Chapter 5

170 6 4
                                    

*not edited*

wo kitni badhi aur khuli khuli si jagah thi.andhere se uski aankhe thodi maanus hogayi toh use swimming pool nazar aaya.wo swimming pool ki bilikul paas aakar khadi hogayi.raat ke us pahar wo paani kitna saakit aur kitna udaas lag raha tha. waha uski iklauti garden light ke alwah koi dusri roshni bhi thi.usne sir uthakar aasman ke taraf dekha toh use pata chala ki wo dusri roshni chaand ki roshni hai. wo paani mein nazar aate chaand ke aks ko dekhte huye khamoshi se swimming pool ke paas baith gayi.

"Kya baat hai ummeaiman! aap ko neend nahi aarahi?" apne aqab mein usne yeh mardaana awaaz suni aur wo puri ki puri hil gayi.kuch khauf aur bebas ki ehsaas mein usne gardhan mod kar uski taraf dekha.wo us waqt apne waha maujoodgi ka kya sabab batayegi? kya use kahi ki neend nahi aarahi thi .wo isliye yahan khudi keliye yunhi raat ke baarah baje swimming pool ke paas aakar baith gayi thi.

pehli hi din uske ghar mein aakar betakallufaana anadaaz mein uske ghar mein idhar udhar ghoomti phir rahi thi. wo apne yu bahir nikal aane par ab buri tarah sharmidah horahi thi.

chand seconds uske  jawaab ka intizaar karne ka baad wo khud bhi usse kuch faasle par wahi  swimming pool ke paas baith gaya.

"main terrace par khada tha.mujhe bhi neend nahi aarahi thi. aapko main yahan dekha toh socha ki mujhe jaakar poochna chahiye ki kya baat hai"uska andaazah bada saadah sa tha.aise jaise wo barson se unke ghar mein rah rahi thi. usne kuch ghabraye huyi andaaz mein khudi kuch faasle par baithi us shaks ki taraf dekha.uski zindagi mein baakhir bhai aur aarif bhai ke lawah kisi mard ka koi guzar nahi tha.wo kabhi co-education mein nahi padhi thi.wo us waqt us shaks se kya kahe? ya kuch bhi kahe baghair yunhi uth kar shaan be-niyaazi se andar chali jaaye.wo koi faislah nahi kar paarahi thi.

main bhi aapke hi jitna tha jab meri mom ka intaqaal hua tha. uske taraf dekhte huye wo bahut aahista awaaz mein bola.aiman ne bahut chaunk kar uske taraf dekha.

"main padne keliye america gaya hua tha.meri piche hi unka intaqaal hogaya tha.main pehli flight se karachi aaya magar unhe zindah nahi dekh paya tha.wo ab bhi bahut aahistah awaaz mein bol raha tha. uske awaaz mein maujood dukh wo bahut achi tarah pehchan sakti thi. isliye ki us dukh se wo khudi is waqt guzar rahi thi.

"wo kya bimaar thi?" uske sawaalein andaaz mein koi tajassus nahi tha.sirf dukh tha.

"wo bilkul bhi bimaar nahi thi. bas achanak hi. main toh karachi se jaate waqt ushe bilkul sehatmand aur hasta muskurata hua dekh kar gaya tha. phone par papa ne unke bimaari ke  ittilaa di hala ki haqiqat mein toh diqqat unka intqaal ho chuka tha. main yaha aaya toh pata chala ki ammi mujhe mile baghair aur koi baat kiye baghair chali gayi thi." uski baat sunte sunte wo ro padi.

"Aap roye the?" usne rote huye usse poocha.

"ha.main roya tha.us gham mein aisa lagta hai na ki hum bahut bade hogaye hai.ab hume kisike saamne rona nahi chahiye.phir main toh ladka bhi tha.mere liye toh ye baat aur bhi zyada sharmindagi ka baais thi ki main kisi ke samne rovu chahe wo mere papa aur bibi hi kyo na ho.attarah saal ki umr mein mujhe aisa lagne laga tha ki main bahut bada hogaya hu.bewaqoof tha main. mujhe ye baat pata bhi nahi thi ki dukh chupane se nahi balki kisi ke saath share kar lene se kam hoti hai." wo badi sanjeedgi se use rote huye dekh raha tha.

"apke ammi ko toh koi bimaari nahi thi. lekin meri ammi bahut bimar the.wo pichle do saalon se bimar the.wo bahut taqleef mein the." rote huye usne apne gutano  par sir rakh liya.

maazi haal aur mustaqbil ko zehn se nikaal kar sirf aur sirf us baat par ki us janmadin wali hasti jisse use bepanah mohabbat thi hamesha keliye usse choot gayi.wo is teen dinon mein is waqt  pehli martaba sirf aur sirf ammi ke liye ro rahi thi.

"maine unki sehat ki liye itni duaein maangi thi." wo usi tarah gutano par sir rak kar rote huye bol rahi thi.

