khud hi hota... Aur Phir apna manpasand faisla khud ko suna deta... Jo humesha uske haq main hota.... Abhi bhi woh yahi kar raha tha... Akhir mamu bhi mere sage baap to nahi hain... Agar mera baap hota to mujhe thapad nahi marta... Mera kya kasoor tha... Oh haaaan... Firdos mamu inke bhai hain na isiliye unki himayat ki inhon ne.... Aur isi tarah ke munfi khayalat uske dil o dimaagh se ubhar rahe the...
" Zyada dimaagh ke ghore mat dorao..." Rizwan Malik ne kaha jo apne book shelf main se parhne ke liye koi achi si kitaab dhoond rahe the... Wahin unke peeche unke bed pe Arish bhi betha hua tha... Arish ko jhatka laga ke woh humesha uska dimaagh kyun parh lete hain... Aur poori dunya main Arish ka dimaagh parhne ki salahiyat sirif wahi rakhte the...
" Ye tumhe bhi pata hai ke woh thapad tumhari bhalai ke liye tumhe para tha..." Unhon ne ek kitaab ka muaina karte hue usse kaha...
" Kesi bhalai mama jaan?" Usne barabar main para takya apni god main rakh liya... Rizwan Malik ne ek nazar use peeche mur ke dekha...
" Mere bache... Hum hath uspe uthate hain... Jispe hum apna hak samajhte hain... Aur main tumpe apna hak samjhta hun... Kya mujhe nahi samjhna chahiye?..." Rizwan Malik ne use humesha ki tarah abhi bhi emotional baaton main lapet diya jisse Arish ko bepanah ki uljhan hoti thi... Aur baad main use shikast ka ehsaas hota tha... Apni adalat main lare jane wale mukadme ka faisla badlna parta tha...
" Mama jaan.... App aur app ke logic..." Rizwan Malik uski baat par halka sa muskura diye...
" Chalo... Ab tumne mujhe maaf kardia ka..." Rizwan Malik ki baat pe woh kuch sharminda hua aur usko jese chupi lag gayi... Arish Rizwan... Jis ke paas har sawal ka jawab mojood hota tha... Bas apne mama jaan ke sawalon ke jawab main use chupi lag jati thi... Woh use lajawab karne main mahir the....
" Acha choro ye sab.... Age ka kya plan hai?..." Rizwan malik ne baat ka pehlu badalte hue kaha...
" Kya matlab?" Woh kuch heran hua..
" Matlab ye hai ke... Ab kya karne ka irada hai... University se to tum graduate ho chuke ho... Ab kya wakeel banne ka irada hai..." Unhon ne baat ko tafseel se samjhaya... Aur asani ke liye option bhi uske samne rakh diya...
" Main... Aur wakeel..." Woh jese kuch heran hua...
" App ko kahan se lagta hai ke main wakeel ban sakta hun..."
" Llb kis liye parhi thi..." Usse se zyada heran Rizwan Malik khud hue...
" Llb?... Woh to maine sirf isliye parhi thi ke woh kafi challenging thi... Warna aur kuch nahi..." Kya laparwana andaz tha?... Wah....
" To tum wakeel nahi banoge?" Unki pareshani main izafa hota hi ja raha tha...
" Ab ko esa kyun lagta hai ke main wakeel ban sakta hun?..."
" Kafi achi behes kar lete ho..."
" Tanz kar rahe hain...?"
" Nahi... Tareef kar raha hun..."
" Phir to khul ke karein..."
" Sudhar jao.."
" Mushkil hai..."
" Badtameez..."
" Thank you...." Usne unhen ek flying kiss ki aur woh sar pakar ke reh gaye... Ab woh use keh bhi kya sakte the...

      *******************************
" Arish kahan hai?..." Dining table par beith ke sab dinner kar rahe the tabhi firdos Malik ko Arish ki yaad satai.... Unki baat par sab ne khate khate chammach plate main rakh diya aur unhein ese dekhne lage jese unhon ne kisi gher makhlook ka naam le liya ho... Jiski mojoodgi se ghar ke sare afraad anjaan hon... Aur wakai main... Sab uski amad se anjaan hi the... Bas farak itna tha ke woh koi gher makhlook nahi tha... Magar un sab ki nazron main to woh gher makhlook hi tha...
Table par mojood afrad khud Rizwan Malik... Phir unki begum tayab Malik... Phir unki beti mehnoor urf mahi... Phir firdos Malik... Unki begum laiba Malik.. Unke 20 saal ke bare bete haroon Malik... Unki 17 saal ki choti beti aur Mehnoor ki hum umar Maria Malik... Phir faraak malik... Unki begum wajiha Malik... Unke 12 saal ke bare bete sami Malik... Unki 7 saal ki choti beti umaima Malik... Aur phir sabse bari Dadi jaan... Kitni bari family thi unki... Lekin itni bari family main bhi Rizwan Malik ke alawa kisi ek fard ne bhi Arish ko apne dil main jagah nahi di thi... Dete bhi kyun... Arish unka lagta hi kya tha... Jab donon bhaiyon ne apni behen se kata talooki kar hi li thi to ab unka aur unke bachon ka usse rishta hi kya tha... Tayab begum bhi kuch khaas use pasand nahi karti thin lekin kyunke woh Rizwan Malik ko jaan se zyada aziz tha isiliye majbooran salam dua rakhni parti thi... Dadi jaan dil hi dil main usse bepanah mohabbat karti thin... Magar apne sakht mizaaj ke chalte galat ko galat hi kehti thin..
Firdos ke sawal par jahan sab ki bhook gayab hogai wahin dadi jaan ko ek khush gawaar herat hui...
" Arish... Ghar main hai?" Woh aksar ese hi ghar main hostel se aajaya karta tha... Kisi ko bhi batae bagair...
" Han... Woh aya hua hai... Uppar mere kamre main soo raha hai... Kafi thaka hua tha..." Rizwan Malik ne mahol ki nazakat ko bhanpte hue thora ruk ruk ke kaha...  Dadi ke chehre pe muskurahat namoodaar hui... Woh muskurahat Rizwan Malik ki baat par nahi... Balke samne khare bikhre baalon main ankhon main neend liye Arish ko dekh kar namudaar hui thi....
" Assalm O Alikum Everyone..." Uski awaz pehle se kafi bhari lag rahi thi... Woh yakeenan bagair mun hath dhoe dining table par aagaya tha... Sab uski taraf mutawajja hue... Aur usko ese dekhne lage jese unka koi mujrim  unke samne aake khara hogaya ho...
" Walikum Assalam..." Jab kisi ne sawal ka jawab nahi diya to dadi jaan ne salam kiya....
" Ao beitho... Abhi sab tumhare bare main hi baat kar rahe the...." Rizwan Malik ne khana khate hue kaha... Woh maria ke barabar wali kursi ghaseent ke beith gaya... Aur uske beithne ki der thi ke maria foran apni kursi se uth gayi aur bijli ki raftar se chalte hue pal bhar main dining room ne gayab hogayi... Uski iss harkat ko sabne note kiya aur Arish herani se dekhta reh gaya... Par use kya usne khana nikalne ke liye chawal ke pyale par hath rakha to laiba begum bhi itafakan usi pyale ko pakarne lagi thin... Un donon ne ek saath hi woh pyala pakar liya... Laiba ne foran apna hath hataya aur woh bhi usi barq raftari ke sath dining table se gayab hogayin... Chalo koi nahi... Arish ne dil hi dil main socha aur apna khana nikalne laga... Achanak se haroon ko pata nahi kya hua... Uska mun to wese hi Arish ko dekh ke bigar gaya tha... Jab sabar ka tasalsul tuta to woh bhi dining table se gayab hogaya... Firdos ka khana khatam hogaya tha isiliye woh bhi uth ke chale gaye... Ab bache faraak aur uske biwi bache... Unki begum saheba ne bhi khana khatam kar liya tha isiliye mazrat karke wahan se uth gayin... Faraak sahab bhi apni begum ke peeche peeche chale gaye... Herat to tab hui jab tayab begum bhi wahan se uth ke chali gayin... Rizwan Malik apni begum ke iss rawaiye se aagah nahi the isliye unhe jhatka laga... Faraak sahab ke bache... Dadi jaan... Mehnoor aur Rizwan Malik abhi tak samjhne ki koshish kar rahe the ke abhi table pe hua kya.... Lekin Arish ko sab samajh main aa raha tha aur woh kafi enjoy kar raha tha... Uske honthon par ek mustakil rehne wali muskurahat khel rahi thi...
