Roshni was on bed in high fever. She felt very cold even in unconsciousness. Everyone were gathered around her.
Ru: samajh nahi araha ye itna bukhaar aya kaisay isay? Kaheen un logo'n ne isay daraya toh nahi hai kisi cheez se?
N: nahi nahi, bitiya toh khud usay thappar maar kar aai hai, sawal hi nahi banta madam
Ru: toh phir zaroor kaala jaadu karwaya hoga unho ne
N: ab hum dekhay bagair toh kisi pe koi ilzaam nahi laga saktay na madam
Ru: unho ne bhi dekhay bagair meri beti ko court ke chakkar katwaye thay, usko ruswa kiya tha
N: baat toh sahi hai madam, lekin... Kya main thanda pani le aaun, aap uski pattiyaan iske maathay par rakhein gi toh vo shayad hosh mein ajaye?
Ru: haan le aao
Nafeesa went. Parveen watched all this from her magical mirror. She got tensed.
P: kya kar diya ye Aman tu ne? Kiun le gaya usay humari dunia mein? Dekho kaisay tapp rahi hai vo, Aman hum jinnat insaan ki dunia mein aaye toh humein kuchh nahi hosakta kiun ke matti aag par bhaari nahi parti usi tarha matti ka jism aag ke jism par bhaari nahi parta lekin aag matti par bhaari par sakti hai usi tarha matti ka jism bhi aag ke jism par bhaari par sakta hai, or jinnat ki dunia bhi insaano'n par. Hum jinnat insaano'n ko apni marzi se dikh saktay hain, unko pata bhi na chalay aisay chhoo bhi saktay hain, or pata chalay waisay bhi... Hum unko dara saktay hain, or beshaq un se baat bhi kar saktay hain lekin aapas mein mil nahi saktay, insaano'n ke liye insaan or jinnat ke liye jiniyo'n ka janam hua hai
आप पढ़ रहे हैं
RoshAn: Woh Pehli Baar Jab Hum Mile
FantasyRoshni, who gets married to a person opposite her religion, gets betrayed by him on the first night itself. In a state of shock and disbelief, she runs out of her house that night in bridal dress alone in the rainy night calling out for her husband...