Chapter 5

79 3 2
                                    

" Tum..." dadi ne dining table par beithe Arish se kaha... Jo abhi tak kuch der pehle samne beithi pari ke khayalon se nahi nikal paya tha..... Woh dadi ke bulane par chonka...
" Tum zara mere kamre main ao..." Woh pareshani ke aalam main dadi ko dekhe gaya... Kahin dadi mehnoor ko takne ki wajah se gussa to nahi thin... Yakeenan woh isi baat par naraz thin.... Ab to beta gaya tu Arish... Usne dil hi dil main socha.... Woh unke hukm ki takeed karte hue unke kamre main unke peeche peeche chala gaya.... Dadi ne uske kamre main kadam rakhte hi zooor se uske kaan pakar liye aur woh " ouch.. Ouch daddo dard ho raha hai..." Keh kar reh gaya....
" Bare hogaye ho.... Dadi ko bhool gaye ho... Ek baar jo apne school se call kar ke poocha ho ke dadi zinda bhi hai ke margayi...." Dadi ne shikwa kiya... Wese rishte mein to woh uski nani lagti thin par woh bachpan se unhein dadi hi kehta tha
" Sorry daddo..." Usne dadi ke hathon se apne kaan chrana chaha to dadi ne poora kaan hi maror diya.... Haye kitni takleef hui thi bechare ko.... Woh karahta raha lekin dadi ne nahi chora...
" Ainda karega..." Dadi ne use poocha...
" Nahi daado... Meri itni jurrat..." Usne bebasi ke aalam main kaha...
" Chal hat..." dadi ne uska kaan chora aur woh apna kaan sehlata chehre par dard bhare tasuraat le kar dadi ko dekhne laga...
" Namaz parhna to chor hi diya hoga tumne..." Dadi ne ese kaha jese unhe poora yakeen tha...
" Nahi dadu... Apki kasam... Panchon wakt ki namaaz parhta hun..." Usne dadi ko yakeen dilana chaha...
" Thike..." Dadi ne ese kaha jese koi itna bara kaam nahi kiya usne..,
" Ab aa gaye ho... To awara gardi karne ke bajae momuon ke saath hath batana..." Dadi ne use phir ek hukm sunaya....
" Nahi dadi... Mein soch raha hun ke khud se koi kaam karun...." Usne jese dadi ki baat se inkaar karna chaha...
" Kya karoge..?" Dadi ne use gusse se dekha...
" Main soch raha hun ke besahara buzurgon ke liye ek center kholun..." Usne shararat ke sath kaha...
" Acha... Bare nek khayal hain janab ke..." dadi ne tanziya kaha... Aur phir uski gardan ko peeche se pakar liya.... Aur woh hans hans kar kehne laga... " Acha Dadi sorry sorry..."

******************************
Woh apne kamre main beithi apne dupatte ke pallu se khelti uske baare main soch rahi thi.... Uska dil zoron se dhadak raha tha... Itni zor se ke woh ba asani apni dhadkanon ko sun rahi thi.... Woh kese uska samna karegi... Kya baat karegi uss se.... 7 saal baad woh aya tha... Kitna ajnabi ajnabi sa lag raha tha...
Halake sabse apna bhi wahi tha.... Uska iss tarah bagair batae achanak se ana uske liye bohot herat angez... Khushgawar aur khwabzada sa tha.... Woh kitne khwabon main use dekhti rahi thi... Ajj woh khwabon main ane wala hakeekat main uske ghar main mojood tha... Woh uss se kitni saari baatein karna chahti thi... Magar kese karti... Ab uska dil yahi soch soch kar halkaan ho raha tha... Najane kab woh isi kashmakash main mubtala soo gayi thi...

*****************************
" Ye kahan se aagaya..." Tayab tilmilai hui thin....
" Zahir si baat hai... Graduation hogayi hai... Uska apna ghar hai.. Ab woh yahin rahe ga...." Unhon ne do tok andaaz main kaha...
" Uss se kahiye ke koi nokri dhunde aur kahin aur rehne ka bandobast kare...."
" Kis liye..? Bhai sakoon se rehne kyun nahi dete uss bechare ko..." Woh bhi ab unke iss rawaiye se ajiz aa gaye the...
" Thike... Rehne dete hain sakoon se uss bechare ko... Lekin uss se keh dein ke mehnoor se door rahe... Mujhe uska saya bhi mehnoor ke ird gird nahi chahiye..." Unki badgumaniyan kam hone ka naam nahi le rahi thin...
" Dekho tayab begum... Mehnoor ab koi bachi nahi hai... Aur wese bhi ab woh haroon ki mangeter hai... Isiliye ye badgumaniyan apne dil o dimaag se nikaal do..." Unhon ne unhe samjahna chaha... Woh chup hogayin... Lekin unka dil abhi bhi Arish ki taraf se saaf nahi hua tha...

*******************************
" Good morning my boy..." Rizwan Malik ne kamre main dakhil hote hue kaha... Unke hath main nashte ki tray thi... Usne mushkil se apni band ankhon ko kholte hue unhein dekha... Uske sar main bohot tez dard ki leher uthi... Uske mun se besakhta Ahh nikli... Rizwan Malik ki nazrein uske barabar main pari sharab ki bottelon ki taraf par chuki thi... Woh sab samjh gaye aur ek gehri nazar se use dekha... Woh uth ke beitha to uski tabyat kuch achi nahi lag rahi thi... Uska sar bohot bhari ho raha tha.... Woh uthna chahta tha lekin uske liye ye bohot mushkil ho raha tha... Usne ek nazar apne barabar main pari bottles par dali aur ankhein ghooma kar reh gaya... Beshak use hangover hogaya tha...
" Ye sab kya hai...?" Unhon ne uss se poocha...
" Kya..?" Usne unke sawal par sawal kiya...
" Tum achi tareeke se jante ho... Ye sharab tum ne kabse shuru kardi..." Unhon ne table par tray rakhte hue kaha...
" Pata nahi... Doston ke saath peeta tha..." Usne muskura kar unhe apni makhsoos bhaari awaz main jo ke subah subah uthne ki wajah se aur dilkash hogayi thi bari hi badtameezi se jawab diya....
" Tumhe pata hai na... Sahrab peene ki... Zina karne ki... Aur maa baap ki nafarmani karne ki koi bakhshish nahi hai..." Unhon ne bohot talkh lehje main jese use danta...
" Main thehra... Najaiz... Jahanumi... Mujhe bakhshish ki koi zaroorat nahi..." Uske lehje main laparwahi thi...
" Enough is enough Arish... Apni zindagi barbaad mat karo..."
" Meri to ek ek sans haram hai.... Zindagi sanwaar kar kya karunga..." Ajj woh badguman hone ke poore mood main tha...
" Soch raha hun tumhari shadi karadun..," unhonne use ek gehri nazar se dekhte hue kaha...
" Uss se kya hoga?..." Woh unki baat par muskuraya...
" Tum sudhar jao ge..."
" Kitne chances hain... Kya pata meri biwi mujhse tang aa kar khula karle... Ya mujhse talak mange... Ya shayad khudkhushi hi karle.... Ajj kal kahan koi wafa karta hai... Aur Agar bawafa bardasht karne wali nikli to sari zindagi takleef main ghut ghut kar guzare gi.... Main kisi masoom ki zindagi kharab nahi karna chahta..." Usne unhein samjhaya... Ke unke dimaag se uski shadi ka khayal to nikle....
" Kyun..? Itne jallad ho kya tum?..." Unke sawal par uski muskurahat gehri hogayi...
" Han... Shayad..." Woh khara hua to larkhara kar phir se bed par gir gaya....
" Kaho to sirka ya limun laon tumhare liye" unhon ne tanzya kaha...
" Firdos Mamun ko le ayein... Kisi limun sirke ki zarurat nahi paregi..." Usne mazakh urate hue kaha....
" Sharam karo Arish..." Unhon ne muskurate hue use dekha... Woh jese tese utha aur attach bath main ghus gaya... Achanak se bathroom main se kuch girne ki awaz ayi...
" Kya hua?.." Unhon ne fikar main poocha...
" Kuch nahi... Woh shampoo neeche gir gaya..." Wahi laparwah andaaz... Woh bechare ek lambi sans bhar kar reh gaye....

*********************************
" Kya mujhe limun mil sakta hai?..." Usne kitchen main khari coffee banati hui mehnoor se poocha.... Woh uss bhari awaz par muri aur ek tik use ghoorne lagi.... Woh 7 saal baad uss se mukhatib hua tha.... Woh bhi uski hirni jesi ankhon main khone laga tha lekin foran hi khud ko sambhal liya....
" Maine koi esi ajeeb si cheez to nahi mangi hai...?" Usne kaha...
"Kak... Kon si cheez?.." Woh hosh main ayi....
" Mashallah... Tumhari tarah tumhari awaz bhi bohot khoobsurat hai...." Uske mun se besakhta nikla... Woh iss achanak tareef ke liye tayyar nahi thi... Apni tareef sun kar woh laal hogayi....
" Shukriya...." Usne bohot dheemi awaz main kaha...
" Wese... Kya mujhe limun mil sakta hai..?" Usne apna sawal doobara dohraya....
" Limun..?" Woh thora heraan hui... Use limun kyun chahiye tha...
" Limun... Lemon... Khatta khatta..." Usne samjhane ke andaaz main bataya aur saath hi chatkhare liye take use andaza hosake.... Woh bagair kuch kahe fridge ki taraf gayi aur ek limun nikaal kar use thama diya.... Woh hath main limun liye samne khari pari ko gehri nazron se dekh raha tha...
" Tum... Mahi ho na?...." Usne sawal kiya... use gussa aya...
" Nahi... Main maria hun...." Usne gusse se jawab diya...
" Nahi... Mera dil kehta hai ke tum mahi ho..." Usne uski baat se ittafaak na karte hue kaha...
" To kyun pooch rahe hain...." Usne shikwe bhari nazron se use dekha...
" Bas ese hi confirm karne ke liye..." Woh cabnet ki taraf gaya aur churi nikalne laga... Woh bhi uske peeche peeche gayi aur uss se pehle churi nikaal kar uske hath se limun le liya... Aur limun katne lagi...
" App bohot badal gaye hain..." Usne limun kat te hue kaha...
" Tum bhi to in 7 saalon main badal gayi ho... Pehle se 7 so gunah khubsurat hogayi ho..." Usne uske sarape ka jaiza lete hue kaha... Woh uske ek baar phir apne liye itni bebaki ke saath tareef karne par thutak gayi aur use dekhne lagi....
" App mere sath flirt kar rahe hain?..." Bari hi sanjeedgi se kaha... Uske chehre par bikhiri muskurahat ek dum simant gayi...
" Toba toba... Tum to mujhpe sarasar ilzaam laga rahi ho... Main to sirf husn ki tareef kar raha hun.... Mujh bechare ko flirt karna kahan aata hai..." Usne apne kaan pakarte hue kaha... Mehnoor ne jaldi jaldi limun ke slice kaat kar plate main rakhe aur plate uski taraf barha di... Itne main hi Tayab ka kitchen ki taraf se guzar hua to Arish ko mehnoor ke sath akele dekh kar unke tan badan main aag lag gayi aur woh ankhon main angare liye kitchen main dakhil huin....
" Tum... Tum yahan kya kar rahe ho..?" Unka sawal bohot bemaine tha...
" Mera ghar hai... Meri marzi main jahan chahe jab chahe jo bhi karta phirun..." Usne do tok andaaz main kaha... Woh uske jawab par khamoosh rahin aur use kha jane wali nazron ke sath dekhne lagin....
" Wese filhal to main yahan limun lene aya tha..." Usne mehnoor ki tarf se apni tarf barhi hui plate main se ek slice limun ka uthaya... " Bas ek kafi hai..." Aur mehnoor se kaha...
" Limun?.." Unhon ne bhi sawalia nazron se use dekha... Woh pani leta... Chai leta... Biscuit leta... Cake leta... Zeher leta lekin limun?..
" Limun... Lemon... Khatta khatta.." Usne unhein bhi mehnoor ki tarah samjhaya aur iss baar asli limun ke slice ko mun main lekar chatkhare liye aur wahan se chalta bana....
" Badtameez.." Uske jane ke baad unhon ne besakhta kaha aur apni beti ki taraf dekhne lagi jese woh koi mujrim ho aur bechari mehnoor iss sare mamle main apna kasoor talash karne lagi....

****************************
Woh deewana pata nahi garden main beith kar aasmaan ki taraf mun kiye najane kin khayalaton main gum tha...
" O... Hero..." Uske samne khare hokar ankhon main sardmehri liye woh use mukhatib kar raha tha... Usne ek nazar apne samne khare bande par dali... Woh usko ese dekhne laga jese koi ajnabi ho... Thori der donon ki ajnabi ankhein ek doosre se milin phir Arish ne apni ankhein pher lin...
" How dare you..?" Usne uska girbaan pakar liya... Woh kisi se kam tha jo peeche hat ta... Usne bhi haroon ka collar pakar liya lekin haroon se zyada mazbooti ke saath... Haroon ne bhi apni girft mazboot ki...
" Saale teri himmat kese hui... Meri mahi ke kareeb bhi bhatak ne ki..." Arish ki girft dheeli hogayi... Meri mahi... Ye lafz to srif woh hi mehnoor ke liye istamaal karta tha... Ye konsa hareef uske aage aakar khara ho chuka tha... Jo mehnoor ko apna kehne ka daawa kar raha tha... Ankhon main lahu utar gaya... Poore jism main ek ajeeb sa suroor dor gaya... Woh apne hosh o hawaas kho chuka tha... Jab hosh main aya to samne khoon main latpat haroon ko faraak malik sahara de rahe the... Woh langra kar chal raha tha aur Arish ko kha jaane wali nazron se dekh raha tha magar bechara bebas tha... Rizwan malik ne use bazuon se pakra hua tha ta ke woh aage barh kar mazeed haroon ke mun na lage... Kone main mehnoor khari ye sab tamasha dekh rahi thi... Use haroon ki halat par bohot taras aa raha tha aur Arish se woh kafi mayoos hui thi... Use nahi pata tha ke woh jise hero samjhti hai... Woh to villan hai... Apne bhai ki kharab halat dekh kar maria ke chehre par jun tak nahi rengi thi... Woh ye sab tamasha dekh kar wahan se ese chali gayi jese " koi bari baat nahi... Ye sab to hota hi rehta hai... Lekin laiba apne bete ki kee jane wali halat par mustakil roo bhi rahi thin aur Arish ko kos bhi rahi thin... Rizwan malik Arish ko ghaseent te hue wahan se le gaye...

To be continued.....

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 10, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

BadtameezWhere stories live. Discover now