" Tum khana khao... Kisi bhi cheez ki zaroorat ho to khansama se keh dena...." Khansama unke ek mulazim the... Itna keh ke woh bhi wahan se uth gaye... Zahir si baat hai apne ghar walon ke paas hi gaye the... Akhir itne khushk rawaiye ki wajah bhi to poochni thi.... Dadi jaan... Umaima.... Sami aur mehnoor... Bas yahi charon kuch kahe bagair chup chap apna khana kha rahe the... Lekin thori der ke baad sami aur umaima bhi wahan se chale gaye....
Unka khana khatam hogaya tha isiliye woh bhi chale gaye... Arish ab khana shuru kar chuka tha aur dunya se befikr apna khana kha raha tha... Achanak uski nazar samne bethi mehnoor par pari.... Use herani hui ke woh abhi tak yahan beithe kya kar rahi hai... Oh... Of course khana kha rahi thi magar jab sab apna khana chor ke chale gaye the to woh kyun nahi gayi... usne use dekha... Nahi bohot ghor se dekha... Itni ghor se dekha ke pal bhar ke liye woh apna khana... Apni bhook... Apne ird gird ka mahol... Sab bhool gaya... Aur agar kuch samne tha... To woh tha sarapae husn.... Dunya jahan ke husnon main se ek.... Ek minute... Ye husn to Madam hafsa ko bhi maat de raha tha... Balke madam hafsa se uske husn ka mukabla karna uske husn ki toheen hojati.... Nahi... Ye koi insaan nahi hai... Ye to koi hoor hai... Jannat ki hoor... Ya paristan ki pari... Kya hai woh.... Woh samajhne se kasir tha... Woh ye tak bhool gaya ke samne dadi bhi beithi hui hain aur uske mehnoor ko iss tarah ghoorne se woh bhi wakif hain.... Lekin use kya... Use to dunya se pehle bhi koi matlab nahi tha... To ab kyun hota... Woh to pedaishi deewana tha.... Aur ab samne beithi hoor pari ke husn ne use aur deewana kar diya tha... Uska mehnoor ko is tarah ghoorna mehnoor ne khud bhi note kiya... Use thora ajeeb laga... Lekin usne ignore kiya....
" Mahi tum andar jao..." Dadi ne sakht lehje main mehnoor ko dant te hue kaha... Mehnoor sehm gayi... Woh to thore se talkh lehje se bhi sehm jati thi... Usne foran dadi ke hukm ki takeed ki aur bagair kuch kahe wahan se uth kar chali gayi... Dadi ke sakht lehje ko Arish ne bhi note kiya... Aur uss ne ye bhi note kiya ke woh sakht lehja uss pari ke liye nahi balke uske khud ke liye tha... Pata nahi kyun par woh thora sharminda sa hogaya... Dadi bhi wahan se uth ke chali gayin aur woh wahin beithe beithe uss husn ke mujasme ke bare main sochne laga... Bhook ab uss se konson door thi... Use to bas thehr thehr ke woh jannat ki hoor hi yaad aa rahi thi... Jo najane kese magar ankhon ke raaste uske dil main utar chuki thi...

BadtameezWhere stories live. Discover now