ADHURA CHAND

20 1 0
                                    



Pehli diwali thi humari sath me. Apni mummy ki laal saree pehen ke aai thi wo mujhse milne. Uski bindi tedi thi aur bas girne hi wali thi jab Maine uske liye thik se laga diya.

Bhot sundar lag rahi thi. Har roz se kahi jyada. Jarurat nahi thi us din teri kyuki sari gali toh ushi se chamak gai thi meri.

Aur uski wo sharmati hui Muskaan, har baar ki Tarah phir ek baar dil le gai mera. Man toh bhot kiya ki kiss karu use aur batau ki kitni special ho gai hai wo mere liye lekin wo milne se itna ghabrati thi, agar ek kadam aage badata toh kya karti?

Apne sath fuljari laai thi wo. Baki sare pakatho se dar jo lagta hai use. Isliye humne Rahul ke ghar ki chat pe bas sath me baith ke fuljari ki jalai thi.

Jo sukun tha uske chehre pe aur jo khushi thi meri usko dekh ke wo Maine pehle kabhi mehsoos nahi ki thi.

Humare bich baate bhot kam hua karti thi kyuki uski aakhe sab kuch keh jati thi mujhse. Uska kajal meri har baat samjh jata tha.

Aaj bhi diwali hai!

Har roj ki Tarah aaj phir uske ghar ki aur nazar padi. Aasman me naa tu hai  aaj aur naa hi meri gali me wo.

Nahi aai wo aaj bhi. Aur nahi jali fulzari  iss saal bhi mere ghar aur meri gali me.

Har roj ki Tarah, Gupta uncle andar akele hi hai. Kisi me himmat nahi hai ki koi uncle ko bahar le kar aaye aur sabke sath unhe diwali manane ko kahe. Aur naa unme khud me iccha hai ki wo bahar aaye aur apne hisse ki thodi si khushi jee le. Unhe hum hafte me bas ek baar dekhte hai jab wo apne liye kuch saman lene sharma uncle ki Dukan pe aate hai, Apna saman lete hai aur jis Tarah sir jhukaye wo Dukan tak aate hai ushi Tarah sir jhukaye wo apne ghar chale bhi jate hai.

Pichle teen saal ki Tarah iss saal bhi nahi aai wo. Koi nahi janta ki kaha rehti hai wo. Teen saal se ghar jo nahi aai hai. Uske ghar me har sham ko Tarah aaj bhi bas ek batti jal rahi hai. Koi decorations nahi aur na hi koi aawaj. Shayad bhool gai hai wo ki ek ghar hai uska.

Janta hu ki naraaz hai wo. Lekin meri Riddhima aisi toh nahi thi. Wo toh naraaz rehna janti hi nahi thi. Use toh bas muskura ke har kisi ko khush karna aata tha.

Janta hu jo kiya hum sab ne uske sath wo galat tha, Bhot galat tha lekin mujhse rishta tod ke wo apna ghar toh nahi chod sakti hai na? Apne dost? Apna seher? Kaise?

Tu toh janta hai na ki kaise jee rahe hai hum sab yaha? Us ek din me itne rishtey tute hai jo zindagi lag jati hai kamane me. Aur wo, wo toh... bas ek behti hawa ki Tarah gayab si ho gai. Aise ki mud ke usne naa hi iss gali ki aur dekha aur naa hi apne ghar ko. Mere gunaah ki saza wo sab ko de rahi hai. Apne papa ko, humare dosto ko aur sabse jyada mujhe.

Bhot yaad aati hai uski. Use dekhna chahta hu, Jee bhar ke. Use gale lagana chahta hu. Bas mere samne use har pal aur har ek saas me jeena chahta hu.

Usse pyaar karna hi toh zindagi hai meri lekin uska sath? Wo phir se mil paega ya nahi? Wo bhool toh nahi gai na mujhe? Tu toh dekhta hi hoga na use roj? Yaad karti hai wo mujhe? Ya mujhse itni nafrat karti hai ki mere bare me sochna bhi nahi chahti hai?

Meri yaado me jeeti hai wo ya Maine usse jo kuch kaha use sach maan liya hai usne?

Kho diya kya Maine use Chanda?

Baat karti hai kya tujhse wo Chanda?


ADHURI MOHHABAT- A TALE TO TELL TO MOONजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें