...//Toh mein facebook chala hi raha tha ki mere dimaag mein ek signal sa aaya ki kyun na mein Anshika ko fb pe dundhu. Toh meine Facebook pe Anshika search kiya...Ab bhai dikkat yeh thi ki waha hazaaron Anshika thi...Ab inn mein se meri wali kaun si thi woh kaise pata karu. Ek toh uska pura naam bhi nahi jaanta upar se yeh bhi nahi pata ki woh Facebook use karti bhi hai yan nahi. Lekin mein uske khayaalon mein khoya search pe search kiya jaa raha tha dewano ki tarah honthon pe muskaan liye. Lag rhaa tha ki kab uski ID mile par meri buri qismat mujhe aajtak dundne pe kabhi apne socks nahi mile phir ID kaise mil jaati aur woh bhi uski jiska pura naam tak mujhe maalum nahi tha. Par kehte hain na jawaani ka yeh woh time hota hai jisme ladke duniya bhar ke ch*tiyape karte hain. Mein bhi wahi kar rhaa tha.
Thak haar ke jab mujhe uski ID nahi mili toh Maine facebook ko kiya side aur book padne laga. Chetan Bhagat ki Half-Girlfriend pad rhaa tha mein aur bas ussi ke baare me soch raha tha. Book ke kuch chapters padne ke baad meine book band ki aur bed pe let gaya. Mera dimaag sirf aur sirf Anshika ke baare mein hi soch raha tha. Sach kaha toh aisa mere sath pehle kabhie nahi Hua. Kabhie aisi ladki mili hi nahi jiske baare mein Maine itna socha ho. Aur sochu bhi kyun na aakhir zindagi mein pehli baar itni khoobsurat ladki ne mujhse baat ki. Mein wahi baatein yaad karke muskura raha tha jo Anshika aur mere bich hui thi...Zayada toh nahi thi par puri raat unke sahaare guzaar lu utni toh thi.
Isi intezaar mein ki kal ab Anshika se milna hai mein so nahi paa raha tha. Kuch der apne hi khayalon mein khone ke baad mujhe kab neend aa gayi pata hi nahi chala aur mein subha takreeban 6 baje uth gaya.
Taiyaar hote hote 7:30 ho gaye the. Meine kuch der apna favourite serial Taarak Mehta Ka Ooltah Chashmah re-telecast dekha aur 9 baje mein university ke liye nikal pada. 9:40 pe mein university mein tha. 10:30 baje humari class shuru ho gayi. Meri nigaheen Anshika ko taalaash rahi thi par woh mujhe kahi dikhi nahi. Mein class mein jaake baith gaya woh class mein bhi nhi thi. Professor bhi aa gye class start bhi ho gayi mujhe laga ki aaj Anshika nahi aane wali. Sach kahu toh dil ekdum se udaas ho gaya. Kuch dus minute baad Anshika classroom mein enter hui. Aur Mere piche wale desk ki taraf badne lagi aur mujhe usne haath-hilakar hello bhi bola apni dheemi awaaz mein. Meine bhi usko DHEERE se hello bola aur woh thik mere piche wale desk pe jaake baith gayi. Mein man hi man khush hone laga. Aur hon bhi kyun na. Kaunsa roz roz itni khoobsurat ladki se hey/hello sunne ki aadat thi mereko. 40 minute ke baad class khatam hui. Mein aur Anshika classroom me hi the jabki bahut se students class ke bahar jaane lage.
Tabhie Anshika ne mujhse pucha "Abhay! Tum exactly kitne baje aa jaate ho?"Maine jawab diya "Kareeb 9:30 tak pohunch jaata hu mein. Par tum late kaise ho gayi?"
Usne kaha "Jammu ka traffic aur upar se auto milna bahut mushkil hain isiliye late ho gayi. Par tum itna jaldi kyun aa jaate ho. Class toh 10:30-11:00 baje ke kareeb shuru hoti hai na"
Abb usse kaun samjaaye ki usse milne ki excitement mein jaldi aa gaya. Toh Maine kaha "Kuch nahi aise hi subha bore ho raha hota hu isiliye jaldi aa jaata hu"
Toh usne pucha "Bore aur woh bhi apne ghar mein...apne ghar mein kon bore hota hai bala"
Toh Maine kaha "Han apne ghar mein toh insaan bore nahi hota par mein jaha rehta hu woh mera ghar nahi hai...meine rent pe room liya hai. Mein basically Kashmir se hu"Toh usne kaha "Kashmir!! kya baat hai yr...Tum Kashmir se ho...aur itni beautiful jagah ko chod-kar tum yaha pad rahe ho. Waha dil ni lagta kya tumhara?"
