Hello readers,
I am here again....
Thanks for your love and ratings,
I really like your performance for my story.
Please give your performance same like given.thanks again.
Please ignore my grammatical errors.because I don't have too much experience...
Now I am starting my story from last ending........................................Bike par baithi hi thi ki achanak se ek pyari si awaj ne usse bola....
Aaj kaha chale.
Kis duniya mai jana chahengi ap..
thoda sa bachapna or thoda sa pyar.
dono ko mix karke,
Pankhu ne bola.mangal par chale..
Or fir ek hanshi se Pura mahaul apne jaisa bana diya .
Wahi tha yai...
Jo usake dilo dimag par yu chhaya tha,jiske liye din Na din tha or raten Na raat.bas wo tha...
Usi mai thi usaki saari duniya.
Halka geruwa colour.gol chehra, aisa lagta tha ,bas ,
dekhti Rahe wo usako.
Dono jaha ki takat bhi ek ho jae tab bhi,
Usaki najar Na hate usse.
NAYAN
Nam tha usake...
Jissse usaki saanse chalti thi.
Jise dekh kar wo zindagi ke Mayne badal lena chahti thi.
Na jane Kyu aisa lagta tha ki bahut achhi hogi usaki apni duniya .sabse dur bas wo or usaka Nayan.yahi sapna sajaya tha dono ne mil kar.
jada to ni.magar 10 saal ho chuke the usake relationship ko.ghar mai lagbhag sabhi jante the,in dono ko.
jante bhi Kyu ni..
Bachpan ka pyar jo tha.sab to raji the iss bat se.
Mom
Dad
Bhai
Bas papa hi to the.
Ek business man papa.jo apni ijjat daulat or takat ke liye kuchh bhi kar sakte the.bas nhi karna chahte the to pankhu ki saadi..bas Nayan se.duniya ke sabhi ladke pasand ho sakte the papa ko. Magar Nayan Na jane Kyu.....bahut kuchh sonch Rahi thi kitna time.kitna time beet jata hai insaan ko.
Magar use pahchaan nhi pata.
Yahi to kar Rahe the usake papa.bas
Pahchaan hi nhi pae the...Magar aisa lagta tha jaise Kal hi to mile the or aaj sath mai hai ..
....................................................................
Bahut ajeeb hoti hai Na yai apni duniya.
Sabse alag.jisame ap kewal uss insaan ko rakhna chahte hai.jise ap bahut pasand karte ho.jo apki har bat ko samjhta ho.har bat ki kadar Kare.bas itni si hi to hoti hai yai duniya..
Magar iss chhoti si duniya ko basana itna saral ni tha....bas yahi sonch Rahi thi baithi baithi......
Aaj kuchh alag hi lag Rahe the.mano zindagi ka maksad badal gya tha.man bahut ajeeb sa tha aaj.itni der khamosh hui.to laga jaise Kisi ne,
Girte hue shant jharne mai pathhar fek diya ho.or jharne ki shanti ko bhang Karne ki kosis ho...Nayan- hua kya hai aaj apko..itni khamoahi Chand par.
To mangal par Kya hoga...Thoda sa majak ke mood mai akar Nayan ne chhedne ki kosis ki..
Itna suna hi tha ki usaka gussa control se Bahar ho gya.
Chand par ashanti hai
To mangal ko itni Chinta kyu hai.Muh banate hue pankhu ne Nayan se bola.
Mano apni narajgi ka ijhaar Kiya ho..
Or manane ki asha se bachho jaisi jid ki ho..Achha.bat ni
Jab mangal dur chala jaega na.
Tab Chand dhundhega.magar mangal,bas duur se chamkega.or apni Chand ko dekhta rahega....Apne saare pyar ko 2 lafjo mai byaan kar diya tha Nayan ne...
Yahi to adaye thi,jo pankhu ko usaki taraf Na chahte hue bhi le jati thi..
Usaki bato ko bina bole samjhna or,
Or bas,, bina jataeBas
Mahsoos karana.Ooooh
Kitna pyara sama hai,.
or iss sama mai,
Puri duniya sama jae Meri.Ek thandi aah bharte hue asmaan ki taraf dekha.
Mano asmaan ne bhi bol Diya ho.
Jao jeet gae tum hamshe..
De di azadi .bas Safar Tay karna hai tumhe...apni zindagi ka....Kya hua yrr..
Aaj itni udashi Kyu hai..
Mera man ni lagta
Ab iss khamoahi mai..Apni narajgi btate hue Nayan ne bola.
K k kuchh ni pagal.
Bas apni duniya ke bare mai sonch Rahi thi...
Kash ham sath ho pae..
Kash hame koi alag Na Kare.
Kyunki alag hokar jina bhi to mumkin nhi..
Pankhu ne kaha...Kaun kar Raha hai alag hame.ham alag kaise ho sakte hai.
Ek pyari ki muskan or usake mathe ko chumte hue Nayan ne bola.
Kaisi bate sonch Rahi ho.hua Kya hai aaj..Usake iss behavior se thoda atpata lag Raha tha magar use sambhalne ki Puri kosis ki thi Nayan ne...
Tabhi usaki bike achanak se ruk gai...
Or rokna itna tej tha ki Na chahte hue bhi pankhu bahut tej se takrai..bahut sambhalne ki kosis ki magar nakamyab Rahi...Yrr koi aise bhi bike rokta hai..
Pankhu ne gusse mai bola...Achanak Nayan ne ishare mai btate hue kuchh dikhane ki kosis ki...jaise kuchh ajeeb ho.or pahli bar hua hai....
What will be happen after seeing that..
Please continue to read the Story.
And please readers comment me,how is my story.
Can you imagine or not.becaouse your comment is my power to improve my skills to imagine you the best story.
Thank you so much.....