Chapter 8

66 4 0
                                    

Ved's point of view

Mai Vedika ki birthday par business ki wajah se nahi aa saka. Woh mujshe naraz thi isliye maine usko shopping lekar jane ka wada kiya. Aur woh man gayi. Mai evening mei jaldi se ghar pauchna chahta tha ki pata nahi kaha se scooty beech mei aa gyi.
Maine scooty aur ladki ko dekha. Ladki ko mai janta nahi tha aur mai ache se janta hu ki yeh ladkiyo ka kewal bahana hota hai. Jab woh mere par chillayi th mai ache se samjah gaya isliye uski help karne ke wajaye car start kar di. Mirror se dekha th ladki aur scooty ko kuch nahi hua tha. Ghar paucha th Vedika hall mei hi mera wait kar rahi thi aur hum mall ke liye nikal gaye.

Next day,
Dinning table par Vedika boli, "bhaiya aj aap mujshe college chor dege kya? Apke raste mei hi padega."
Th Maine hami bhar di. Jaise hi apne room se taiyar hokar niche aya th Vedika ki awaz suni, "mai bi college ja rahi hu.... Sath mei chalte hai bhaiya hum dono ko chod dege."
I shook my head that uski friends ka mere ghar ate hi ana start ho gaya. Yeh koi nayi bat nahi thi mere liye. Usko kitni bar data par woh yeh bol kar tal deti hai ki jab mere bhaiya itne handsome hai th mai kya karu.
Tabhi mummy boli, "ha aur car se jaldi bi pauch jayegi."
Aisa th pheli bar hai ki mummy Vedika ki friend ka support kar rahi hai jarur koi bat hai. Par mai kuch nahi bola.
Jaise hi mai Vedika aur mummy ke pas gaya th samane khadi ladki ko dekh kar chouk gaya. Yeh th kal wali ladki hai. Aj tak isko kabhi yaha nahi dekha. Aur Vedika boli, "lo bhaiya bi aa gaye."
Jaise us ladki ne mere ko dekha th ghabra gayi pata nahi usne aisa react kyu kiya jaise kisi bhoot ko dekh liya ho. Par mai najarandaz karke parking area ki taraf chal diya. Vedika aur woh bi piche piche aa rhe the.

Mai driving seat par baith gaya. Vedika front seat par baith gayi aur window se  usse boli, "di, jaldi karo mujshe bi late ho raha hai."
Jab woh baith gayi th maine car start ki.
Vedika haste hue boli, "di, yeh mere Ved bhaiya hai." Lo ho gayi yeh ladki fir shuru.
Woh halka sa meri taraf dekhar muskurate hue boli, "hey" par maine koi jawab nahi diya.
Fir Vedika boli, "ved bhaiya yeh nisha di hai kavita ki cousin." Jaise hi maine nisha naam suna maine us ladki ki taraf dekha par woh normal thi. Iska matlab yeh woh nahi hai joh mai soch raha hu.
Jab usne mujshe fake smile di maine road ki taraf dekha. Vedika dubara boli, "bhaiya pata hai apko... Kisi batmeez insan ne nisha di ki scooty par takar mar di.. unki scooty kharab ho gayi aur usne inki help bi nahi ki... Pata nahi kaise kaise log hote hai."
Maine usko mirror se dekha th woh Vedika ko ghur rahi thi. Uske chehre ke bhav ude hue the. Usne Vedika se meri bhut burai ki thi. Islye wh haste hue boli, "koi nahi... Vedika jane de.... rat gati bar gayi.... Waise bi Raman scooty sahi karne ke liye de kar aa gya hai."
Vedika boli, "aise kaise jane de.... Apko jab bi wh dikhyi de mere ko batana.... Mai acha sabak shikhugi.... Kyu bhaiya?"
Par mai th usko hi dekh raha tha ki woh kya bolti hai? Itne me Vedika fir boli, "chalo di... Mera college aa gaya... Bye.... Aur bhaiya... Di ko unke office chod dena."
Jaise hi Vedika  utarne lagi wh boli, "mai yaha se auto le Lugi... Jayada dur nahi hai mera office." Par vedika boli, "koi nahi di.... Bhaiya chod dege. Kyu bhaiya?"
Maine bola, "thik hai.... ab tu college ja... Bye." Jaise hi woh utari, mai usse bola, "mai driver nahi hu."
Aur woh fatafat se utar kar front seat par baith gayi. Aur maine car start kar di, jaise hi mai kuch bolne jo hua ki usne bolna start kar diya, "Actually, mujshe pata nahi tha ki tum Vedika ki bhai ho... Warna mai aisa nahi bolti... Please usko mat batna ki woh tum the warna bagbad ho jayegi... Waise bi shayad meri hi galati thi..... I mean.... It's my mistake. Definitely, it's my mistake. Please usko mat batana. Uske badle mei tumko kuch bi mere se help chahiye th mai kar dugi. Pakka." Mujshe yakin nahi ho raha tha ki woh itna bol rahi hai. Uski bate sun kar mere sar mei dard start ho gya aur maine apna Dhyan road ki taraf laga diya
Kuch der bad woh fir boli, "yahi side mei rok do.... Agar koi dekh lega th office mei gossip start ho jyegi."
Th maine car side mei park kar di. Wh utarte hue boli, "thank you."
Maine uska naam pukara, "Nisha... Yahi naam hai na tumhara...."
Wh ruk gayi aur muskurate hue boli, "haa."
Mai ghari sas lete hue bola, "have a nice day."
Kuch der bad usne haste hue reply kiya "same to you." Aur car se utar kar office ki taraf chal di.
Uski bate sun kar mere sar mei dard ho gya. Pakka woh meri nisha nahi thi. Meri wali th sidhi aur chupchap rehne wali hai aur yeh th sirdard hai jab shuru hoti hai rukti hi nahi. Islye maine office ke kaam mei hi apna dimag lagya.
Evening mai ghar aya th apne room mei chala gya. Jab fresh hokar bathroom se bhar nikla th mummy bowl lekar baithi thi. Mummy meri taraf dekhte hue boli, "le tere liye halwa layi hu... Abhi abhi garam kiya hai."
Mai bowl lekar halwa khane baith gya th mummy ne pucha, "kaisa laga halwa?"
Maine aise hi bol diya, "thik hai."
Th mummy muskurate hue boli, "subah jis ladki ko Vedika ke sath lekar gaya tha. Woh nisha hai... Kaisi lagi tijshko?"
Maine halwa khana chod kar mummy ki taraf dekha th boli, "kya? Achi ladki hai... Ab teri shadi ki age ho gayi.... Kuch th soch tu apne bare mei."
Maine unko samjhate hue bola, "jab shadi karni hogi th bata duga. Aap tension na le."
"Aise kaise tension na lu... Tujshe koi ladki pasand hai th bata de... Humko koi problem nahi hai" woh samjhate hue boli.
Mai ghari sas lete hue bola, "thik hai mummy." Jab mil jayegi bata duga.

  अनभूला प्यार (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें