chapter 22 (the end)

95 8 1
                                    

Ved ko samjah nahi aa raha tha ki woh kya kahe? Usne socha ki Nisha usko like nahi karti par us din kiss karte time Nisha ne usko push nahi kiya. Iska matlab woh kuch toh feel karti hai. Par woh kisi aur ko pasand karti hai.

Kuch der baad, woh hasa aur bola, "Nisha, tumne mujshko apna colleague samjh rakha hai kya? Mai tumko ache se janta hu. Tum kisi ko pasand nahi karti. Tum kewal mere ko show karne ke liye aisa keh rahi hu."

Nisha ko yaad aya jab usne apne colleague ko jhooth bolne ke liye ved ki help li thi. Nisha ne foran bola,"ved mai jhooth nahi bol rahi. It's real."

Ved muskuraya, "oh... Toh usse milwo mujshe. Mai bi toh dekhna chahta hu ki kaun hai woh jisko tum pasand karti ho?"

Nisha yeh sunkar shocked ho gayi. Jab woh hi khud usse kai salo se nahi mili toh ved ko kaise milwa sakti thi.  Kuch der baad woh boli, "ved mai tumse nahi milwa sakti kyuki woh married hai aur mai khud nahi janti kaha hai woh is time?"

Is time ved shocked tha, "what Nisha? Are you kidding me?"

Nisha ankhe band kar ke boli, "ved, it's truth. Is bare mei koi nahi janta. I know it's wrong. Par jab mai usko like karti thi tab woh married nahi tha. It's complicated." Tab Nisha ne uska sab bata diya ki kaise woh Vedant se mili aur kaise kafi time woh ek dusre ko khat likhte rahe? Aur kyu aur kaise unhone khat likhna band kiya?

Ved chupchap sab sun raha tha. Usko laga ki woh hi Nisha se pyar karta tha par nisha... Woh yeh sab hi soch raha tha ki Nisha boli, "ved, you don't trust me na. Tumko lagta hai mai jhooth bol rahi hai. I have proof. Let me show me. Wait here."

Nisha ne yeh baat kisi ko nahi batayi thi aur woh janti bi nahi kyu woh ved ko sab bata rahi thi? Shayad isliye ki yeh sab janane ke baad woh uska picha chor de.

Nisha apne room mei akar apne cabinet se  ek file nikali. Yeh uska secret tha usne secretly sare letters usme chupa rahe the. Usne ek ek karke letters nikale.

Udhar ved jab hosh mei aya toh ek badi smile uske face par thi. Usne box drawer se nikala aur Nisha ke ghar ki taraf chal diya. Vedika aur kavita ne nisha ko jaldi jate hue dekh liya tha. Jaise hi ved room se nikla, Vedika ne chinta se pucha, "Bhaiya kya hua?"

Ved haste hue bola, "sabko bata do ki hamari shadi ki tyari kare." Vedika aur kavita ne ek dusre ko dekha kyuki Nisha ke face se toh aisa nahi lag raha tha. Vedika ne fir pucha, "bhaiya,are you sure?"

Ved ne uski baat par dhyan nahi diya aur kavita se bola, "mai uske room mei jaa raha hu. Aur sabko kuch time ke liye busy rakhna jisse koi humko disturb na kare."

Itne kehte hi woh age chal diya udhar kavita aur vedika shocked the.  Iska matlab kya tha? Kavita ne Vedika ka hath pakada aur boli, "vedika, tu bi wahi soch rahi hai kya joh mai soch rahi hu?"

Vedika dheere se boli, "mere ko pata nahi tha ki bhaiya aise bi hai. I thought he is gentle man."

Kuch der baad, unko yaad aya ki sabko batana bi hai. Sab unka wait kar rahe hai.

Nisha ne jaise hi sare letters nikale aur jane ke liye jaise hi mudi, ved piche khada tha. Usne letters ved ko dete hue bola, "ved, yeh raha proof. Mai sach mei jhooth nahi bol rahi."

Ved ne letters hath mei liye aur ek ek karke dekha. Sach mei ek ek letter Nisha ne sambhal kar rakha tha. Ved ko ache se yaad tha ki usne kab kab Nisha ko letter likhe.

Ved ne dheere se kaha, "par tumne toh kaha ki tumne sare letters destroy kar diye."

Nisha thoda guilty se boli, "hmm kyuki mai usko koi hope nahi dena chati thi par..." Isse phele ki woh kuch aur bolti usko kuch yaad aya. Usne suspicious se ved ki taraf dekha aur pucha, "par tumko kaise pata maine toh yeh tumko bataya hi nahi?"

🎉 आपने अनभूला प्यार (Completed) को पढ़ लिया है 🎉
  अनभूला प्यार (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें