Kaash log humara dard samjh jaaye
Kaash log ek dusre se bedhbhav karna chodh dein.Kaash logo ke dil se nafrat katam ho jaaye.
Kaash log ek dusre se jagdha karna band kar dein.Kaash law system badal jaata toh kisi ko bhi atyaachaar ya na-insaafi sehna na padta....
Kaash log ek dusre ki kadar karna sikh lete toh kisi ko rona na padta.
Kaash kuch log samjh paate Ki betiyaan koi bojh nahi balki laxmi hoti hai.
Kaash yeh jaath ya dharm alag na hote toh shayad doh pyaar karne waale juda na hote.
Kaash maa-baap bacho ko samjh paate.
Kaash bache, maa-baap ko samjh paate.
Kaash teachers bacho Ki kabilyat ko samjh paate.
Kaash bache, teachers ki mehnat ko samjh paate.Yeh kaash Sirf kaash hi reh gaya Kyuki haqeekat toh kuch aur hai.
Jisse koi badal nahi sakta. Naa hi hum undekha kar sakte hai.Agar kuch kar sakte hai toh hai voh svikaar.... Haqeekat ko hum sirf svikaar kar sakte hai.
Kyuki kaash toh sirf kaash hi rahega.
YOU ARE READING
Ankahi Baatein
PoetryThese poems are written by me, so if anyone interested in reading it then do peep in...