"Hello Readers ! Let's wish Shreya a very Happy Birthday ! shreya_2099 Many many happy returns of the day Shreya ! May you get all the happiness ,health , wealth and prosperity.. May all your dreams come true ! Keep shining and smiling ! This update is a gift from my side to not only Shreya but to all my Readers who were waiting eagerly ..Thank you so much my family for your love and support .. Thank you for all the Votes and Comments.. Welcome to all my new readers . Welcome to my family ! The love you shower on me through Votes and Comments is really overwhelming... Now coming back to the update ,I hope you all enjoy reading this update.."Naveen and Rajveer's heartwrenching cries turned into whimpers... Naveen tried to express his pain.... his feeling in his every words ... His voice choked and eyes filled with unbearable pain ..
Naveen- Tera bhaiya fail ho gaya Gudiya ! Tera bhaiya tujhe nahi bacha paya ... Tu mera intezaar kar rahi thi aur mai hi teri har takleef ki vajah ban gaya... Tune mere hisse ki zimmedari bhi nibhayi par mai toh apne bhai hone ka farz bhi nahi nibha paya..Maine kabhi nahi socha ki mai apni khushi ke liye apni behan se kitne sacrifices karwa raha hun... Army mein mujhe aana tha...Yeh mera dream tha..Mera passion tha aur meri absence mein Maa-Baba ka beta tu bani... Meri har responsibilty tu ne khud par li... Maine tujhe aur Maa-Baba ko neglect kar sirf ek sipahi hone farz nibhaya aur tu... Tu naa sirf mere liye ladi ... Maa-Baba ko aise protect kiya jaise shayad hi koi beta kar pata... ... Society se ... Army se ... Sabse ladi tu ... Mujhe mera samman lautane ke liye bhi aur Maa- Baba phir garv se mujhe apna beta kah sake iss liye bhi... Kabhi khud ke baare mein nahi socha aur mai iss Mission par jaane se pahle kisi se yeh bhi nahi kah kar gaya ki mere iss Mission ka impact meri family par nahi aana chahiye.. Mai kaise apni duty ke liye apne farz ko bhul gaya kuch maloom hi nahi... Maine yeh socha hi nahi ki humari society kaisi hai... Kabhi unn hardships ke baare mein nahi socha jo meri vajah se tujhe uthani padi... Fauji mai tha aur balidaan tu de rahi thi... Maine apne sapnon ka .. apni khwaahishon ka bojh tere kandhon par kab daal diya yeh ahsaas hi nahi hua mujhe... Kab tujhe mere kiye ki saza milne lagi yeh jaan hi nahi paya tera bhaiya... Bachpan mein tu kahin bhi hoti thi tab bhi mujhe ahsaas ho jata tha ki tujhe chot lagi hai yaa phir tujhe meri zarurat hai aur mai kuch bhi kar ke tere paas aa jata tha... Meri training ke time bhi yaad hai naa tujhe mujhe Academy mein hi yeh intuition ho gayi thi ki tu theek nahi hai aur tujhe uss time kitna tez bukhar (fever) tha... Mujhe pata hi nahi chala Gudiya ki kab maine apne dil ki baaton ko ignore karna shuru kar diya ... Shayad mai apne hi garv mein .. apni hi swabhimaan mein itna kho gaya ki tere liye mehsoos hone vaali har baat ko mai apna vaham samajhne laga.. Aur dekho naa aaj se pahle kabhi mujhe iss baat ka ahsaas bhi nahi hua.. Mujhe yahi lagta raha ki mai ab bhi tera perfect bhaiya hun jis par tujhe sabse zyada garv hai ... Maine kabhi yeh realise hi nahi kiya ki kab maine tujhse tera bachpan cheen liya ... Mai aisa karna nahi chahta tha Gudiya par kab yeh sab ho gaya mujhe pata hi nahi chala ... Tujhe pata hai jab baad mein teri kuch pareshaniyon ke baare mein pata chala toh bht guilty feel kar raha tha mai... Tune jo bhi kiya mere liye .. Humari family ke liye ...Apne pyaar ke liye.. I was feeling so proud of you that I can't even express them in words ... Mujhe lag raha tha meri tujhe sikhayi hui har baat kaamyaab (successful) ho gayi...Jaise mai apni har koshish mein safal ho gaya... Jaisi takleef tujhe sahni padi vaisi takleef Sherry ko naa mile iss liye mai uski taraf protective hua... Mai nahi chahta tha ki kisi aur ke kiye ki saza kisi aur ko mile ... Aur yahi protectiveness kab pyaar ban gayi mujhe pata hi nahi chala ... Mai tujhe unn pareshaniyon se nahi bacha paya iss liye mai Sherry ko har problem se bachana chahta tha... Uski innocence.. Uski baatein ... Kab mai sirf uss hi mein ulajh gaya yeh bhi yaad nahi ... Jab Sherry ne kaha ki vo jald se jald shadi karna chahti hai tab mai chahta tha ki hum ruke... Tu ho ..Maa-Baba ho meri shadi mein.. Meri shadi ko le kar tera har sapna yaad tha mujhe .. Par mai Sherry ke dar ke aage haar gaya... Mujhe bhi yahi lagne laga ki kahin sach mein Maa- Baba aur tu Sherry ko accept nahi kar paaye toh ... Mujhe bhi humari shadi ka faisla sahi lagne laga aur phir.... Phir maine shadi kar li... Jab meri Gudiya apne pyar ke liye har pal tadap rahi thi tab maihe hu hu apne pyaar ke saath khush tha.. Jab meri behan har pal mar rahi thi toh mai apni zindagi jee raha tha... Aisa nahi tha Gudiya ki tera dard mere dil tak nahi pohoncha tha... Janta tha mai ki tu takleef mein thi.... Har pal tera dil ro raha tha ..Mai janta tha ... Par yeh accept nahi kar paya... Mujhe laga ki shayad tujhse dur hun iss liye yeh ajeeb-ajeeb khayal aate hain par kabhi sach tak pohonchne ki koshish nahi ki... Kabhi tera dard samajhne ki koshish nahi ki bacha... Tujhe pata hai jab maine pahli baar Sherry ko Raj se yeh kahte suna ki tum uski itni takleefon ki aur dar ki vajah ho toh ek baar ke liye dil ne kaha ki jhuth hai sab kuch ... Meri Gudiya aisa kar hi nahi sakti... Jo anjaan ki aankhon mein bhi aansoo nahi dekh sakti thi vo kisi ke aansuon ki vajah nahi ban sakti .. Mai vahan se chupke se chala gaya tha... Mai kuch samajh nahi paa raha tha... Phir Sherry ne bhi mujhse vahi sab kaha.. Uski aankhon mein itna dar dekh kar maine uski baat par thoda sa sahi par yakeen kar liya .. Mujhe laga ki tune jo dard saha hai shayad uss dard ne tere dil mein itni kadvahat (bitterness) ghol di hai ki ab tera dil bhi paththar ka ho gaya hai... Mujhe yeh lagne laga tha ki shayad tu apni sufferings ki saza Sherry ko bhi dena chahti hai... Mai aisa maan baitha tha ki tu chahti hai Sherry bhi vahi dard jiye jo tune jiya hai...Aur phir mujhe yeh bhi pata tha ki tune Raj par sirf iss liye goli chala di thi kyuki usne mujhe meri takleefon se aazad karne ki koshish ki thi toh mujhe laga ki jab tu uss insaan ko shoot kar sakti hai jiski tu itni izzat karti hai...jisse tu itna pyaar karti hai toh tu yeh bhi kar sakti hai... Mai khud ko gunehgaar maan raha tha Sherry aur Raj ka ... Kahin naa kahin tera bhi... Kyuki mujhe yahi laga ki jab tak mai tha tu khush thi ..Innocent thi... Tere sapne mujhse alag hi sahi par tu apne sapnon ko pura karne ki har koshish kar rahi thi... Lekin meri absence ne tujh mein itna zehar bhar diya ki tujhe apne har sapne ko jala kar...Meri vo bholi aur shararati Naina ko mita kar.....Sirf mere liye ek nayi Naina banna pada... Jo kisi ki jaan bhi le sakti hai... Vo Naina jisse ek makkhi nahi marti thi vo ab kisi ki jaan le sakti hai...Mujhe laga ki meri absence ne hi tujhe yeh sab karne par majboor kiya hai... Iss liye teri zindagi mein vapis aane se pahle tujhe vahi purani Naina banane ki koshish kar raha tha... Nahi jaanta tha ki yeh meri zindagi ki sabse badi galati hogi...Par mai karta bhi toh kya ! Uss waqt mai yeh sab samajh hi nahi paya ..Mai bas vahi karna chahta tha jo mujhe uss waqt sahi laga.....Lekin anjaane mein hi sahi par mai apne pyaar aur dosti ke aage haar gaya... Mai Sherry aur Raj ko uss hi takleef se guzarte hue nahi dekh sakta tha Gudiya jo tujhe aur mujhe hui... Tera dard se mai anjaan tha aur Sherry ki baaton se bhi yahi lag raha tha ki uske dard se Raj anjaan tha... Mai nahi chahta tha ki Raj ke dil mein bhi vahi guilt ho jo mere man mein hai.... Mera vishwaas karna Gudiya bht hi suffocating lag raha tha vo guilt mujhe... Mai apne dost ko uss hi takleef mein nahi dekhna chahta tha.. Kyuki mera man janta hai har pal mara hun mai kyuki tujhe mai inn sab se nahi bacha paya... Tu jaan hai meri ... You are my baby sister .. My first child ...Meri Gudiya.. Tujhe pata hai tere iss bhai ne jab pahli baar tujhe god mein liya tha naa tab khud se khud ko ek vada kiya tha.. Tujhe iss duniya ka sabse acha insaan banane ka vada ...tujhe iss duniya ki saari khushiyan dene ka vada....Bht bada nahi tha tujhse par tujhe dekhte hi apne aap ek protectiveness feel hui....Dil ne kaha ki tujhe har takleef se bacha kar rakhu aur agar kabhi koi pareshani aaye toh tujhe uske liye pahle hi itna strong-willed banau ki koi pareshani tujhe tod (break) naa paye .. Teri himmat ...tera hausla...tere samman par aanch bhi naa aa paye... Tujhe yaad hai naa Gudiya kaise mai tujhe pamper karta tha... Tere liye raat ko sweet shop khulwa (re-open) kar teri favourite sweets tak lata tha.. Bukhar tujhe hoti thi aur rota mai tha... Chot tujhe lagti thi aur dard mujhe hota tha...Muskaan tere chehre par hoti thi aur dil mera khush hota tha... Par mai tera strict teacher bhi raha hun humesha se ... Tune jab bhi anjaane mein koi galati ki , Maine uski strict punishment di tujhe ... Sirf iss liye ki tu dobara vahi galati naa dohraye... Tune khana waste kiya toh maine tujhe tab tak bhar pet nahi khane diya tha jab tak tujhe har bite ki value samajh nahi aa gayi thi... Tune paani waste kiya maine tujhe zyada paani nahi peene diya... Tu kisi se disrespect se baat karti thi toh mai tujhse baat nahi karta tha.... Aur har baar .... chaahe tu kitni hi choti kyun naa ho par har baar tune mujhe samajha ... Mere tarike ko samajha... Tu har baar aayi mere paas Gudiya ...Naa sirf apni galati ki maafi maangne ...In fact ! Aage se vo galati kabhi nahi hogi yeh promise bhi kiya ... Aur uss din ke baad tune kabhi koi galati dohrayi (repeat) nahi... Toh jab mujhe Sherry ne vo sab kaha toh mai bardasht nahi kar paya... Mujhe meri hi seekh (teachings) fail hoti hui dikhi... Mujh mein himmat hi nahi ho rahi thi ki mai Raj aur Sherry se nazarien mila sakun... Mai nahi samajh paya ki Raj ke man mein kya hai par uski aankhon mein tere liye shaq dekh kar mujhe yeh yakeen hone laga ki haan .... Tune hi yeh sab kiya hai... Sach pata lagana chahta tha par tere bhaiya par gussa aisa sawar hua ki maine hi tujhe maut ke iss chakravyuh mein phasa diya... Khud ko itna kaabil Officer samajhta tha par yeh hi nahi jaan paya ki meri hi patni meri behan ke khilaaf itni badi saazish kar rahi hai... Maine ek Officer ko tere peeche lagaya tha... Teri safety ensure karne ke liye par nahi pata tha mujhe ki Sherry ne vahan bhi dhoka diya mujhe... Tu sahi kahti thi Gudiya... Sahi kahti thi ki mai ladkiyon ko nahi samajh pata hun... Naa mai Ritu ko sahi waqt par samajh paya .. Naa Sherry ko aur naa hi apni Gudiya ko... Kaise mujhe unn dono ka dhoka nahi dikha ... Kaise mujhe teri begunaahi nazar nahi aayi... Mai nahi jaanta ki yeh sab maine kya soch kar kiya par mai man se sirf tera bhala chahta tha... Mujhe har pal yahi lag raha tha ki inn sab ke baad tu humesha ki tarah mere paas bhaagte hue aayegi aur apne kiye ki maafi maang legi mujhse ... Mai nahi janta tha ki jo gunaah mai kar raha hun vo tujhe mujhse itna dur le jayega ki mujhe mere gunaahon ki saza dene ke liye bhi tu nahi rahegi.... Mai hun tere har takleef ki vajah ... Yeh maut ka khel maine racha tha ... Jis Gudiya ko pala .. uss hi ki maut ki vajah ban gaya mai... Yeh maut toh mere hisse ki thi naa Bacha... Tune kyun li.... Kyun ??? Tera likha har khat padh kar bhi kyun mai paththar ka bana raha ... Yaad hai mujhe tu kaise anjaan logon ke beech dar jaati thi... Meri nanhi si Gudiya ko apne play school ke first day kitna tez bukhar hua tha yeh yaad hai mujhe ... Vo bhi sirf iss liye kyuki tu itne saare naye logon ke beech akeli thi... Aur maine toh tujhe itne dushmanon ke beech 13 din rahne diya.... Kitna sahmi hogi tu... Kitna yaad kiya hoga tune mujhe... Har pal pukara hoga mujhe... Kitna dard saha ..Kitna royi hogi meri behan aur mai..... Mai tujhe bachane nahi aaya.... Tera bhai kaise itna paththar dil ho gaya mujhe pata hi nahi chala ... Unn 13 dinon mein teri takleef mehsoos ki thi maine ... Anjaan nahi tha mai... Par phir bhi gusse mein itna andha ho gaya ki sach janne ki koshish hi nahi ki... Yaa phir shayad mera dil jaan gaya tha bacha ki tune aisa kuch nahi kiya hai par mera dimag yeh accept hi nahi karna chahta tha... Mujhe dar tha ... Dar tha ki kahin mai galat hua toh ?? Agar mai galat hua toh tujhse nazarien kaise milaunga... Meri bebasi hi mera gussa ban kar tum par barasi... Mai nahi janta tha Gudiya ki tujh oar vishwaas naa karne ki bhagwaan mujhe itni badi saza denge ki mujhe teri khoon se behaal de............................................Kyun tera bhai haar gaya ? Kyun mai tujhe samajh nahi paya ? Kyun mujhse itna bada gunaah ho gaya Gudiya ki mujhe ek baar tujhse maafi maangne ka mauka bhi nahi mila ... Jis pal tujhe uss haal mein dekha uss hi pal tera yeh bhai mar kyun nahi gaya ? Kyun zinda rakh kar itni badi saza de rahi hai mujhe ? Pata hai sab kahte hai ki ek pita ke liye sabse bada dukh hota hai jab uski santaan (child) uske rahte iss duniya se alvida kah de.. Yeh baat tab nahi samajh paya tha jab meri jhuthi maut ka natak kiya tha par uss pal samajh aaya jab tujhe ........
YOU ARE READING
Adhuri Kahani
Mystery / ThrillerShe was their Good luck charm ! Protecting them from every pain and problems .. She took all the pain but always shines brighter for them ... But do they realise her true worth when they were having her close to them ? When the Charm was shining bri...