Dekhte hi dekhte kab Yeong ki delivery ka waqt aa gaya pata hi nhi chala. Ye 9 mahine bade khush baash ( happily ) guzre. In pure mahino mai unka pura khayal rakha gaya. Unki har choti si choti baat, khawahish ko aisa pura karte the jaise mrs Jeon ek princess hai.Pheli aulad ki khushi buhat alag hoti hai, aisa lagta hai k puri qainat unke kadmo tale hai, puri jaha ki khushi unhe mil gayi ho.
Isliye unke buhat naaz or nakhre uthaye gaye. Wo complaint karti rehti jati k unhe aisa treat mat kiya karo. Par dil se sabki shukar guzar thi or upar wale ko bhi thanks kehti k itne pyar karne wale log unke nasib mai hai. Ye dekh kar kabhi wo ro padti kyuk unhone jitni bhi mohabbate or izzat payi hai sab yaha or isi ghar, unke mummy papa k death baad. Mr Jeon ki tarah wo bhi anath ho gayi thi. fark sirf itna hai unke maa baap ka saath kuch saal phele chuta tha. Or tab se wo apni mansi k waha rehti thi. Behan ki aulad to zyada aziz ( dear ) hoti hai sab behno ko par yaha baat alag thi.
Bus yahi thi unki same typical story jise soch kar wo khud ko udas nhi karna chati thi. Isliye jo jaisa unhe spoil karta, karne deti.
Or kuch mahino phele unka business bhi set ho gaya. Zyada nhi lekin achi khasi income hone lagi isliye yeong or eun ko apne kaam ko alvida kehna pada. Par un dono ko koi gum nhi tha wo ye soch kar hi khush thi k wo mushkil waqt mai apne husbands k kaam aayi. Dono khushi khushi ghar ki zimmedaariyon ko sambhalne lagi.
Or eun ghar k saath saath yoeng ka bhi khas khayal rakhne lagi taake aage delivery k waqt koi problem nhi ho.
"Eun! Ab bus bhi karo mujhse or nhi khaya jata". Yeong ne munh banate hue kaha.
" Bhabi bus ek niwala reh gaya hai. Or phir khatam".eun ne aisa kaha jaise wo koi baby ho.
"Eun tum dekhna mai tumhare waqt kya karti hu".yeong ne nakli gusse se Eun ko kaha.
Par eun sharam k maare laal ho gayi. " Bhabi aap bhi na".ye keh kar waha se jane lagi k yeong ne unhe rok liya.
"Kyu kyu? Haa? Mujhe kaise chedti thi tum. Abhi mai tumhe pareshaan karugi wo bhi sab k samne". Yeong ne Eun ko gudgadi karte hue kaha.
Eun jaldi se piche hath gayi warna khane ki plate gir jati. " Bhabi plz aisa mat karna.wo bhi mujhe chidhane lage ge" Eun ne cutely kaha.
Yeong is baat par hasne lagi. Utne mai dono dost bhi ghar aa gaye the.
"Kya baat hai, zara hume bhi batao. Ye hasi ki mehfil mai kaunsa joke kaha gaya hai". Mr Jeon ne ghar k mahole ko dekh kar kaha. Or tie ki knot loose karte hue yeong k pass baith gaye.
Mr. Park samne wale couch par baith gaye. Wo thake hue the par ghar k pur sukoon mahole ko dekh kar hi unki aadhi thakwat gayab ho gyi.
Yeong ne kuch nhi kaha bus Eun k aane ka intezar karne lagi, kyuk wo jihyun or daniel k liye kitchen se paani lane gayi thi. Daniel ne kuch der to intezar kiya jawab ka par jawab na milne par wo phir puchne lage.
"Kya hua, humse share nhi karna hai kya? Hmm?".mr jeon ne eyebrows raise karte hue pucha. Utne mai eun paani k glasses tray mai le kar aa gayi.jihyun or daniel dono ko paani dene k baad wo jihyun k paas aakar baith gayi.
Tab yeong ne mischievous smile k saath eun ko dekhte hue kehna shuru kiya. "Wo mai eun se keh rahi thi k kab tak ka plan hai? ". Eun k is baat par kaan khade hue or wo aapni aankho se yoeng ko mana karne lagi.
"Kaisa plan?" Jihyun ne interest lete hue pucha.
"Nhi wo kuch nhi keh rahi thi". Eun ne ghabrate hue kaha.
" Kaise nhi. Mai ye keh rahi thi k ab kuch hi dino mai is ghar mai chota baby aa jayega. Phir wo jab thoda bada hoga to uske saath kaun khelega". Yeong ne eun ki taraf wink karte hue kaha.
Eun puri tarah se surkh ( red ) ho gayi. Par phir bhi do jigri dosto ki tube light nhi jali. "My dear wife hum sab to hai yaha ab kis ki zarurat hai tumhe".daniel aise bole jaise unki wife ne koi buhat hi ajib baat keh di hu.
Yeong ko aisa laga jaise sar pit le khud ka. Daniel ko kuch der ghorne lagi. Phir jaise hi wo kuch kehne wali thi tab. " Mai aap logo k liye chai laati hu".eun kehte hue kitchen ki taraf tezi se gayi.
Ye dekh kar to jihyun or daniel bhi kitchen ki taraf dekhne lage k aakhir eun ko achanak hua kya jo itni tezi se gayi.
Yeong dil hi dil mai in dono budhoo ( dumb ) ko kosne lagi k pura maza kharab kar diya. But ab wo chup nhi rehne wali thi. Muskurate hue aage kaise Eun ko sataye is baat ki planning karne lagi. Or mr jeon unhe dekh kar muskurane lage ye soch kar wo unhe dekh kar smile kar rahi hai.
"Tum smile kyu kar rahe ho? ". Yoeng ki jab un par nazar padi to pucha.
Is par daniel confuse ho gaye. " Tum mujhe dekh kar smile kar rahi thi isliye maine tumhe dekh kar kiya".
"Mai dekh kar smile nhi kar rahi thi. Mai to kuch soch rahi thi". Yeong ne bade aram se kaha.
"Kya soch rahi thi. Hmm? batao". Daniel janna chahte the, yeong k dimaag mai kya chal raha hai.
"Mai tumhe kyu batao". Yeong scoffed. Or uth kar waha jane lagi. Belly par rakh kar apne room ki taraf chali gayi.
Daniel ne phele jati hui Yeong ko dekha phir jihyun ki taraf. Or aankho se ishara kiya jaise puch rahe ho ye kya tha. Jihyun also shrugged and went into his room.
"Koi mujhse baat hi nhi karna chahta". Daniel ne ruthe hue andaz mai apne aap se kaha. Par unhe manaane wala koi nhi tha waha. In fact wo ruthe hue hai ye bhi koi nhi janta tha.
It's kind of short but i want to update. I think ye part boring tha but mai story set karna chahti hu phele is liye. I'm new to this isliye A/N kaise likhte hai pata nhi. Anyways guy's take care and bye.

आप पढ़ रहे हैं
Friends To Lovers { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }
FanfictionJikook story in hindustani style but names in story are same