KUCH TOH THA

34 12 10
                                    

Kuch toh tha iss saal mein
Joh bohut kuch sikha gaya
Jinhe sabr rakhna aata nahi tha
Woh sabr se kaam lena sikh gaye.

Jinhe kabhi bhagwaan mein vishwash nahi tha, woh log bhi haath jodh kar prathna karne lage. Jinhe kaam ki wajah se chain ki neendh naseeb nahi thi, woh log bhi araam se so paaye.

Jin logo ke paas khud ke liye Waqt nahi tha, woh log bhi khud ko Aur kareeb se jaan ne lage. Bure se bure waqt mein khud ko sambhalna sikhaya.

Beimaan logo se milna-jhulna kam ho gaya. Bewajah logo ki baato se chutkara mill gaya... Ae khuda ek tera hi sachaa Sahara hai... Baaki saare rishte-naate the jhoote...

Bohut si cheezo mein badlaav aaya
Kuch toh tha iss saal mein joh bohut kuch sikha gaya... Sikha gaya...

Ankahi Baatein Where stories live. Discover now