" Arish " bhohot mushkil se unke mun se awaaz nikli... Woh sakte ke aalam main Arish ko dekh rahe the... Woh gutnon main mun diye beitha hua tha... Jab woh uske paas aye to uska chehra upar utha kar dekha... Uske honthon par se khoon ras ras kar jam chuka tha aur mathe par bhi kharashein thi... Uski ankhein surkh hogayi thin.... Rizwan Malik ko uski ankhon se wehshat hui... Uski ankhon main ek inteha ki sardgi thi.... Nafrat... Gussa... Bebasi... Ghin... Afsoos... Nafrat... Nafrat... Aur nafrat... Uske betasur chehre se saaf jhalak rahi thi... Uska chehra pehle se zyada safed nazar aa raha tha... Woh koi murda lash lag raha tha... Uski ankhain bhi kisi murde ke ankhon ki tarah lag rahi thin... Woh nazara Rizwan Malik ki zindagi ka sabse khofnak nazara tha... Uss din ke baad se woh ek mahine tak bistar main para raha... Doctor ne bola ke woh abhi bohot chota hai aur depression ka shikaar hai please ise har kism ke tension se door rakhen aur achi giza ka intekhaab karein.... Rizwan Malik ne uski dekh baal karne main din raat ek kardiye the... Tayab ko Arish ke liye unki itni fikar bilkul pasand nahi thi....
" Apki ek beti bhi hai..." Ek din tayab ne shikwa kar hi diya...
" Han.. Hai... To?" Unhon ne tayab ko herangi se dekha... Woh kuch samjhe nahi the... Aur esi betuki baat ka kya matlab hosakta... Woh sochne lage...
" Jab dekho to ' Arish ne khana kha liya?... Arish ne dawai le li?...Arish sogaya? " chir kar teh lagate hue kapre ko bed pe phenka.... Wahin thori door choti si mehnoor bhi bethi apni gurya ke sath khel rahi thi... Rizwan Malik foran Office se aye the isliye joote utaar rahe the...
" To... Iss se mehnoor ka kya taluk..." Unhon ne thore talkh lehje main kaha...
" App mehnoor ko bilkul wakt nahi de rahe... Use baap ki zaroorat hai.... Subah office jate hain... Phir ghar aakar Arish ke saath lag jate hain..." Unhein tayab ki soch par herat nahi hui... Unhein ab is sab ki adat si hogayi thi...
" Mahi ki fikar tum mat karo.... Esa kuch bhi nahi hai jesa tum soch rahi ho.... Main mahi ko wakt deta hun.... Lekin Arish ko bhi mere wakt ki zaroorat hai... Ab tum log to use wakt dene se rahe... To bacha main... Please mujhe mera farz sakoon se nibhane do..." Unhon ne hath jorte hue kaha aur mehnoor ko god mein utha kar bahar nikal gaye... Tayab unhe dekhti reh gayi... Woh unke iss chirchire andaaz se pehli baar wakif hui thi... Aur use unka ye naya roop bilkul pasand nahi aya... Use ehsaas hua ke ye sab uski harkatoon ka hi nateeja hai... Woh unke iss andaaz se sehem gayi... Uss wakie ke baad se woh bhi Arish ka thora bohot dehaan rahne lagin.... Zahir si baat hai shohar ko khafa kar ke woh khush kese reh sakti thin... Majbooran unhe woh karna para jo woh kisi haal main nahi karna chahti thin... Lekin insaan bebas hai...Rizwan Malik ka zyada tar wakt Arish ke sath guzarta... Woh use ehsaas e kamtari se door rakhna chahte the... Koi uski parwah kare na kare... Woh use ehsaas dilana chahte the ke woh uski parwah karte hain.... Woh aksar Mehnoor ko bhi apne saath rakhte the... Arish bhi apna dil behlane ke liye uss choti si gurya ke saath khel leta tha... Ahista ahista Mehnoor ko Arish se unsiyat si hogayi... Woh zyada tar Arish ke sath hi rehne lagi... Arish ki tabyat jab kuch behtar hui to woh school jane laga... Mehnoor ki wajah se uska school jana mushkil hojaya karta... Woh uske sath hi soti thi.... Jab woh subah school ke liye uthta to woh bhi uth jati aur use jate hue dekh kar phoont phoont kar rone lagti... Uska dil paseenj jata... Woh na chahte hue bhi uske paas chala jata... Uska apne kadmon par ikhtiyaar na rehta... Woh use god main lekar kafi der tak beitha rehta... Use sulane ki koshish karta... Lekin woh sone ka naam na leti... Kabhi kabhi woh use god main liye liye khud hi sojaya karta aur uss din uska school miss hojata... Woh ghar wapis aata to mehnoor kahan hai?... Basta wasta sab side par rakh kar bagair kapre badle Tayab ke kamre main chala jata kyunke woh use subah uth kar apne kamre main le ati thin.... Aur phir wahin beith kar mehnoor ke saath khelta rehta... Tayab bhi use kuch na kehtin... Woh ahista ahista mehnoor main itna gum hogaya tha ke use iss baat ke ehsaas bhi na raha tha ke baki sab use kis tarah dekhte hain.. Kis tarah dhutkarte rehte hain... Ab uss ke paas mehnoor thi... Uski mehnoor.... Woh uss main itna garak hogaya tha ke use ab kisi ke pyar ki koi zaroorat nahi thi... Aur mehnoor bhi use chorne ko tayar na hoti.... Woh 2 saal ki umar main kafi kuch bolna seekh chuki thi... Arish ne use ahista ahista ABCD parhana shuru kar diya aur woh seekh gayi... Ek din Rizwan Malik ko usne ABCD sunai to Rizwan Malik bohot khush hue aur Arish ko bohot pyar kiya.... Jald hi uska school main admission hogaya.... Subah uth kar ab Arish ko apne saath saath usko bhi tayar karna parta... Tayab bhi uth kar uske kamre main ajatin aur uski madad karne lagtin... Lekin majal hai jo woh unhe kuch bhi karne deta.... Uske baal se lekar uske joote tak woh use khud pehnata tha.... Woh tayar hui to apne aap ko sheeshay main dekhne lagi.... Aur phir khush hone lagi...
YOU ARE READING
Badtameez
RomanceMashoor-e-badtameez.... Arish Rizwan... Woh badtameez tha...... Na use baat karne ki tameez thi..... Na kisi se milne ki tameez thi.... Woh baron ki izzat nahi karta tha.... Woh mun phat tha... Ya phir.... Woh man ka moji tha..... Woh har kisi se...