ANIRUDDH'S CLEAR EXPLANATION

2.7K 101 13
                                    

Bondita walked towards her room. She shut her door. Leaned towards the door and was crying bitterly but silently.

She did not get down for a long while as she was not able to face people.
Bondita : (thinks) Pati babu!!! Mujhe laaga ki aap mujh se pyar karte hein.
Par agar aapke man mein mere liye pyar nahi hein toh mein kya kar sakti hoon. Kisi ko hum zabardasti toh pyaar nahi karwa sakti na. Waise sab meine hi socha na. Aise kwaab boon liye the maine. Aapke baare mein kabhi bhi nahi socha. Sirf mere man ka socha na meine pati babu.

Aniruddh returned back from work.

Kaka sasur ji : ruko Anirudh kya kar rahe ho tum. Kya tumne kabi bhi usse apnane ke baare mein nahi socha kya. Kabhi ek baar bhi tumhare man mein bahu ke baare mein dusra kyal nahi aaya kya. Kya woh tumhari sirf ek zimmedari hein. Bass!!!! Itne saal mein tumhe ek baar bhi bahu apnane ka kyal nahi aaya kya Anirudh.

Aniruddh : nahi kaka kabhi mere man mein bondita ke baare mein aisa kyal nahi aaya hein kaka
Kaka sasur ji : toh woh tumhare zindagi mein koi mayne nahi lagti. Heina.

Aniruddh: maine aisa kab kaha kaka ki woh mujhe koi maine hi nahi lagti.
Woh meri sapna ka zariya hein. Mein apna sapna uske aakon mein dektha hoon kaka.

Kaka sasur ji : toh tumhare sapno keliye use shadi karke leke aaya. Phir woh wajah poora hogaya toh Nikal phek rahe ho use.

Aniruddh : aisa nahi hein kaka. Mujhe lagta hein ki usne Aab bohoth kuch saha hein . Meri wajah se uska bachpan chala gaya. Ab uska jawani mein cheen nahi sakta usse . Use bhi toh hak hein uska zindagi jeene ki. Apne Zindagi koh kudh jeene ki.
Use maine padaya likaya aur us kabil banaya ki woh kuch bhi kar sakti hein. Sirf maine shadi usse bachpan mein karliya iska yeh matlab nahi na usse sirf mere sath uske zindagi bithane chahiye.

Kaka sasur ji: kya aab shaadi shabd koi maine nahi lagtha hein kya aab. Shaadi ek pavitra rishta hein.  Use aise hi tod nahi sakte Anirudh.

Aniruddh : kaka agar aap uske pitha hothe aur agar woh aise rishte mein bandh gayi hein joh woh kudh nahi chuna. Aur majboori mein nibha rahi hein yeh rishte ko. Kya aap aise hi chod dete kaka.

Kaka sasur ji: (was not understanding what to say) mein..... Mujhe kuch samajh nahi aaraha Anirudh.

Aniruddh : sochiye kaka aapko mera nazariya samaj mein aayaga. Kaka uske kudh ke college mein uski jaisi ladkiyaan usne deki hogi . Joh puri tarah se azaad hein shadi shudha nahi hein. Kya uske man mein ek baar bhi kyal nahi aaya hoga ki agar woh bhi unke jaise hothi toh kya karti. Kaka usse aapne zindagi mein pyaar aur parivar kudh chunne ka adikar dena chahiye na . Aapko bhi mera sath dena chahiye na kaka!!!

Kaka sasur ji : par bahu ke man mein kya hein .

Aniruddh : kaka woh agar keh bhi de ki usse nahi dena hein divorce toh aapko usse samjana chahiye kaka. Yeh rishta majboori mein nibaya jaaraha hein. Yehi mera manna hein kaka. Baki aap jo tik samajhe.

After ANIRUDDH'S talks Kaka sasur ji also slightly turning towards ANIRUDDH'S decision but his tradition and customs are not allowing him to think meanwhile bondita in her room.

Bondita : ( thinking) aap mere pati hein. Aapke kushi jisme hein mein bhi wahi karungi .aap chahte hein me aatma nirbhar banu toh mein banugi patibabu. Aapne mujhe zindagi diya hein. Aapke liye mein itna nahi kar sakti kya . Pyaar kya hein apne pyaar ko kush dekna heina. Toh mein agar isme dukh sahi toh bhi koi baath nahi pati babu. Aapne joh kiya hein mere liye uske samne yeh sab toh bohoth choti cheez hein. Yeh bondita aapke sapna pura karke rehegi. Divorce de dungi aapko mein ( tears rolled out so badly out of her eyes)

Barrister Babu Fan FictionWhere stories live. Discover now