part 5: the proposal

644 54 4
                                    

Roshni and Aman got seated in the car
Roshni: i am sorry, woh mujhe kuch yaad nhi hai ki kya hua pata nhi kyun chakkar aaye mujhe?
Aman: koi baat nhi, waise aapka ghar kahan hai, woh mujhe....
Roshni: haan woh Roshni tells her address, waise aapka pura naam kya hai?
Aman: Aman Junaid Khan.
Roshni: waise kya mei aapko khan baba bula sakti hunn???
Aman: kyun? Aapko mera naam acha nhi laga kya ?
Roshni: allah knows best! Woh pata nhi mujhe yeh naam kaha se yaad aaya..... par agar aapko nhi acha laga toh koi baat nhi
Aman: aisi koi baat nhi hai aap mujhe khan baba bula sakti hai.
Roshni: waise aaj mei aapke cabin mei aa rahi thi subah par acadamy jana pada.
Aman: acadamy?
Roshni: haan woh mei ek dance teacher hunn , aur bacho ko dance sikhati hunn.
Aman: yeh toh boht achi baat hai....
They both pass a smile to each other
Meanwhile,
Shabnam: yah allah ! Itni raat hogayi hai Roshni abhi tak aayi kyun nhi, kya karun mei iss ladki ka...
Alisha: phuphi aap fikar mat kijiye bol rhi thi hospital jaa rhi hai , Dr Aman ko sorry bolne aati hi hogi.
Suddenly Roshni and Aman entered
Roshni: ammi
Shabnam: Roshni!!!! Itni derr keise lag gayi beta tu theek toh hai na?
Roshni: haan ammi woh khan baba, mtlb Dr Aman ke paas gayi thi unhe sorry bolne , aur pata nhi mujhe chakkar aagaye and she explains her everything
Shabnam: boht boht shukriya aapne meri Roshni ka dhyaan rakha.
Aman: aisi koi baat nhi hai , chaliye ab mei chalta hunn
Shabnam: arre bethiye khana khakra jayiye
Aman: ji nhi phir kabhi zaroor aaunga
Shabnam: thik hai.
Aman leaves from there and after sometime reaches home
Sultana: Aman , waise ek baat bata Roshni rehti kaha hai?
Aman tells her the address
Aman: dadi mei boht thak gaya hunn , chaliye khana kha lete hai.
Sultana agrees and they all have dinner after dinner Aman goes to his bedroom and Sultana comes to Raziya.
Sultana : woh...
Raziya: haan ammi woh anarkali ki photo dikhana bhul hi gayi abhi Aman se baat karti hunn.
Sultana: rukk Raziya , anarkali ki photo mat dikha abhi Aman ko
Raziya: kyun ammi?
Sultana: beta woh ladki Roshni kitni pyaari hai aur jab Aman aur woh dono saath aaye toh lag raha tha maano yeh allah ka ishara ho ki yeh dono ek dusre ke liye hi banne hai.
Raziya: ammi pyaari toh thi woh bachi lekin kya Aman manega usse nikah karne ke liye? Aur Roshni , humme toh uske barre mein abhi kuch nhi pata.
Sultana: meine uska address le liya hai mei khud uske ghar jaungi , pata nhi Raziya par mujhe lagta hai inn dono ki jodi boht jachegi.
Raziya: thik hai ammi mei bhi chalungi aapke saath
Sultana: thik hai.
On the other side
Roshni was not able to stop thinking about Aman.
Roshni: khan baba kitne ache hai , par mujhe kya hua tha mei behosh keise hogayi mujhe kuch yaad nhi aa raha.....
Roshni sleeps while thinking that.
Next morning,
After Aman left for the hospital Raziya and Sultana went to Roshni's house, Raziya knocked shabnam opened the door.
Shabnam: Raziya!!!!
Raziya:Shabnam!
It seemed like they both knew each other. Sultana was confused
Shabnam: andar aa jao
Raziya and Sultana enter
Shabnam: keisi hai tu? Aur tujhe keise pata chala mei yaha rehti hunn?
Sultana : Raziya tum inhe jaanti ho??
Raziya: haan ammi yeh Shabnam hai meri bachpan ki dost , jabse iski shaadi hue hai mili hi nhi hunn isse iske shohar ek boht badi company mein kaam karte hai! Waise Ahmad kaha hai Shabnam?
Shabnam gets sad
Shabnam: woh Raziya Ahmad ( suddenly starts crying)
Raziya: kya hua tum ro kyu rhi ho?
Shabnam: meri jajaki( delivery) honne  waali thi, sirf kuch hi dinn bache thhe tabhi mujhe pata chala ki Ahmad ne dusra nikah kar liya, mei tutt gayi thi isliye mei apni bachi Roshni ko lekar yahan aa gayi , tabse mei aur Roshni idhar rehte hai.
Raziya: yeh Ahmad ne acha nhi kiya , tum mere paas kyun nhi aayi?
Shabnam: mein kya karti Raziya , par allah ki meherbani se ek aadmi ne mujhe yaha rehne diya aur naukri bhi di tabse yaha reh rhi hunn.
Sultana: Mtlb Roshni tumharri beti hai?
Shabnam: haan
Raziya and Sultana get happy
Raziya: apne aansu mat baha shabnam , kya Roshni ka nikah pakka hogaya hai kya?
Shabnam: nhi bas ab uski hi fikar lagi rehti hai.
Raziya: kya tu apni Roshni ka nikah mere bete Aman se......
Shabnam:Aman! Dr Aman!
Raziya: haan
Shabnam: kyun nhi Raziya mere liye isse zyaada khushi ki baat kya ho sakti hai , jabse Roshni ko Aman ne ghar choda tabse sirf ussi ke barre mein baat kar rhi thi.😄
Sultana: yeh toh boht achi baat hai.
Raziya: par ammi , hum unn dono ka nikah keise karvayenge kyunki Aman Roshni ko.....
Shabnam: aur Roshni Aman ko
Both together: sirf acha dost manta hai,manti hai....
Sultana: ab agar milvaya aallah miya ne hai toh inhe pyaar bhi wahi karaenge hum toh sirf zariya banenge.....
Shabnam: aap bilkul sahi keh rhi hai....
Sultana: par beta Shabnam tujhe bhi hummara sath dena hoga , tumhe koi aitrazz toh nhi hai na iss nikah se??
Shabnam: nhi ammi mujhe koi aitrazz nhi hai meri bachi boht naseeb waali hai jisse aap dono jeisi ammi milegi aur Aman jeisa shohar.....😊

Will Roshni and Aman accept each other as husband and wife???
For knowing keep reading yeh jaadu hai jinn ka...
Please ignore my mistakes....
And i want to let all of you know that the other parts are quite types of special parts , so plz keep reading.... and plz tell your buddies and friends if they are the huge fans of Roshan , so they must read this ff i want your all's support so that i can write more better , the next track is not that happy but i bet you all will love it....

Roshan Love Story✔️Where stories live. Discover now