"Aap paani pijiye"- usne apna jhumla dohraya, usne apna jhuka hua sar utha kar uski taraf dekha. uska ek haath steering par tha , nigaahein windscreen par the aur dusri haath jo usne uski taraf badhaya hua tha, usme mineral water ki bottle tha. wo itni la-talluf bhi nahi tha jitna wo use samajh rahe the. uska chehra dekhe baghair wo jaanta tha ki wo rahi hai.
shaayad wo zaroorat se zyada zaheen tha ya shaayad uski hissiyat bahut tez the ya phir shaayad wo us waqt us bechari aur majboor ladki se sivaai rone ke kisi aur baat ke umeed hi nahi rakha tha.
uske halq mein aanso.n ka phanda sa lag raha tha, usne fauran hi uske haath se paani ki bottle leli. usne ek baar bhi aiman ki taraf nahi dekha tha. Wo usi tarah driving karne mein masroof tha.uske paani ke bottle le lene par usne apna doosra haath bhi steering par rakh liya. bottle khol kar usne use jaldi se mu.nh se laga liya. baghair saans liye wo paani ke kitne hi ghoont pigayi. bottle band karte huye usne khud ko thodi der pehli wali kaifiyat ke muqaable mein khasa behtar mehsoos kiya.
"Aap chai piyengi?" uska nigaahe badastur windscreen per the.uskeliye jaise shishe se paar nazar aati sadak aur aage piche bhaagti daudti ghaadiyon aur buses ke alawa dusri koi cheez dekhe jaane ke layaq nahi thi.
aiman bottle uski taraf badhayi toh , usne bottle haath mein lene keliye pal ke pal windscreen se nigahe hatha kar uske taraf dekha aur phir fauran hi nigah hatha liya.
"shukariya. Maine chai ghar par pi li thi." uske lehze abhi bhi uske ansoo.n ke chuGli kha raha tha.
" Taqlif na kare .chai ke liye khaas tor par kahi rukna nahi padega.mere paas thermos mein chai hai. "usne do bar ek sur sur si nigah us par dhale huye ghadi ki pichle seat per rakha thermos ke taraf ishaara kiya.
"Mein Taqlif nahi kar rahi" uske bahut hi mohazzab aur shaaista qism ki lehza ki zawaab mein usne aahistagi se kaha. usne mazid israar nahi kiya. wo ek mataba phir usse la-takalluf hokar driving mein magan ho chuka tha. kamaazkam us safar ke doraan us ajnabi ke barabar baith kar toh wo hargiz bhi rona nahi chahti thi. usiliye ab wo qasdan aisi baatein sochne lagi thi jinhe sochte huye uska zehn maazi haal aur mustaqbil ke uljhanon se baahir aajaye.
hyderabad aur karachi itni qarib hai ye baat usne zindagi mein pehli martaba jaani thi. Wp apni cooleague se aur bakhir bhai se aur baaz dusri jaanne logon se aksar karachi taz kare suna karti thi. wp bahut saalon se jaanti thi ki us sheher mein uska baap rahta hai phir bhi uska dil kabhi nahi chaha tha yaha aane ko. aaj jab us sheher mein aayi thi to bhi uska dil wahi uski pyaare sheher ki gali ko chuu.n mein bhatakti phir raha tha.
uske barabari baitha shakhs us mukhtasar si guftagu baad baaqi saara raasta usse yaksar la-takalluf tez raftaar se driving karta raha. khud ho apni god mein dhire donon haathon par nigaahe jamaayi usne sheher ke baare mein soch rahi thi. ghadi ab ek rihaishi ilaqe mein daakhil ho chuki thi.usne nazrein daudaa kar apne daaye baaye dekha. wo koi posh ilaqa tha. wo un gharon ko baahir se dekh kar hi unme rahne wale makiino.n ke imaarat ka andaaza kar sakti thi.ghadi ka horn sunte hi chowkidar ne fauran gate wakiya. us shaandar makhaan ke vasii.a porch mein pehle se hi 3 ghadiyaa khade huye the, wo apni taraf ka darwaza khol kar ghadi se utar gayi. ek mulaazim type banda tezi se chalta hua apni maalkin ke paas aaya.
" ghadi mein se suitcase nikalkar kamre mein rakhaao?" usne mulazim ka salaam ka jawaab dete huye ghadi ki chabiya uske haath pakad aaye. mulazim sar hilata hua ghadi ki taraf mud gaya.
"aaiye umme aiman" ab ki baat wo usse mukhtaab tha.barah-e-raast uske taraf dekhta huye.
"umme aiman"- usne khud bahut ta.ajjub se apna naam dohraaya.
ye uska pura naam tha. ye uska asli naam tha. magar us naam ke gird maujood logon mein se koi bhi aise us naam se nahi pukarta tha.
aaj pehli baar kisine use is taraha uski pure naam ke saath mukhtaab kiya tha. use apna naam is tarah liya jaana bada ajanbi sa laga.
"aaiye" wo uske qarib pahunchi toh ek ba-ikhtiyar mezbaa.n ki tarah mehmaan ko pehle andar jaane ka mauqa diya. wo us ghar ka lounge tha ya drawing room wo ek nazar mein andaaz anhi kar saki.use bas baat ka andaza hua tha ki wo kamra badi khoobsurat se saja hua tha. samne sofa par ek khaatun baithi hui thi. un donon ko andar daakhil hota dekhte hi wo apni jagah se uthi.
