Jungmin? Jongkook?

23 2 1
                                    


Yeong kuch din hospital mai ruk kar baby k saath ghar aa gayi. Or jaise hi unhe ghar laya gaya mehmano, dosto, padosiyon ka aana jana shuru ho gaya. Sab ne dil khol kar mubarak baad di or saath mai duae bhi di.Gifts bhi buhat saare mile zyada tar us banny baby ko. Unke jo sage rishtedaar the wo bhi aaye or is khush khabri k liye mubarak di.

Daniel to jaise satve aasman par the, itne khush to wo apni shaadi par bhi nhi hue the. Unki ye khushi dekh kar sabke chehro par muskurahat chah jati. Daniel bachche k saath khub khelte jabke wo sirf kuch din ka hi tha, Or Yeong abhi thodi kamzor thi par Eun unka pura dhyan rakh rahi thi.

Yeong, Eun ki buhat shukar guzar thi, or dil mai than liya tha k jab bhi Eun ki gaud bharegi , ye bhi Eun ka isi tarah se pura khayal rakhegi. Agar Eun ye sab na bhi karti to bhi yeong Eun khayal rakhti hai, ismai koi sochne ki baat to thi hi nhi.

Do hafte guzar chuke the or zindagi roz ki routine par aa chuki thi, sab kuch phele ki tarah ho gaya tha, bus yeong or Daniel ki ninde barbad ho chuki thi. Ab parenthood aise hi asani se nhi guzarta, kahi qurbaaniya deni padhti.Chahe phir nind ho ya phir kuch or.Isliye hi to upar wale ne maa baap ka darja buland rakha hai.

Ab ye bhi wo kar rahe the, bhale hi kitni hi problem ka samna kyu na karna pade maa baap bina kisi shikwa shikyat k, or bina maathe par bal laye har wo kaam bachcho k liye karte hai jo unhe bachcho k liye sahi lagti hai.

Sab kuch thik hi chal raha tha bus problem ye thi k ab tak baby bunny ka naam hi nhi rakha gaya tha. Or aisa nhi tha k naam socha nhi gaya ya kisi k paas koi suggestions hi nhi the. Suggestions to bhar bhar k the, but problem ye thi k yeong Or Daniel ek  naam par sehmat hi nhi ho rahe the.

Kitni choti si baat hai na par inke liye nhi.......

" Maine kaha na mujhe ye naam rakhna hai, to tum meri baat kyu nhi mante". Yeong ne bunny ko apne baho mai simatte hue kaha. Ab jabke naam rakha hi nhi gaya to kuch to naam se bulana padega na baby ko is liye mostly sab filhal k liye bunny kehte hai use, wo bhi acha hua k Eun ne uska pet name rakh diya tha warna pata nhi kya kehte.

Wo sab log jihyun Or Daniel k ghar aane k baad Living room mai baithe shaam ki chai pi rahe the k phir ye qissa cheda gaya, Daniel ne fut se apna pasand ka naam keh diya jis par Yeong ne mana karte hue ye jawab diya tha.

"Are bai mere pasand k naam mai kya burai hai" Mr jeon ne thoda chid kar pucha. Wo kahi dino se yeong ko mana rahe the k unki pasand ka naam rakha jaye, par Yeong bhi unki nhi chalne de rahi thi.

"To kya mere pasand k naam mai burai hai? , tum ye kehna chah rahe ho? Huh?" Ye keh kar yeong ne gusse se mun dusri taraf fer liya. Ye sun kar Daniel k mun se chai nikalte nikalte bach gayi.

"Maine aisa kab kaha hai, mere kehne ka ye matlab nhi tha yeong, tum baat ko kisi or disha mai le gayi" Mr joen baat samjhane lage.

"To phir kya tha tumhari baat ka matlab haa batao". Yeong unki taraf dekh kar puchne lagi. Ab jab Daniel se kuch baat nhi ban padi to unhone samne k sofe par baithe hue Park couple ki taraf madad talab nazaron se dekha, taake wo dono unhe is problem se bahar nikale.

But wo dono to apni hasi control karne mai lage hue the. Hua yu k aurte pregnancy mai mood swings ka shikar hoti hai, yaha case thoda ulta ho gaya hai, yeong ko pregnancy k baad mood swings ho rahe the. Sabko hairat to hui par doctors ne kaha k by chance hi aisa hota hai par is mai darne ki baat nhi kyuk maa delivery k baad thakan ki wajah se chid chidi ho jati hai.

Isliye yeong k is mood swings ki wajah se daniel ki aaye din shamat aayi hui rehti hai. Kabhi yeong ko daniel ki kuch baat pasand nhi aati, kabhi unka baithne ka tarika acha nhi lagta, kabhi daniel raat mai bunny k rone par na uthe to uspar gussa. Means unka band har waqt bajte hi rehta tha. Daniel chup chap sun bhi lete Or kuch nhi kehte samjhte the k kuch waqt ki baat hai sab thik ho jayega, par naam wali baat par wo chup nhi baithe, isi silly si baat ko le kar dono ki nok jhok har waqt shuru rehti.

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jul 28, 2021 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Friends To Lovers { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें