Meri Pehli Crush (CHAPTER :1)

66 2 0
                                    

Hello doston !!! Mera naam hai Abhay Rajput. Mein Jammu se hu.
Yeh kahaani tab ki hai jab mein college me tha... Humare college ki vacations shuru hone wali thi ki tabhi university ki taraf se ek notification aaya ki university ek "College Fest" shuru Karne wali hai. Iss Fest mein yeh tha ki Jammu University se affiliate kuch colleges ke "2nd Year" ke students ek sath campus mein study aur baaki study related activities karne waale the. Ab aise bahut kum hi students hote hain jo vacations ko thukra-ke padne ki soch rakhte ho. Aur unfortunately mein unhi mein se tha... Ek padhaku, Average looking ladka jiski life ka sirf ek hi maqsad tha...PADHAI...PADHAI aur sirf PADHAI. Toh meine iss fest ke liye apne college mein apna naam de diya. Ab chuttiyan shuru ho chuki thi aur humara campus Jammu University me tha. Alag-Alag college ke students ko University mein ikathe hona tha.
Mein bhi university pohunch gaya uss waqt 9:55 ho rahe the. Main university me enter Hua aur woh jagah dundne laga jaha meri class honi thi. Aakhir kaar mujhe woh jagah mil hi gayi. Meri class Biology department mein honi thi...(Kyunki mein Biology student hu obvious hai). Mein department mein daakhil Hua waha students ke baithne ke saare arrangements ho chuke the. Toh mein waha second row mein 5th desk pe baith gaya. Uss waqt class mein kaafi students already aa chuke the...Takreeban 50-60 honge. Mein chup-chaap baith gaya aur apna bag khola aur BioTechnology ki book nikaal kar padne laga. Hume yeh bataya gaya ki kuch 15 minute mein class shuru ho jayegi. Tabhie meri nazar room ke entrance door pe padi aur meri aankhein bas wahi khoo gayi...Meri nazar ke saamne ek khubsoorat si ladki halki muskaan liye class room ki taraf badh rahi thi... Mujhe aisa laga jaise garmi mein koi thandi hawa ka jhonka mere chehre se hoke guzraa hai... Meri body mein ekdum se ek current sa daud gaya (goosebumps). Nazrein uske chehre se hatne ko taiyaar hi nahi thi...Usne laal rang ke kapde aur churidaar pehna tha... Mujhe love at first sight pe yaakein toh nahi tha par usse dekhne ke baad mein yeh jaan gya ki love at first sight naam ki sach me koi cheez hoti hai. Uss waqt aisa lag raha tha mano yeh sirf mere liye aayi hai (woh baat alag hai ki woh padne ki niyat aayi thi, mein bhi, par meri niyat ab kharab ho chuki thi, kharab matlab ab mujhe woh pasand aa chuki thi).
Ab mein ek kitaabi-keeda (bookworm) tha par uss din na toh class mein dyaan laga aur na padhai mein. Woh mere desk se 2 desk piche baithi thi..Mujhe Jab bhi mauka milta mein usko piche mud-kar dekh leta. Puri class ke waqt mein sirf yahi sochta raha ki kaise usse baat karu...Ki tabhie class khatam hone lagi aur Attendance ke liye Prof. ne sabka naam lena shuru kiya (Han humare yaha kuch professors class ke baad Attendance lete hain)
Attendance aage badhate hue Professor ne naam liya Anshika toh usne jawab diya Present Sir!! Meine ghum kar piche dekha aur mujhe pata chala ki uska naam Anshika hai...Uska naam sunkar ek halki si muskaan mere chehre pe aa gayi aur mein niche dekh kar muskurane laga aur bag ko zip karne laga. Sabhie students class se bahar jaane lage...Ek taraf jaha mujhe Anshika se milne ki khushi thi wahi dusri aur usse baat na kar paane ka dukh bhi. Ab mein Boys Higher Secondary me padha Hua ladka aur college mein bhi 1 saal tak kisi ladki se zayada baat nahi ki pasand aana toh dur ki baat hai (aur sach batau toh mujhe apne college mein koi ladki itni pasand kabhie aayi hi nahi...Aur ab aayi bhi toh kaun...dusre college ki). Jab school mein tha toh 8th tak 1-2 ladkiyan thi class mein par kabhie woh feeling unke liye aayi hi nahi (yan toh kya pata mere hormones thode late develop hona shuru hue). Par ab aisi ladki thi jo mujhe behad pasand thi aur mein kuch bhi karke bas usse baat karna chahta tha....
Class khatam hote hi sabhi students bahar gaye aur mein bhi apna bag uthakar nikal pada ....//

To Be Continued

WRITTEN BY
ABHISHEK SINGH RAJPUT

The CRUSH - (Hindi)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें