Kabhi tumhe laga hai ki duniya se chup jau aur kisi ko pata naa chale ki tum kaha ho aur wo soche ki tum ho hi nahi?
Mai bhi naa, tum se puch rahi hu, tum, jo har mahine ek din ke liye meri aakho se ozhal ho jate ho.
Toh aaj mere liye bas aisa hi wo din hai. Teen saal hue hai mujhe apni choti si gali aur apne sheher ko chode par dil aur jaan aaj bhi wahi hai. Sukoon aaj bhi wahi milta hai.
Kehne ko mumbai me sab kuch hai. Bheed hai, hasi hai, achi lifestyle hai. Lekin Bhagti daudti iss zindagi ka hissa toh ban gaya hai ye sheher par mohhabat nahi ban paya.
Aur jab apne sheher se koi aata hai toh 3 saal se base iss sheher me bhi parai si feeling aati hai.
Rahul aur Muskaan aaye hai Mumbai unke dost ki shadi me aur Muskaan mujhe aur Rahul ko milwana chahti hai. Mai nahi face kar sakti Rahul ko aur ye bhi bhot ache se janti hu ki wo bhi nahi milna chahta hoga mujhse. Uske haq ki rakhi jo cheen li Maine usse aur uske best friend ko hurt kiya so alag. Upar se use bina bataye uski behen dur kar di Maine. Hamesha Kehta tha ki Armaan best friend rahe na rahe par mai behen jarur rahugi aur Maine use teen saal se naa rakhi bheji aur bas ek baar jab usne apni shadi ki news dene ke liye call kiya tha tab hi baat ki. Uska messages aaya tha pehli rakhi pe par Maine use andekha kar diya.
Uske bad aaj tak himmat hi nahi hui ki use kahu ki 'bhai, Tumhari ye behen tumhe bhot miss karti hai'.
Kis muh se kehti? Uski shadi pe tak nahi gai mai kyuki Armaan hoga waha ye pata tha mujhe. Kaise jati? Kaise jati ye jante hue ki kasam khai thi Maine aur Rahul ne ki jab bhi shadi karege, ek hi mandap me karege.
Yaad hai wo din Chanda?
Preeta di ki shadi thi. Humara sara mohhala chamak raha tha. Preeta di ke papa ne pure mohhale me lighting lagwai thi aur hum sab itne khush the. Di ki shadi ke ek ek functions humne bhot enjoy kiye the.
Sangeet me mujhe aur Armaan ko sath me dance karne mile isliye di ne chits banwai thi aur warn kiya tha har kisi ko ki jiske paas bhi mera naam aaye wo Armaan ko mere naam ki chit de aur jiske paas Armaan ka naam aaye wo chit mujhe lake de.
Haha, kitna pyara din tha. Abhi aur Shruti bechare dono ek dusre ke sath phas gaye the hum dono ki wajah se. Aur phir Maine aur Armaan ne itna sara time sath spend kiya practice ke naam pe. Dance toh hum dono nahi jante the, bas baate karte aur ek dusre ko dekh dekh ke sara din gujar dete.
Bhini bhini si thand aur usme Armaan ka sath. Aaj bhi bas us razai me ek sath baithne ka ek mauke ka intazaar hai mujhe.
Rahul hum dono ke liye cover kar kar ke thak chuka tha isliye usne tay kiya ki Jis din di aur Raj Bhaiya ki shadi hogi ushi din wo meri aur Armaan ki bhi shadi karwaega.
Sach kahu toh bas wo soch ke hi maan me laddo phut rahe the mere aur Armaan ? Wo toh sherwani banwane bhi chala gaya tha apne papa se keh ke aur Anu aunty ki red saree chor ke laya tha wo ghar se jiska lacha bana ke diya tha bua ne mujhe.
Abhi ne kaha bhi tha,"Riddhima, preeta di se jyada dulhan toh tu lag rahi hai. Bhot pyaari si.."
Aur phir Armaan ka muh dekhne layak tha. Ghusse se laal ho gaya tha. Bina mere maa aur papa ki ya khud ke mummy papa ki fikar kare usne mera haath pakda aur le gaya wo mujhe waha se mandap ke piche.
Rahul sath aaya tha humare aur has raha tha Armaan pe. Hasi toh mujhe bhi aa rahi thi par dar bhi lag raha tha ki agar koi sath dekh leta toh?
"Tu has mat.." usne warn kiya Rahul ko ghurte hue,"aur Abhi ko samjha de, iske baad agar meri Riddhima pe aakh utha ke dekha toh jaan le luga mai uski."
Rahul ne pehle mujhe dekha phir use wapas dekha aur hum dono has pade. Armaan ka ghussa uski narazgi me badal gaya aur wo muh latka ke niche dekhne laga.
"Riddhima ko bas mai hi compliment kar sakta hu.." usne itne pyaar se kaha ki man kiya use zor se gale laga lu. Agar pata hota ki ab nahi laga paugi toh tab jarur laga leti.
"Aur mai? Mai toh bhai hu Riddhima ka? Rakhi bandhti hai wo mujhe.." Rahul janta tha ki Armaan chidega lekin usne phir bhi kaha.
Na jaane kya socha Armaan ne lekin haami jarur bhari aur kaha ki bas Rahul aur uske alawa koi nahi,"agar koi aur karega toh mai aakhe nikal duga.."
Phir jab di aur Bhaiya ki shadi shuru hui toh Rahul ko naa jane phir se wo idea kaha se aaya aur usne ek diya laake rakh diya bich me.
Humne wo sab kiya jo jo Pandit jee ne di aur Bhaiya ko karne ko kaha. Bawre the hum dono aur humare sath Rahul bhi.
"Riddhima, ye toh bas teri aive wali shadi hai lekin jis din tum dono ne sach me shadi karna ka soche ushi din, ushi mandap me mai bhi shadi karuga.." usne toh uhi mazak me keh diya tha lekin Maine sach maan liya tha.
Ye toh nahi janti ki bachpana tha ya sach par har ek phere humare wado ke the aur har ek rasam hum dono ne sare dil se nidhai thi aur ye bhi janti hu ki Rahul ne wo kasam sare dil se li thi aur isliye usne shadi ke decision lete hi mujhe call kiya aur kaha tha ki mai aau uski shadi me aur rahu uske baju par himmat nahi hui, naa uski khushi me shamil hone ki aur naa hi kal usse milne ki himmat hai.
Ek pal me jaan jaega wo ki kya halat hai meri aur yahi toh mai chahti.
Ek din apne jaise mujhe bhi chupa lo na Chanda.
Bas kal ke liye mujhe iss duniya se mita do na Chanda..
आप पढ़ रहे हैं
ADHURI MOHHABAT- A TALE TO TELL TO MOON
Fanfictiontalking to the moon try to get to you in Hope's you're on the other side talking to me too or am I a fool who sits alone talking to the moon?