"Dan... Daniel.. Ahh. Ahhha. Daniel utho.... Ahhh. Daniellllllll"... Yeong ne Daniel ko uthane ki koshish ki. Raat kafi gheri ho chuki thi k achanak se yeong ki aankh dard se khul gayi. Phele to unhone bardaasht kiya ye soch kar k waqti ( temporary ) dard hai thik ho jayega. But jab yeong ne mehsus kiya k unka water broke ho chuka hai tab unhone Mr Jeon ko nind se jagana sahi samjha.Itni zor ki chik sun kar Daniel uth gaye or fauran table lamp on kar diya. Unhone dekha k yeong dard se tadap rahi hai. Daniel ne jaldi se unka haath tham liya. "Yeong ghabrao mat sab thik hoga. Mai jihyun or eun ko phone karta hu. Tum plz himmat rakho " Wo apne aap par control karte hue bole.
Usi waqt door par knock karne ki awaz aayi. Mr Jeon yeong ko ek pal k liye bhi chodna nhi chahte the but darwaza kholna bhi zaruri tha. Unhone darwaza khola to eun sabse phele andar ki taraf bhagi. "Bhabi.... Aap thik to hai?" Eun ki awaz se pareshani saaf jhalak rahi thi. Wo yeong k pass ja kar baith gayi or unhe hausla dene lagi.
Jihyun or Daniel ne fauran se tayyar ho kar car ready kar li or lighting ki speed se ab wo log hospital ki taraf car dauda rahe the. Par sambhal kar k kahi yeong ko taklif nhi ho. Aise waqt mai wife ko sabse zyada zarurat apne husbands ki hoti hai. Isliye jihyun ne Daniel ko yeong ka saath piche baithne k liye kaha. Or khud drive karne lage.
"Ahhhhhh....... Daniel....... Mujhe buhat... dard ho rah. raha.... hai". Yeong ba mushkil kuch keh paa rahi thi.
" Yeong plz hausla rakho... Sab thik hoga ,kuch hi der mai hospital aa jayega phir sab thik ho jayega".mr Jeon unhe samjhate hue kaha, wo khud bhi buhat dare hue the par apni wife k liye wo pareshaani zahir nhi karna chahte the.
"Ha bhabi.... Plz bus kuch der ki baat hai.. Aap dekhna sab thik hoga... Aapka pyara sa baby aapke paas hoga". Eun ne kaha. Isse dard to kam nhi hua par unhe himmat mil gayi ye soch kar k ye saare dard worth hai jab unka baby unke pass hoga.
************************************
Yeong is waqt operation theatre mai thi. Or sab log bechaini se O.T k corridor mai thel rahe the. Sabko fikar lagi hui. Sab ek hi dua kar rahe the k maa or bacha dono hi sahi salamat rahe.
Bus upar wale ne unki dua sun li. Or doctor sahab muskurate hue bahar aaye. Sab unki taraf fauran aa gaye.
"Doctor, yeong kaisi hai, or mera baby. Sab thik hai.".Daniel ne ghabrate hue kaha or isi wajah se unhone doctor ki chehre ki muskurathat nhi dekhi. Wo apne hi tension mai the. But eun or jihyun ne dekh kar sukoon ka saans liya. Wo samjh gaye the k sab thik hai bus doctor k confirmation k liye ruke the.
"Ji ji Mr Jeon.Sab thik hai, mubarak ho aap k yaha ladka hua hai. Buhat buhat mubarak".unhone apna haath aage kiya hand shake k liye par Daniel khud hi shook ho gaye. Mr and mrs Park be inteha khush hue or upar wale ka shukr ada kiya. Mr Park ne dekha k Daniel ek dum se froze ho gaye to unhone halke se Daniel ko hilaya. Jaise hi Daniel ne reality mai kadam rakha unhone doctor ko gale se hi laga liya or dhero dher baar thanks khene lage..
"Is mai thanks kehne ki koi baat nhi, ye mera farz hai".doctor sahab Daniel k kandhe par hath rakhte hue kaha. " Aap ki biwi bilkul thik hai or aapka baby bhi. Bus do din yaha rakhna hoga uske baad aap unhe ghar le jaa sakte hai".doctor ye kar jihyun se handshake kar k aage badh gaye.
"Abe idhar aa gale lag, kya baat hai mera dost aaj baap ban gaya,mubarak mere dost".mr Park unhe gale lagate hue kaha. Mr Jeon gale lagte hi rone lage. " Are ye kya hai khushi mauke par koi rota hai".mr park ne unke aansu saaf kiye or wapas gale laga liya.
"Bus kuch nhi yaar, is waqt k liye mai intezaar kar raha tha or aaj mujhe wo khushi nasib hui hai, is liye ye khushi k aansoo beh nikle". Mr Jeon ne smile k saath kaha.
" Aap ko buhat mubarak ho bhai sahab hum sab jante hai ye kitni anmol khushi hai isliye plz aap roye mat warna yeong bhabi khud ro padegi". Eun ne unhe samjhate hue kaha.
"Ha... Sahi kaha... Tum dono ko bhi buhat buhat mubarak. Par Eun mai tumhe dil se thanks kehna chahta hu, tumne jo yeong ka itna khayal rakha uske liye mai buhat ehsaan mand ho tumhara. Aaj jo tum mango, jo farmaish karo, ya jo bhi aarzoo hai tumhari batao mujhe, mai wo sab puri karuga". Daniel ne shukar guzar hote hue kaha.
"Bhai saha aap plz aisa mat khaiye. Aisa koi ehsaan nhi ki hu maine. Wo meri bhi dost or behan hai , itna haq to hai mera yeong bhabi par hai k unka khayal rakhu. Aap aisa keh kar mujhe sharminda mat kijiye".eun ne halka sa sharmate hue kaha. Waqiye mai unhone yeong ka buhat khayal rakha par apni badi behan samjh kar hi isliye unhe ehsaan wali baat achi nhi lagi.
" Mera tumhe sharminda karne ka irada nhi tha. Par kher yu samjh lo k mai tumhe treat de raha hu. Ok". Unhone ek option dete hue pucha.
"Are bhagyawan , aisa mauka chodna nhi chahiye. Is kanjus ki jeb to dheeli honi hi chahiye". Mr Park ne haste hue apne dost ko tease kiya.
"Abe kanjus hoga tu". Mr Jeon ne unhe bazu pat mukka marte hue plat jawab diya.
"Dekhte hai". Or chidhaya.
"Acha thik hai. Bus bhi kare abhi ladna. Ab aap log chote nhi rahe. Aap se chota aa gaya hai". Eun ne dono ko nakli gusse se kaha.
"My dear wife! Aap tension na le abhi to humare Or chote hone k din aa gaye hai is baby k saath". Mr Park ne bade excitement se kaha.
"Ok aap jaisa thik samjhe. Or ha bhai sahab agar aap such mai mujhe treat dena chahte hai to is waqt mai kuch nhi soch paa rahi. Aisa karte hai jab kuch soch lu to aapko zarur bataongi. Ok" Eun phele Mr Park se or phir Mr Jeon se kaha or dono hi is baat par hami bhar li. "Ab plz jaldi chaliye mujhe bhabi or baby dono se milna hai". Eun un dono ko wahi chod kar yeong k ward ki taraf badh gayi.
" Are humare liye bhi to ruku". Dono kehte hue Eun k piche chale gaye.
आप पढ़ रहे हैं
Friends To Lovers { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }
Fiksi PenggemarJikook story in hindustani style but names in story are same