Ab usse kaun samjaaye ki dil toh mera yaha lag chuka tha. Meine jawab dete hue usse kaha "Nai woh actually waha bahut se masle hote rehte hain isiliye meine jammu admission le liya"
Toh usne kaha "Yaar Kashmir kitni Pyaari jagah hai...I wish ki ek baar mein waha jaa pau"
Toh Maine kaha "Koi baat nahi...Ek din tum pohunch jaaogi waha..." Man hi man mein yeh soch ke muskura raha tha ki ek baar apni shaadi ho gayi toh phir toh tumhe Kashmir hi rehna hai.Toh usne kaha "I wish yar. Par tum batao na Kashmir ke baare mein detail me"
Phir humne 1-2 ghante lagataar baatein ki aur baaki classes padi. Ab aaj ke liye saari classes khatam ho gayi thi. Toh Anshika ne mujhse kaha "Yaar sachi mein aaj tumhari company thi toh mein bilkul bhi bore nahi hui"
Mein man hi man soch raha tha ki yeh company mein tumhe puri zindagi dena chahta hu.
Usne kaha "Hello ! kaha kho gaye?"
Meine hadbadaate hue kaha "Ah! kahin nahi... mujhe bhi zayada boring feel nahi Hua aaj"
Toh usne kaha "Acha tum Regular toh aaoge na...Nahi toh bore hona padega mereko"Toh Maine kaha "Tum uski fikar mat karo nahi hogi tum bore ...aur waise bhi Maine tumhe kaha tha na ki mein kabhie chutti nahi maarta"
Toh usne mujse pucha "Waise Tumne kabhie class bunk nahi ki kya zindagi mein?"
Meine kaha "Kabhie bhi nahi "
Toh usne mujhse kaha "Toh kyun na kal ki classes bunk karein"
Meine usse pucha "Kya matlab kal hum university nahi aayenge. Chutti marenge?"
Toh usne hanste hue mujse kaha "Arrey nahi pagal...Chutti aur bunk mein bahut farak hota hai..."
Ek baat batau kasam se bahut acha lagta hai jab itni sundar ladki 'pagal' bolti hai toh.
Toh meine usse pucha "Toh kya farak hai phir bunk aur chutti mein"Toh usne kaha "Arrey yar ab mein tumhe kaise samjaau...Chutti matlab ki hum ghar se hi na aaye aur bunk matlab ghar se toh aayein par class attend na karein"
Meine usse kaha "Class attend nahi karenge toh phir kya karenge?"
Usne jawab diya "Ummm!! let me think...kyun na hum bunk karke kahi ghumne chalein...kaisa idea hai?"
Meri toh maano khushiyon ka thikaana hi na raha ....Itni khoobsurat ladki ko mere sath bunk maar ke ghumne jaana tha...Ab isse acha mere sath kya hi hoga.
Toh Maine excited hoke usse pucha "ghumne? par hum jayenge kaha?"Toh usne kaha "kahan jaye? arrey yaar kahin bhi ....kisi park mein jaate hain"
Ab bhai jammu ka sabse famous park toh Bagh-E-Bahu hai. Toh Maine usse kaha
"BAGH-E-BAHU chalein??"
Toh usne kaha "Bagh-e-bahu! ok done kal chalte hain phir. Kal 10 baje university entrance pe milna...Bye"
Maine apni khushi ko sambalte hue kaha "ok theek hai bye...."
Aisi kaun si ladki hoti hai jo saamne se kahe ki chalo ghumne chalte hain...Par usne mujhse kaha...Yeh meri saalon ki mehnat thi itne saal meine kisi ladki ke baare mein socha nahi ab itni khoobsurat ladki mere sath ghumne jaana chahti hai toh yeh saalo ki tapasaya nahi toh aur kya hai.
Mein bahut ki khush tha ki ab mein aur Anshika ghumne jaane wale the...Aaj pata nahi neend aayegi bhi yan nahi...Na jaane aaj ki raat kitni lambi hone wali thi. Mere aur Anshika ke BAGH-E-BAHU ghumne jaane mein bas ek raat ka hi fasla tha.//To Be Continued.
WRITTEN BY
ABHISHEK SINGH RAJPUT