Hi readers,
I am here,again....
Thanks for your love and ratings,
I really like your performance for my story.
Please give your performance same like given.thanks again.
Please ignore my grammatical errors.because I don't have too much experience...
Now I am starting my story from last ending.. ......................................
Guys,this is my final part.so please continue to read the story.
And please,
Please,
Shere your opinion with me,that how is my story and how is my writing..
I am waiting for your reply...
Bcz your opinion is everything for me....
....................................................................
Idhar mai apne andar ki awaj se lad Rahi thi,or udhar papa or nayan... .
Sab kuchh jaise khatam hone Wala tha..
Samjh ni aa raha tha Kya Karu..
Papa,nayan par barash Rahe the..
Mano aaj than li ho ...Ki aaj ya jal Rahega ya thal......Uncle,ap galat samjh Rahe hai,
Please Meri bat ko samjhiye.
Ham log shanti se bat kar sakte hai..
Please Meri bat samjhiye..Yai samjhana chahta tha Nayan.
Bahut minnate kar Raha tha aaj wo.
Mere liye.
Apne liye.Aaj Na jane Kya ho gya tha use,
Jo roj mere papa se ladne ki bat Karta tha,unke samne aa jane par ,Sher ki tarah dahadne ki bat Karta tha.
Aaj wo.
Wo nayan,
Kho Chuka tha apni pahchaan.
Bas mere liye.Bas ek sonch thi Abhi usaki.
Kaass uncle shant ho jae.
Ghar par chalkar bat Kare.
Lekin papa ka gussa satve aasman par tha .
Wo kchh bhi kahne or sunne se mana kar chuke the.
Bas .
Nayan ko galat nigaah se dekhne ke siwa kuchh ni tha unke pass.Beech sadak par aise karte hue achha ni lag Raha tha
Kuchh log Jo aa- ja Rahe the..
Bade hi ajeebo gareeb tarah se dekh Rahe the..
Papa..
Aisa kuchh ni hai papa.
Ap Jo sonch Rahe hai sab galat hai.
Kuchh sonch kar apne ap ko samete hue,
Kuchh bolne ki himmat ki thi pankhu ne,
Wo mera sab kuchh hai,
Or fir Kyu lagta hai apko ki mai usake sath Khush ni hu,
Or kaun si extra quality hai uss ladke mai jo nayan mai ni,
Bas isliye ,
Ki wo apke haisiyat ka nahi hai. haisiyat mai Kya hai.
Bahut amir ko gareeb bante dekha hai Na apne papa.
Fir ap aisaaa....
Bas itna hi nikla or bas jharne ki barsaat ho padi.
mano asmaan ne bol Diya ho,
ki ab barish ambar se ni ankho se hogi.
pankhu ke jheel bhare ankho se.fir kuchh himmat karke bola pankhu ne.
bolna jaruri tha aaj,
Agar Na bolti to shayad aaj kuchh galat ho jata .jiski jimmedaar kewal or kewal pankhu hoti.Magar ab to koi ni hai Na usake pass.siwa mere,
Mai or ap hi to hai usaki duniya,
Sab to khatam ho gya usaka....
Ab mujhe bhi...............
Itna kaha tha ki age bolne ki himmat Na hui usaki.....
Usaka gala Bhar aya tha,
papa yai sab bate sun to rahe the magar pankhu ke muh se bardaast ni kar paye or wo.......
Wo kuchh dur jakar khade ho gae..wo shayad yai chah Rahe the ki Kisi bhi tarah pankhu chup ho jae.or wo kah de Jo wo
Usake papa sunna chahte the.
Ab bas...
Bahut ho Chuka tha.apne pyar ko itne sare proof ki jarurat.a kheer kaun si galti ki hai pyar karke.
Kya duniya ki sabit Karne ke liye pyar Kiya tha usane...
or fir papa ka aisa bartav.
kuchh samjh ni aa raha tha use.
Yai dekh kar wo saham gai....Sham dhal chuki thi or traffic lights bhi on nhi thi sadak ki.
aaj shayad sab bhul gae the apne kam.Aaj tha hi kuchh ajeeb.
sab kuchh dhoondhla dhoondhla dikh raha tha.bheed itni thi ki Kisi ko dekh Pana bhi muskil tha,
sadak bhi vehicle se bhara pada tha.
kitna ajeeb tha yai sab...
Or Kyu papa ni man Rahe the Ghar Jane ko.
Kyu sadak par hi sab kuchh karna chahte the.
Pta ni Kya manjoor tha kismat ko.
Nayan ko paa sakegi ya ni bas yahi sonch Rahi thi.Kitne sapne dekhe the unlogo ne sath mai.sab kuchh khatam kar denge yai log.unke riwaj, rashm ,Kyu unke jine par ek question mark ki tarah tha.
