married relationship

62 6 1
                                    

Kuch mahino baad

Dono dost din raat ek kar ke apne business set karne mai lag gaye. Or unki biwiya ghar gehrasti ke saath saath tution or beauty salon chalaane lag gayi. Shaam mai kuch aas pados k bache padhne aate or subha saara kaam khatam karke dono beauty salon chale jaate taake koi kaam adhura na rahe or saari zimmedaariya puri ho.

Unka manna ye tha k wo bhi piche nahi rahegi or unke husbands ka har qadam or har haal mai pura saath degi. Kyunki ye zahir sir baat hai k ek business set hone mai waqt lagta hai or usi business ko taraqqi milne k liye kuch or waqt. Isliye un dono ne ye tay kiya k wo ghar chalane or Jihyun or Daniel ka kandhe ka bhoj halka karne k liye ye kaam karegi or jaise hi zindagi or business mai sudhar aayega wo in kaamo ko chod kar puri tarike se ghar gehrasti mai lag jayegi.

Ji-hyun Or Daniel to buhat hi shukar guzar the k un logo ne aisa socha or kar bhi rahi hai. Par wo dono is baat par jaldi se razı nhi hue the. Unka kehna ye tha k Daniel or Ji-hyun dono har tatike ki musibat or mushkilo ko sambhal lenge.. Par

"Hum jante hai k tum dono koi kami nahi hone doge or na hi koi mushkil aane doge " Park Eun ne baat shuru ki

"Or hum ye bhi jante hai k humara kaam karna aap logo pasand nhi hai "
Mrs:Jeon yeong ne baat aage badhate hue kaha " Par hum sabki bhalai k liye hai"

Daniel halki si aah bharte hue khene lage " Baat ye nahi k hume tum logo ka kaam karna pasand nahi par hum ye nahi chahte k tum log koi dabav mai aakar ye sab karo "

"Daniel thik keh rahe hai hum dono ko sirf ye lagta hai k agar jo kaam tum khud ki khushi se kar rahi jo k hum jante hai tum dono shaadi se phele karti thi, or shaadi k baad tum logo ne apni job chodi hai. Agar waisa hi kaam tum apni khud ki khushi k liye kar rahi ho to sahi hai. Kyuki tum dono humari zimmedaari ho or hum tumse isliye kaam karwaye k tum dono ghar k kharcho mai humara hath batao to ye sahi nhi hoga"Ji-hyun bade sidhe saadhe andaaz mai samjhane lage.

Wo sab unke bunglow k chote se Living room mai baith kar baat kar rahe the k Eun or Yeong ne is baat ko cheda.

"Is mai sahi Or galat ki baat kaha se aa gayi dangshin. Agar hum log aap logo ka ghar kharche mai hath batana chate hai is mai koi galat baat nahi hai or na hi hum dono isse na khush hai balke hum dono is baat se khush hai k hum dono kisi bhi tarah tum dono ki mushkilo Or pareshaaniyon ko kam kare".

"Ye baat sahi hai par phir bhi hum logo ne kuch wade kiye the shaadi k waqt k hum kabhi koi aisi ghadi nahi aane dege jismai tumhe koi taklif ho or hum tumhari har zarurat ka khayal rakhenge. Mujhe tumhare kaam karne se aitaraz nahi hai par mai tumhe aaram dena chata hu har khushiya dena chata hu bus or kuch nhi hum dono ki baato ka galat matlab nhi nikalo".Daniel apni baaton par zor dete hai hue kaha.

Yoeng ne Daniel k hatho par rakhte hue kehna shuru kiya.

"Jagiya tumhari har baat sahi hai or har fikar bhi.tum ne meri har baat ka kahyal rakha or har khushi ka bhi. Ji-hyun bhai ne bhi Eun bhabi ke liye bhi koi kami nahi hone di. Par kya tum ye bhool gaye k humne bhi kuch qasme khayi thi shaadi k waqt k har mushkil ki ghadi or qadam par tumhara saath dege. Kyuki aap logo ko jitni fikar humari hai, hume bhi utni hi fikar hai. Or jitna pyaar aap log humse karte hai hum dono bhi utna hi karte hai. Ye humari bhi zimmedaari hai k aap logo ki tensions ko kam kare. Isliye ab hum koi nah nahi sunege. That is final". Yeong ne gusse se apne arm crossed kar liye. But dil dil mai ye prayer kar rahi thi k un dono k husbands unke faisle k liye hari jhandi dikha de.

Bus phir kya tha karte kya na karte bichro ne hami bhar li.

Us din se kisi ne bhi is baare mai argument nhi kiya. Balke dono dosto ko ye baat samjh aa gayi k life ki ghadi  dono phahiyo Par chalti hai. Agar dono miya biwi ek dusre ka saath nibhate hue aage bade to zindagi asan or khushi se basar hoti hai.

Ab ye dekhna hai k inki mehnat kya rang laati hai.....

Friends To Lovers { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें