"Thank you so much for your precious Votes and Comments ! Thanks a lot for supporting me selflessly ! I hope you enjoy reading it.. Here's the update ☺️"
As soon as he reached his Room , he saw Devika was waiting for him .. Alekh sat on the floor in front of her and kept his head in her lap.. He was crying and telling her his Naina's misery ..
Al- Dev...Devika !! Naina ke vishwaas par mai khara nahi utar paya !! Nahi utar paya .... Puja.... Pujari ji ne kaha ki Naina jaanti thi ki agar koi bhi pareshani hui toh mai use dhundhte hue aaunga par mujhe kitna waqt lag gaya ... Usne pata nahi kab se aur kitna intezaar kiya hoga mera .. Aur mai ab tak sachayi tak nahi pohonch paya .. Mai acha bhai nahi hun naah Devika ? Naina sabse achi behan hai par mai uska acha bhai nahi ban paya ! Tumhe pata hai Pujari ji ne kaha ki Naina ne kayi baar humare liye puja karwayi hai .. Unhe tumhara naam bhi pata tha .. Usne humare liye sab kuch kiya par hum uske liye kuch bhi nahi kar paye !!
Devika cupped his cheeks with her palms and calmly said ...
Devi- Nahi Alekh ! Aap aisa mat kahiye . Mai janti hun ki humne bht der kar di hai par ab bhi utni der nahi hui hai .. Hum ab bhi sachayi ka pata laga kar jald se jald Naina ki begunaahi sabit kar unhe unka samman lauta sakte hai .. Unka sukoon lauta sakte hai hum .. Bas humein kamzor nahi padna hai Alekh ! Hum nahi jante ki Naina ne iss dauran kya saha hai .. Ho sakta hai ki vo iss waqt kamzor ho aur aise mein agar hum bhi kamzor pade toh yeh jung ko ladega Alekh ? Humein himmat nahi haarni hai .. Hum ladenge yeh ladayi aur jeetenge bhi .. Naina ne aaj tak hum sab ki khushiyon ke liye naa jaane kitni jung ladi hain aur jeeti bhi toh kya hum unke liye itna bhi nahi kar sakte ? Kya hum unke liye itna bhi nahi karenge ??
Alekh said gaining his lost confidence ...
Al- Nahi Devika ! Mai himmat nahi harunga aur naa hi Naina ke vishwaas ko haarne dunga .. Hum jeetenge Devika ! Hum Naina ke liye jeetenge !
Devi- Yeh ki naah aapne Captain Alekh Sharma vali baat ! Ab batayiye ki Naina ki kya amanat di hai Pujari ji ne ? Ho sakta hai ki humein unki begunaahi ka saboot mil jaye ..
And Alekh forward the packet and they carefully opened it.. But confused to find a letter and a pen drive..
Letter
Mere pyare bhai
AlekhJaanti hun ki agar tujhe yeh letter mila hai matlab mere saath zaroor kuch hua hai aur yeh bhi ho sakta hai ki yeh mera tujhe aakhiri khat ho ! Gussa mat ho mujh par ... Mai sirf ek possibility bata rahi hun .. Par ek baat zaroor kahungi ki har bure ke liye taiyar rahna Alekh.. Mera saath kuch bhi hua ho sakta hai par tujhe aur Devika ko himmat nahi haarni hai ... Tujhe toh abhi meri jung ladni hai ! Maa-Baba ko sambhalna hai ! Vo tut jayenge Alekh par tujhe aur Devika ko unki khushi banna hai .. Unhe apna sahara dena hoga .. Ab kuch zaroori baatein .. Agar mere saath kuch bhi galat hua hai toh ek baat yaad rakhna Alekh ki zaroor koi apna hi hai jiske dhoke ne mujhse mera sab kuch cheena hai .. Aur aaj agar mai tere saath nahi hun toh uski bhi vajah koi apna hi hai.. Vo kon hai yeh toh abhi mai nahi jaanti par itna zaroor kah sakti hun ki mera Narkanda aana aur iss Mission par kaam karna .. Kisi ki sochi samjhi chaal hai .. Mujh par ab bht bada ilzaam lagaya jayega jo mai jaanti toh hun par ab mai yahan se bach kar bhi nahi nikal sakti.. Lekin itna yaad rakhna ki maine jo bhi kiya hai vo iss desh ko bachane ke liye .. humare hazaron soldiers ko bachane ke liye kiya hai ... Aur ab ... Ab mere paas aur koi option nahi hai except you ! Ab meri har umeed sirf tum se hai Alekh ! Aur mai janti hun ki tu mere liye aur mere samman ke liye zaroor ladega .. Lekin apno se bach kar rahna Alekh ! Koi hai jo dhoka de raha hai .. Kyu ? Kiske liye ? Yeh toh nahi jaanti par yeh hi sach hai ! Aur ek baat Alekh ! Mai aise hi haar nahi manungi .. Apni aakhiri saans tak ladungi ! Aur agar mai tujhe chod kar humesha ke liye iss duniya se chali gayi hun toh yeh bhi jaan lena ki mujhe koi aasan maut nahi mili hogi ! Bht moti jaan hun .. Dushman bhi thak jayega par teri behan apni aakhiri saans tak iss desh ke liye ladegi ! Yeh mera vada hai tujhse ! Apna .. Devika ka aur Maa-Baba ka khayal rakhna ! Maa se kahna ki mujhe vo aangan jahan vo baith kar chulhe par khana banati thi , bht yaad aata hai aur vo chulha mein toh jaise meri jaan hi basti hai... Unse kahna ki unki beti ne aise hi haar nahi maani .. Apni aakhiri saans tak himmat se ladi hai unki Gudiya ... Bht pyaar karti hun mai Maa-Baba se .. tujhse aur Devika se bhi ... Jaise maine Bhaiya aur Rajveer Sir ke liye ladte hue apni zindagi kurbaan kar di , tu aisa kuch bhi nahi karega ! Mujhe insaaf chahiye par teri khushiyon ki keemat par nahi ! Aur agar mai naa rahun toh mujhe maaf kar dena yun tera jung ke beech mein saath chodne ke liye ! Par mera pyaar humesha tum sab ke saath hai .. Tumhara saya ban kar !
YOU ARE READING
Adhuri Kahani
Mystery / ThrillerShe was their Good luck charm ! Protecting them from every pain and problems .. She took all the pain but always shines brighter for them ... But do they realise her true worth when they were having her close to them ? When the Charm was shining bri...