Kya pyar karna ek gunaah hai.
Or ha to kyu
Kyu banaya pyar ko,
Koi jawab dene Wala ni tha.bas yai lag Raha tha koi aa jae or bol de mai hu Na .kyu tension mai hai.
Mai mana lungi Na tere papa ko..
Bas sonch sonch kar ro Rahi thi.
Shayad papa man jae,
apna chehra dikhane par shayad unko kuchh bharosha ho nayan par.kyunki pahle kabhi bhi papa gussa hote the to kewal usaki masoom sakal par hi has padte the papa....
yai sonch kar apne ruthe papa ko manane chali hi thi pankhu.Ki tabhi achanak ek truck disbalanced ho gya.
bahut kosis ki driver ne truck ko sambhalne ki magar.......
undono ki takdeer ne use rukne Na diya ..........
or
waha khade un dono ko ek Karne ke liye....Bas unke pass se gujar gya.........
papaaaaa.....
Bas ek cheekh se thahar gya tha manjar waha ka.Mano zindagi ne usaka hath asmaan ko de diya .
sambhal ke rakhne ke liye.
Unke rishte ko,
Pyar ko........
Diwaro mai tutate hue nakamyaabi ko.
zindagi ne dubara mauka diya tha unhe khul ke jine ka.
Ha yai jarur tha ki wo ab waise ni the jaise hona chahie.
Magar pyar or bad gya tha.
Saari diware toot chuki thi or.
Bas
Nayan
Or
Pankhu.
har rishte se badhakar apne pyar ko gale laga Liya tha undono ne..
Ek ajeeb si muskan thi dono ke chahre par.
Or pankhu.
Or bhi jada khubsurat lag Rahi thi.
Bilkul
Chandani
Ki tarah...Unki body khoon se latpath thi.
Kya ho gya achanak...Dono ka sharir jameen par beshudh pada tha or waha logo ki bheed ikathha thi..chauraha hone ki wajah se police ko bhi ane mai der Na hui.
Daud kar aye usake papa usake pass.
Bahut kosis ki thi uthane ki.
Manane ki .
Ki ab ni hai naraj tere papa.
Uth ja ab ni Karni apne man ki.
Bas ek bar Fir se mujhe pukar le.
Par apni aankhe band kiye hue pankhu ne
Saaf
Saaf
Inkaar kar diya.
Naraj ho gai thi wo
Apne papa se....
........................................................................
Khuli aasman mai kitni achhi Hawa thi.
Wo or nayan..
Wow bahut achha najara tha uper se.
Waah.
Ab use Kisi proof ki jarurat ni thi.
Or ha
Ab papa bhi ni the,usaki haisiyat dekhne ke liye.
Achha laga tha use aaj.
Bas ab wo dekh Rahi thi to apne papa ko.
Kitne betaab the ab
Usse bat Karne ke liye.
Pahle Kyu ni samjha papa ne.
Bas sonch hi Rahi thi ki achanak...Nayan ne usaka hath pakda or chal diye dono apni duniya mai.
Usi ice cream corner par.
Ab unhe iss bat ka dar ni hoga ki Koi unhe dekhega to ni.
Kash papa ne samjha hota
Yai sonchne ke alawa ki unki ijjat ka Kya hoga.or log Kya kahenge..Kya sonchenge....
..........,.............................................................
Akshar aisa hota hai Na ki log ekdusare ko samjhne se Jada time iss cheez mai waste kar Dete hai ki log Kya samjhenge.
Kyu wo apne hi bachhe ko ni samjh pate jinhe wo bachpan se palte hai..or apni jid ki khatir wo apni bachho ke khushiya Puri ni hone Dete.
Hame to yai bhi samjh ni ata ki koi certificate bhi ni Dete ki agar
Mai apni Khushi ki khateer tumhari Khushi khatam kar Raha hu .
To yai daawa hai ki ap Khush rahoge..
Kyu.....
Agar ap Khush hone ka daawa ni de sakte hai to
Itna to de hi sakte hai ki wo Khush Rahe .....
Agar wo yai proof kar Rahe hai ki.they can survive.they can do much better.
they will be happy.
Then why not...
We have to give him a chance for doing better for his life.
Kyunki agar wo apki wajah se hare to wo apko tab tak koste rahenge jab tak ap unhe yad rahoge.
Or agar apne unhe unka mauka de diya.
To wo Kisi bhi cheez ke jimmedaar khud ko samjhenge..
......Complete....
........................................................................
Thanks ......
Dear readers,
For reading my story.and giving me your valuable time.
And please
Give me your suggestion for writing a new story
And off course tell me.
Which type of story you want to read..
Thank you so much.........
![](https://img.wattpad.com/cover/198075231-288-k446036.jpg)