*not edited*
Bahut der wo bathroom se baahir nikli toh parveen waha se jaa chuki thi. 10 minutes baad darwaaze per dastak huyi. ek martaba phir wo uske saamne khadi thi, apni muskuraahat sammet.the
"aapka khane par intezar ho raha hia"- ye uska ghar nahi tha, jaha wo apni marzi chalaathi.
" mujhe bhuk nahi. mera khana khane ka mood nahi." qism ka koi badtameez jumle bol sakti.
wo yaha mehmaan thi. use yaha har tarah ki ikhlakiyat nibhani thi. use yaha manners ka bhaut zyada khayaal rakhna tha. wo shaanon par duppatta saliqe se phailati hui parveen ke saath drawing room mein aagayi.uske israar ke baawajood kuch khaane ka dil nahi chahraha tha.use mez par saji anwaa o iqsaam ki dishes ko dekh kar bhi bhook ka ehsaas nahi ho rahi thi.
use aisa lagraha tha ki agar wo kuch khaayegi toh use ulti ho jaayegi.
"Bibi! lagta hai aaj khaana khud aapne banayi hai" - haider ki baat se bibi ne us par se tawajju hathayi.
" ha. ye salad aur machli maine khud banayi hai."- uske jawaab par wo haule se hansa tha.
pata tha mujhe ki aaj lunch mere liye aapne kuch na kuch apne haath se zaroor banayenge.kitne saare dinon baad aaj hum chutti ka din saath guzaar rahe hai. waha wasif mujh se walima mein shirkat ke liye bahut israr kar raha tha. meine usse kaha - itne dinon baad aaj chutti ka din main bibi ke saath guzaarne wala hu. walima ki wajah se ruk gaya toh ye sunday bhi yunhi guzar jayega.
wo donon ab aapas mein masroof hogaye the. wo usse pehle use shaadi ke baare mein puchne lagi thi jis mein shirkat ke liye wo hyderabad gaya tha. wo mukhtalif logon ke naam lekar unke khairiyat daryaft kar rahi thi. wo manzar se hatzane par khud ko bahut pareshaan mehsoos kar rah thi. bibi ke saari tawajju haider ke saath guftagu mein thi.. darmiyan wo akhlakan koi na koi dish uske paas rakh toh rahi thi magar pahle ki tarah ba-zid nahi horahi thi.
pata nahi kyon use yunhi waham sa hua ki usne jaan puch kar bibi ke tawajju us per se hathayi hai. khaana khatam kar ke jab haider apni kursi se utha toh bibi apne plate piche sarkaate hui uski taraf dekha.
"tume bilkul bhi theek tarah khana nahi khaaya" wo uskeliye toh fikarmand horahi thi jaise barson ke shanaasaaii ho. wo jawaab mein kuch bole baghair uske taraf dekh kar akhlaaqan muskurayi.
haider drawing room se jaa chuka tha.
"tum bahut thaki hui lagrahi ho aiman.! mera khyaal mein thodi der sojao. use tumhari tabiyat behtareen hojayegi."- unke lehze mein bazurgaana sa pyaar maujood tha,wo jaise samajh rahi thi ki maa ke marne ke teesre din mein wo kisi tarah ki aziyat aur dukh se guzar rahi thi.
unke kehne par kamre mein aato gayithi lekin bed per lethno ko bhi dil nahi chah raha tha. uski zain mein bahut se soche jagah banaye huye the. kabhi wo ammi ke baare mein sochne lagthi, kabhi apne baap ke baare mein, kabhi apne mustakhbil ke baare mein, zindagi mein aage kya hone wala tha wo nahi jaanti thi. uske dil ko itni sari fiqre laahiq the ki wo sone aur aaraam karne ka tasawwur bhi nahi kar sakti thi. raat ke aath baj chuke the. utni der mein uske baitne ke andaaz mein bhi zara si bhi tabdili nahi aayi thi. us tah ek hi jagah jim kar baitne se uska pura jism akadh gaya tha. wo sofe se uth kar bed par aagayi magar wo bistar par let kar idhar udhar karvate badalne ke siva kuch bhi nahi kar rahi thi. 9 baje uske kamre ke darwaaze par dastak huyi usne khud hi andaza lagaya tha ki use raat ke khane ke liye bulaya jaa raha hai.