:umme aiman!ye meri bibi hai. meri chechi.main inhe bibi bolta hu." usne usne us khaatun ka usse taaruf karwaya ,jab ki unhe uske baare mein kuch bhi nahi bataya.Ghalban wo apne ghar mein ek bin bulaye mehman ki aamad se pehli hi ba-khabar thi. kuch jhijakte huye usne unhe salaam kiya. wo samaj nahi paa rahi thi ki un logon ka uske baap ke saath rishta hai. use unhe kya kehkar mukhaatab karna chahiye.
"bahut afsos hua beta!tumhari walda ke baare mein sun kar"use haath pakadkar uske barabari mein sofa per bithate huye unhone bahut afsos se kaha.
wo raasta bhar khud ko har qism ki sochon se bacha kar rone se rokti aayi thi. magar us waqt unke taaziyati jumle ne ek dam hi uske aankhon mein ek martaba aansoo badhli.
" mera khyaal hai ki aap kamre mein jaakar fresh ho le" wo uske aur bibi ke ain sa mane wale sofa par baitha usi se mukhaatab hua.
"bibi!aapne ummeaiman ke liye kamra theek karwaya tha na?" wo uska jawaab ka intezaar kiye baghair bibi se daryaft kiya toh unhone sir hilate hue jawaab diya.
" kal shaam mein hi parveen se kamra theek karwa diya tha.aao beta! main tumhe tumhara kamra dikha du. tum mu.nh haath dhokar fresh ho le phir lunch karenge."
wo usse saath lekar ek kamre mein aagayi.uske suitcase aur bag pehle se waha maujood hai.wo kamra bhi qimati saz-o-saman se aaraasta tha.
"jab tak toufeeq aur almas waapas nahi aajata tum hum logon ke saath hi rahogi. is ghar ko bilkul apna ghar samjhke rehna. takalluf karne ki bilkul koi zaroorat nahi hai.kisi cheez ki zaroorat ho to mujhe ya haider ko be-jhijak bolna."- aise aan karte huye unhone mohabbat bhare andaaz mein usse kaha. wo jawaaban khamoshi se use dekhti rahi.
" acha ab main baahir jaa rahi hu. tum fresh holo. wo saamne bathroom hai."- uske gaal haule se chute huye unhone usse us taraha mukhaatab kiya jaise wo ek nanni si bachi ho.
ye kaun log the? ye uski itni parwa kyon kar rahe the? jab uske sage baap ko uski koi parwa nahi toh unhe kyon thi? ya phir uska baap in logon se ye baat keh kar gaya tha ki meri beti ka achi tarahkhyaal rakhna. kis baat sahih samjhe,wo kis baat ghalat samjhe. ab us kamre mein use rota hua dekhne wala bhi koi maujood nahi tha. isiliye wo puri azadi ke saath ro rahi thi. us shaandaar double bed per baithi wo apni ghar ke kone kone ko yaad karke ro rahi thi.
yunhi rote huye use shaayad 15 or 20 minutes hogi jab darwaaze per dastak hui. usne bahut ghabrayi hui andaaz mein jaldi jaldi duppatte se apni aansoo saaf kiya aur uth kar darwaaza khola toh saamne ek ladki thi.
"asslaam aalekum"- muskurate huye usne kaha phir uski jawaab dene se pehle hi mazeed goya hui.
"Mujhe bibi ne yaha beja taaki main suitcase se nikal kar aapke saare kapde almari mein rakh doo aur agar abhi pehn.ne wale kapde aapko istri karwane hai to wo bhi mujhe dede."- wo kamre ke andar aagayi.
wo use ye baat bata nahi sakti thi ki usne zindagi bhar kabhi apna koi kaam kisi mulazim se nahi karwaya. uske zindagi mein un cheezon ka kahi koi juzarta hi nahi. use apne kapde khud dhone aur istri karne ke aadat thi. balki sirf dhone aur istri karne hi kyon, balkiune apne kapde siya bhi khud karti thi.isiliye ki kisi darzi se kapde silwana wo afford nahi kar sakti thi.
" mera naam parween hai. main shuru hi se yahi per kaam karti hu. balki main toh paida hi isi ghar main hui hu. meri amma bhi yahi kaam karti hai abba mera gaav mein rehta hai. wo wah haider bhai ke zameenon ke dekh bhaal karta hai."- wo suitcase mein se uske kapde baahir nikaalte huye apne baare mein bataane lagi.
"bibi ne mujhe kal apke aane ke baare mein bataya tha. waise toh apni taraf se meine yaha par zarooratke sab cheeze rakh dee thi. phir bhi agar koi cheez kam hai toh aap mujhe bataade."- almari mein uske kapde rakhte huye usne mazeed kaha.
use andaaz hogaya tha ki wo ladki bulaa ki baatuni thi. uski musalsal kahmoshi bhi use khamosh hone par majboor nahi kar rahi thi.
"bahut shukriya,philhaal mujhe kisi cheez ka zaroorat nahi" bahut mushkil se khud ko bole keliye aamad karke use jawaab dete huye wo bathroom mein gayi thi.
YOU ARE READING
Mere Humdum Mere Dost
General FictionThis book is translation of Mere Humdum Mere Dost, an Urdu Novel By Farhat Ishtiaq. this work is not owned by translator