Adhuri Kahani- Suppressed Pain !

1.5K 95 324
                                    

"Hello Readers ! I know it's a long a time since I updated Adhoori Kahani but as some of you know that I was seriously caught up in some real serious issues .. And I want to write something which goes straight to my readers heart.. So here I am .. Heartily Welcome to all the new followers.. And Thank you so much to my Wattpad Family for always being there for me... Now after so long .... I have a request ! As you all know that our PM asked us to light diyas and candles and turn on torches and flashlight of our phone at 9:00pm for 9 minutes .. I want to request everyone to do as he said... Don't take this as something related to religion but It's a small contribution from our side to spread positivity when all were somewhere deep down their heart , afraid of Covid-19 ... So lets spread positivity together and pray to defeat this deadly virus soon .. Now without wasting much time , Here's the update...

"Mai mar kar bhi apne apno ka vishwaas nahi jeet paayi ! Mai unke liye unki apni nahi ban paayi ! Mai humesha se unke liye parayi thi aur parayi hi rahungi .."

And with that Naina disappeared from there ... Snapping everyone out of her control ... Leaving her dead body there and her wailing family behind ..... Her family which includes her Maa-Baba , Alekh-Devika, Ali, Huda and Gunny.... They are her family in truest sense.. They believed her and were with her whenever she needed them.. Everyone else were left in guilt... Naveen and Rajveer jerked Sherry's hand away angrily.....

Raj- Itna sab karne ke baad ..... Itne jhuth bolne ke baad .. Jhuthi maafi maangne ke baad bhi tum mein itni himmat kaise hai Sherry ki jo ek aakhiri mauka humein mila tha apne gunaahon ke prayshchit ka , Vo bhi humse cheen lo tum ?

Sherry looked at him with hurt filled eyes but that didn't bother him.... All the curtain of misunderstanding and mistrust fallen on his eyes , disappeared as soon as Naina disappeared in front him.. His love for her shine above everything but it's too late now .. He realised that Naina's love was the only true , unconditional and unfiltered love for him... Everyone else thought about themselves before him but she kept him above all .. She didn't doubt him ever .. But he failed to trust her ... But not any more... He won't fail her now.... He will do whatever he can to prove her that his love for her is pure .. That he love her truly ... He knew what he did were grave mistakes but he will earn her forgiveness , no matter what......

Sherry- Bhaiya !!!! Aap humse aise bol rahe hain ???Hum....

Raj- Stop manipulating us Sherry ... Enough of all your lies and baseless excuses ! Aaj tak ki sabse badi galati ki maine jo tumhari baaton par bharoosa kiya .... Tumhari baaton par... Arre itna maine apne dil ki nahi suni jitni tumhari suni.. Aur kya haasil hua mujhe ... Hunh ..... Apna pyaar kho diya maine ....Humesha -humesha ke liye .... Ek aakhiri mauka mila tha mujhe .... Agar mai haath thaam leta Naina ka toh shayad khud se nazarien milane ke kaabil rahta ... Par tumne yeh aakhiri mauka bhi cheen liya mujhse .... Kyun kiya aisa ???? Kyun ????

Rajveer shouted on her angrily...

Raj- Naina aakhiri saans tak meri thi ... Apni har saans ke saath usne mujhse unkaha rishta nibhaya aur mai ... Maine kya kiya ... Kaayar hun mai ... Sach janne ki jagah tumhari baaton par aankh band kar ke vishwaas kar liya ... Kyun ??? Kyuki mujhe bhi kahin naa kahin humesha apne sahi hone par yakeen tha .... Aaj pata chala kitna galat hun mai.... Jab mai apne pyaar ko apne vishawaas aur pyaar ka saboot de sakta tha tab maine kya kiya ..... Tumhari baaton mein aa kar uss par shaq kiya .... Sawal khade kiye .. Yahan tak ki gunehgaar bhi maana .... kis ke liye .... Khud par hansi aati hai ki maine apna sabse keemti rishta tum jaisi swarthi ladki ke liye kho diya ..... Jisse siwaye khud ke aur apni khushiyon ke aur kuch nazar nahi aata .... Sach jaanti ho ... Tumhe pata tha ... Tumhe ahsaas tha tumhari kumiyon kaa .... Tum insecure Naina ki perfection se nahi thi ... Tum insecure apni imperfections se thi.... Tum jaanti thi ki tumhe khushiyon ki zarurat hai humesha ki tarah... Iss liye hamara istemaal kar rahi thi tum .... Pahle Naina ka istemaal kiya khud ko protect aur khush rakhne ke liye aur phir mera aur Naveen ka ... Humse pyaar karne ka dawa karti ho naah ... Toh kabhi dikha nahi tumhe apne pati ka dard jo vo sah raha tha apni behan se nafrat ka dikhawa karte hue ... Nahi mehsoos hui uski takleef jab vo tumhare kahe jhuth par vishwaas kar apni phool se behan ko takleefon par takleefein diye jaa raha tha ... Mujhe apna bhaiya kahti ho .... Badi badi baatein karti ho ki khoon ka rishta hi sab kuch nahi hota .. Dil ke rishte maayne rakhte hain toh kahan gaya vo rishta ... Nahi dekh paayi meri khud par bebasi aur gussa jo mai Naina par nikal raha tha... Nahi dikhayi diya tumhe mera adhoora-pan jo mai Naina ke bina har pal jee raha tha.... Nahi dikhi naa tumhe meri suni zindagi jo Naina ke bina be-matlab thi... Tumhe kyun hogi mere aur Naveen ke takleef se koi matlab ... Tumhe toh tumhara pyaar aur bhaiya ka pyaar mil raha tha naa..... Adhoore toh hum the.... Aaj tumse nahi khud se nafrat ho rahi hai..... Khud par gussa aa raha hai maine tum jaise swarthi ladki ko apni behan maana aur apne dost ki zindagi mein bhi laaya jiski vajah se usne apni Gudiya ko kho diya.... Aaj samajh aaya ki kyun Naveen Naina ki tasveer bhi nahi dikhata tha training time mein... Usse pata tha ki Naina selfless hai aur yeh duniya matlabi... Vo protect kar raha tha Naina ko sabse aur mujhse bhi... Mai gunehgaar hun .... Maine humesha galat logon ko apna parivaar samajha .. Pahle Gehlot aur phir tum..... Tumhe khud ki takleefien badi lagti hai naah .. Par takleef kya hoti hai.. Dard kya hota hai yeh tumhe ab pata chalega... Zindagi se khela hai naa tumne .. Ab zindagi bhar dard sahogi tum .... Tum Shreya Gehlot !!! Tum .... Apni jaan de kar bhi Naina ke gunehgaaron ko saza dunga mai... Aur khud bhi sahunga har saza .. Apni Naina ko saza dene ke liye ... Par Naina ko apne pyaar ka vishwaas dila kar rahunga .. Aur koi mujhe nahi rok sakta ab ... Naa koi rihstedaari ... Naa dosti ....Naa tum .. Aur naa hi khud maut bhi....

Adhuri Kahani Where stories live. Discover now