"sab keh rahe the ki unke  tuf yunhi behtyar hua hai.wo itni taqlif mein the mazeed zindah rahenge toh mazeed taqleef jhelte magar mujhe un baaton se tasalli nahi hoti.aap bataye aapne kya kiya tha?aapko sabar kis tarah aaya tha?mujh se toh yeh dukh jhela nahi ja raha."

usne apne gutano par se sir utha kar aansoo bahate huye usse poocha.

"waqt umeaiman.sirf aur sirf waqt" wo us sanjeedgi se uski aankhon mein dekhte huye bola.

"waqt khud ba khud tumhare zakhmon par marham rakh dega.waqt khud ba khud hi tumahe sabar bhi de dega.mere saath bhi aisa hi hua tha.ye dukh ab bhi mere saath hai magar ye ab mujhe rulata nahi hai. maine us dukh ke saath samjauta kar liya hai.sabar kar liya hai. phir zindagi mein us ek dukh ke alawah be-shumaar khushiyan bhi toh hai." wo bilak bilak kar rote huye uski baatein sun rahi thi.

us shaks se pehle bhi in teen dinon mein bahut se logon ne use tasalliyan aur dilaase diye the magar kisi tasalli aur kisi dilaase se uski dil ki beqarari kam nahi huyi thi.lekin iske lafzon mein aisa kya asar tha ki uske dil ko qaraar aa arha tha.wo soch rahi thi ki shayad wo jo kah raha hai wo bilkul sach hai.shaayad aane waale dino mein waqt vaaqi uske us zakhm par marham rakh dega.wo jis tarah apni maa ka zikr kar raha tha usse andaazah ho raha tha ki use apni maase kitni shadeed mohabbat thi. jab itni shadeed mohabbat ke bawajood usne us gham ke saath samjauta karliya toh phir wo bhi zarror aisa karne mein kaamyab hojayegi. wo ab dupatte se apni bheegi huye chehre ko khushk kar rahi thi.

"andar chalein?" khade hote huye usne aiman se poocha toh wo fauran khado ho gayi.khamoshi se saath saath chalte huye wo dono andar aagaye.wo use saath liye kitchen mein aagaya.

kitchen ke light on karte huye wo usse mukhaatab hua."baitho ummeaiman" usne kitchen table ke aage rakhi kursi ki taraf ishaarah kiya.wo kuch hairaan si hoti kursi par baith gayi.

"tumhe mera tum kehna bura toh nahi laga?"cabinet se kuch nikalte huye usne usse poocha.

"tum mujhse itni choti ho ki aap janaab karna bada bewaqoofanah sa lagraha tha. waise by the way tumahri umr kitni hai?"uske havannaq si shakal ko dekhkar wo buradbaari se bola.

"mujhe pata hai kisi ladki se uski umr poochna manners ki khilaf samjha jata hai lekin mera khayal hai ki tumhari umr ab itni  nahi hai ki umr pooch jaane par bura maanogi" wo mazaaq kar raha tha ya sanjeeda tha wo samajh nahi payi. uski chehre ke taasurat toh bahut sanjidah qism ki hi thi. ek plate mein biscut rak kar wo plate uske pass le aaya.

"baais(22) saal aath(8) mahine"isne mahino ke hisaab kitab ke saath is tarah apni umr bataya ki wo uske us saadgi bhari andaaz par badi mushkilon se itni be-saakhta hasi chupa paya.

"thoda sa mera nadaazah galat hogaya. main tumhe satrah ya attarah saal ka samajh raha tha. khair phir bhi tum mujhse kaafi choti ho.main chauntis(34) saal ka hu.mahino ka hisaab kitab isliye shaamil nahi kar sakta kyounki  pichle hafte hi maine apni 34th birthday manaye hai." - wo plate uske saame rakhte huye wwapa mud gaya.

"goya ki tum mujhse baarah saal chaar mahine choti ho aur itne bade faraq ke saath toh mujhe poora haq haasil hai tumse tum karke baat karne ka."wo ab cooking range ke paas khada tha.

"chai peeogina?"uske sawaal poochne ke andaaz mein itna yaqeen shaamil tha jaise ki uske inkaar ka koi javaaaz hohi nahi sakta tha.

"waise main koi bahut acha cook nahi hu lekin chai aur coffee banaane mein baharhaal mujhe khaasi maharat haasil hai.tumhe mere haath ke bani hui chai pasand aayegi" wo uske jawab mein ha ya na kehne se pehle hi mazeed goya hua.paanch minute mein hi usne chai tayar kar li.

"tum cheeni kitni logi?" sugar pot uthate usne uski tarf dekhe baghair poocha.

"ek chamach" uska chai peene ko bilkul dil nahi chah raha tha.lekin ab jab usne chai bana hi chuka tha toh wo nakhre nahi dikha sakti thi.uske aur apne cup mein cheeni milate huye wo maze ke paas aagaya.

"peeo mere haath ki bani huyi garma garam mazedaar si chai."usne ek hairat bhari nigah us par aur kitchen mein lagi ghadi par dhali jo dhed baja rahi thi.raat ke dhed baje wo itne khushgawaar andaazah mein uski khatirdarat kar raha tha jaise din ka dhed baja ho.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Dec 21, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Mere Humdum Mere DostWhere stories live. Discover now