Hello readers,
I am pankhu,
I am new in your world....
But I know you will help me to grow better .
Actually I need your support.
Now I am going to write a short story,and I hope you will really like this.and this story is in Hindi language.so please read and enjoy ,
And please ignore my grammatical errors.becaouse I don't have any experience.so please support me to write better for you.
Thank you.
Now I am going to write my story.Halki halki sham ho chali thi,chand asman mai chamkne ko betab ho chala tha,raste bhedbhad se bhare hue the.ise dekh kar aisa lag raha tha ki, aaj Kal ke insaan ko Kisi or ki parwaah hi nhi Rahi.hoti bhi kaise,duniya ke riti riwaj ,sab jo badal chuke the..................................................................
ek samay tha,
Jab insaan ko insan samjhta tha,bhavnaye thi,bandhan the,
Na jane kis gart mai gir gya hai hamara samaj .
Yai sonch hi Rahi thi ki achanak se yad aya ki kaha hai wo.abhi yahi to thi,bas kuchh Palo mai badal gya na sabkuchh.dekha asmaan kale ho chuke hai or wo badlo se bat kar Rahi hai.kuchh samjh hi nhi aa raha tha ki hua Kya hai.
Tabhi dimag par jor dalte hue yad Karne ki kosis ki .bas
Kuchh lamhe pahle ki to bat hai .
Kya ho gya. kis tarah bhikhar kar rah gya usaka sapna.
Kuchh lamho mai hi insaan ke halaat kaha chale jate hai or wo yad Karne par majboor ho jata hai ki aisa bhi ho Sakta tha .....
Sonch kar aankho mai aanshu aa gae.neeche dekha to hosh udd gae,dimag ne Kam Karne se saf mana kar diya.samjh nhi aa raha, tha kis tarah samna Kare wo in Palo ka.
wo, wo khab ,wo sapne ,
Sab neeche bikhara pada tha.
Usake riwaj
Rasham
Bandhan
Samaj
Ijjat
Daulat
Sab kuchh
Yahi to thi usaki asli jagah.
Bas ,
Nhi the to wo or usaka pyar.
........................................................................
Iss bhedbhad ki duniya se hatkar koi or bhi tha.jisko in sabse jada intjaar tha, Chand ke chamkne ka.
Lambe bikhare ball Jo kewal Hawa se bate kar Rahe the.
Gora rang jis par Heera ki bhi chamak fiki LageHalki bhuri aankhe.jisme dono jahan sama jae Fir bhi gahrai ka pta Na chale.
Hansta hua chehra.or dubli patli ladki.
PANKHU....
Abhi sham ke 7 bje the.
Or office se chhut kar Ghar Jane ke liye bas ayi thi sadak par.2-4 kadam chale hi the ki achanak se ek bike aakar ruki usake samne.mano rasta roka ho Kisi ne usaka.
Ek dam se sann raha gya man.laga kaun hai Jo itni badtmiji kar Sakta hai khuleaam.koi dar hi nhi rah gya Kya Kisi ka.
Apni aankho ko laavaa ki tarah karke uper najar uthai .or fir palke jhukne par majboor ho gai.
Us Chand se cahre me ek hanshi foot padi.thoda khilkhilane ke bad wo bike par baith gai .
Safar Jo Tay karna tha usse
''is zindagi ka.........''What will be happen after sitting on bike...
Please continue to read the Story.
And please readers comment me,how is my story.
Can you imagine or not.becaouse your comment is my power to improve my skills to imagine you the best story.
Thank you so much.....