Chapter 9

1.6K 88 16
                                    

It was Ananya's birthday. Naira and kartik had planned to take Ananya out as Ranveer won't be there. They had just discussed this the night before when naira had called him.

Naira :- hello.

Kartik :- hello.

Naira :- kahan the ? Tabse phone try kar rahi hoon. Koi fire brigade mein kaam karte ho ya koi ambulance chalate ho.

Kartik :- ham aag bughane mein nahin aag lagane mein interest rakhte hai.

Naira :- tum? giili lakdi jaise to ho tum ? tum kya aag lagaoge ?

Kartik :- arey dekhti jana. aag laga denge aag.

Naira :- acha. Thik hai. Dekh lenge. Par pehle ye batao din bhar kahan the.

Kartik :- haa. Busy, vo mein busy tha aaj.

Naira :- busy the ya dar gaye the ki kahin koi ladki tumhe rakhi na bandh de.

Kartik :- for your kind information naira ji. Agar aap bhul gai hai to main aapko yaad kara doon ki mere ghar mein bhi do do bahane jinhe mughe rakhi bandhni thi.

Naira :- ohh please. Do rakhi bandh wane mein poora din lagta hai. Tum sab ladke na ek jaise hote ho. Acha ab suno. Ananya di bahut upset hai kyun ki ranveer jiju ko kaam per jana pad raha hai. Ek kaam karo vo jo aag tum lagane wale the na duniya ke saare offices mein laga do. Jab dekho kisi na kisi ko ghar se dur hi rakhta hai.

Kartik laughed.

Kartik :- ab ye muh phulana band karo or socho kuch.

Naira :- kya sochu ?

Kartik :- tum kaho, dimaag ke ghode daudao?

Both were thinking when they suddenly together said yes.

Naira :- batao?

Kartik :- mein nahi pehle tum batao ?

Naira :- pakao mat aur batao ?

Kartik :- main soch raha tha ki kyon na tum sab cousins ek picnic par chale jao. Yahan pass mein hamari company ka resort hai tum sab cousins chale jao saath mein bahut maja aaega.

Naira :- oh my God!! Mughe yakeen nahi ho raha hum dono itna similar sochte hai. Aisa kaise ho sakta hai yaar. Pata hai mein bhi yahi soch rahi thi ki puri family ko kahin ghumane le jaaun.

Kartik :- really. Wow. Hamare khayal kitne milte julte hai.

Naira :- asar ho raha hai dheere dheere tum pe mera.

Kartik :- kitni chalu cheez ho tum. Mera idea le liya aur khud credit le rahi ho.

Naira :- arey. Idea tumhara kaise ho gaya.

Kartik :- kyun ki mere dimaag mein aaya. Mere dimaag se meri zubaan pe aur phir vahan se tumhare kaano mein.

Naira :- oh please bas tumne pehle bataya.

Kartik :- acha ji. Chaho toh brain mapping karwa lo.

Naira :- shut up.

Kartik :- acha thik hain. Toh phir mein resort mein baat kar loo. Batao phir kon kon jaega family se ?

Naira :- ek min. tum nahi chal rahe ?

Kartik :- naira. Family trip hai, bahut ajeeb lagega.

Naira :- resort tumhara hai, toh tumhe toh chalna hi hoga. Aur akele kyun. Luv kush aur mansi se bhi poocho.

Kartik :- vo log toh nahi aa paenge. Haa mein keerti se pooch sakta hoon agar vo chalegi issi bahane tum log bhi uss se mil lena.

Naira :- haa, ye thik rahega.

Finding Each OtherWhere stories live. Discover now