phir dastak dene ke saath use awaaz bhi di gayi thi"Aiman" - wo pehachaan gayi wo bibi ke awaaz thi.
lekin wo unke awaaz sun kar bhi dhiit bani leth rahi. unhone dobara dastak dene bajaa.i kamre ka darwaaza khol liya. use band aankhon se bhi pata chal raha tha ki wo kamre ke andar aagayi hai. qadamon ke chaap se andaaza ho raha tha hi saath koi aur bhi hai.
"so rahi hai aiman"- bed se kuch faasle par ruk kar use baghaur dekhte huye unhone jaise khud kalami ki. unke awaaz bahut dheemi thi.
"ji bibi mein utha du inhe"- ye awaaz parveen ki thi, wo usi tarah ankhe band kiye khud ko sota hua zaahir kar rahi thi.
" nahi use sone do. pata nahi bechari kitni raaton ke jaagi huyi hogi. mujhe bas ye fiqar ho raho hai ki ye bhuki sogayi hai."- unke awaaz pehle se bhi zyaada halki thi.
phir use sirf waapas palathte huye qadamon ke awaaz sunaai di. jab kamre ka darwaaza waapas band hone ke awaaz usne sunli toh aankhe khol kar kamre mein dekha. wo jaate huye night bulb jala gayi thi. kamre mein ab uthna ghup andhera nahi tha, jitna thodi der pehle tha. wo khamoshi leti ek tuk chath par lagi laus* ko ghuri ja rahi thi.leti leti achanak uski nazar ghadi par padi toh wo gabrakar uth baithi.
saadhe gyarah baj rahi hai.das bhaje aai ko dawa deni th. mujhe yaad hi nahi raha. wo zer-e-lab bad badathe fauran bed par khadi huyi. bed par se uththe hi kuch faasle par bich dusre single bed ki talaash mein nazdeek daud aayi.
na wo bed waha par tha aur na ammi waha thi.wo ek dam achanak jaise hosh mein aayi thi.uska cheekh cheekh kar rone ka dil chah raha tha.uska dil chah raha tha ki wo apna sir deewar par maar maarkar roye. uskeliye duniya mein kuch bhi nahi bacha tha. wo ek rishta jo miir tha wo bhi usse cheen gaya tha.uske paas toh koi bhi nahi tha jiske kandhe par sir rakhke ro sake.ye gham uski akheli ka gham tha.us ghamko uske saath baantne keliye koi maujood nahi tha.
wo vahshatzada hokar kamre ki darwazah khol kar baahar nikal aayi.kamre se baahir nikal kar use har taraf andhera hi andhera nazar aaya tha. wo andhere mein yu nayi andaazon se chalte huye pata nahi kaha jarahi thi.uska bas ye dil chah raha tha ki wo kuch der bilkul aasman ke niche khadi ho jaha koi deewarein aur koi chath na ho.
yunhi andaazon se chalte chalte usne ek darwazah khola toh baahir se aati huyi thandi hawa ne use us baath ki ehsaas dilaya ki darwazah khola hai. usne darwazah se baahir nikal aayi. wo us ghar ka pata nahi kaunsa hissa tha. lekin wo jagah waise hi thi jaise us waqt use darkaar thi. wo lawn tha ya baagh tha najaane kya tha andhere mein wo andaazah nahi kar payi. waha sirf ek garden light jal rahi thi.
YOU ARE READING
Mere Humdum Mere Dost
General FictionThis book is translation of Mere Humdum Mere Dost, an Urdu Novel By Farhat Ishtiaq. this work is not owned by translator