The dreadful Past

2.3K 178 38
                                    

{Not proofread kindly ignore the mistakes}
(A week passed..Anuseena are busy with their individual work..Haseena still trying to collect proofs against DM and Anubhav planning to make her confess the truth..)
One fine day
Anuseena's room
As: Ha Satyapal..Unhe baithneko Kaho..haa hum..thodi Der mein pounchte Hain..Haan Commissioner sir se Kaho Woh chinta na kare..Akhir Woh Shaziya Malik Hain..Unki security ki Kadi vyabastha hum karenge..haa Itne bade Businessman ki beti Hain..Rakho hum pounchte Hain...
(Hearing Shaziya Malik HM who was busy on her laptop looked up.)
HM in mind:
Kya Baat Hain... Shaziya Malik
..bade Business ki beti..kash Ammi abbu Yaha hote..toh Hum bhi Yahi kahelate..(She smiled a sad smile..As noticed it and smirked then spoke..)
As: Haseena AJ Hume aane mein Zara Der hogi..Maa se kahe dena..Woh kya Hain na Bohut bare businessman late Zubair Malik ki ek lauti Beti Shazia Malik laut aayi Hain...
HM: (a bit shocked)Kya! Zubair Malik...
As: Haan!(Innocently)..Yeh Dekho na aaj news mein bas isike charche Hain..(He turns on the TV)
**LUCKNOW KE BADE BUSINESSMAN LATE MR ZUBAIR MALIK AUR UNKI PATNI SALMA MALIK KI EKLAUTI BETI SHAZIYA MALIK LAUT AAYI HAIN. 17 SAAL PAHELE  EK BUSINESS PARTY MEIN JAATE WAQT UNKI GAADI KA EK BHAYANAK ACCIDENT HUA THA..PAR SHAZIYA MALIK KA KAHENA HAIN WOH USME BACH GAYI THI..AUR AB APNE PITA K 100 ACRE ZAMEEN JISKA AJ K BAZAR MEIN LAGBHAG 5CRORE  MULYA HAIN..USKA HAQ CHAHTI HAIN..**
HM in mind:
Yeh kya Naya tamasha Hain...Shaziya Malik..abbu ki yeh Zameen toh humare naam pe Hain..isiliye Damyanti Kuch Nahi Kar payi..zaroor Damyanti ki koi saazish Hain..uss Zameen ko hadap ne k liye..(while thinking she spoke aloud)
HM: Aisa Nahi ho sakta..
As:  kya Nahi ho Sakta Haseena?(smiling inwardly)
HM: Yeh..koi 17 saal baad aise kaise laut Sakta Hain..yeh ladki safed jhoot bolrahi Hain..tumhe samajh Nahi AA Raha..(She said frustrated)
As: Arey kyun Nahi aasakti..aur isne saboot dikhaein Hain..yahi Shazia Malik Hain..tumhe kyun Lagta Hain ki yeh jhooti Hain..
HM:  kyunki hum..(she stopped realising what she was about to say)..Humein Lagta Hain..bas..tum jao..
As: Chalta hoon..aaj Inhe headquarter se airport leke Jana Hain..(He left)
(Haseena immediately called Arsal and told him the whole matter.)
Arsal on call: Chal abhi chalke use pakad te Hain..police k samne hi uska parda faash hi jayega..
HM on call: Nahi Arsal..tum Nahi ..hum tumhe police k chakkar mein Nahi padhne dena Chahte....ab Jo karenge hum akele karenge.
Arsal on call: par Haseena..
HM on call:  Kuch Nahi Sunna Hume Arsal..bye.(She disconnects the call and rushed out of the house.)
------------------------------------
On a deserted road:
(A police van along with As's car arrived and suddenly stopped.)
As: Kya hua?
Constable: Sir, tyres puncture ho Gaye..yeh dekhiye raaate pe bade bade kilein(nails)  padi Hain..(As gets down from his car.)
As in mind:
Bich raaate mein yeh sab...Kahi Haseena Ka kaam toh Nahi..par Woh Yaha Itni jaldi kaise pounch Sakti Hain..he calls for another car(suddenly there was smoke all around..all the constables and As started coughing..After sometime when again everything becomes clear a constable shouts.)
Constable: Sir, Shazia Malik Yaha Nahi Hain..(As immediately rushes to the van.)
As: Nahi Hain..Kaha tha na humesha unke Saath koi rahega..dhyan Kaha Hain(He shouted.. meanwhile another car arrived.He sat in the car and instructed the driver to start driving.)
----------------------------------
An abandoned house outside Lucknow
HM: Batao kon ho tum..(To a girl)
Girl: Shazia Malik
HM: Jhoot..(She roared).Jhoot mat bolo..sach sach bolo tum kon ho...
Girl: Main Shazia Malik hu..zubair Malik ki beti..
HM: Aakhri bar bol rahe Hain..sach bolo(She slapped the girl hard..her lips started bleeding)..warna yahi zinda gaad denge..
Kon ho tum..kisne bheja Hain tumhe..Damyanti Mathur ne?
Girl: Main Shazia Malik hu..Apne abbu ki zameen Ka HAQ Lene aayi Hu...
HM: Khabardar Jo unhe apna Abbu Bola..(She pulls out her gun)..Bohut sun Liya tumhara jhoot..ab bass(She points the gun to the girl..)
Girl: Ho kon tum..apna Naqab kyun Nahi hatati..
HM: Upar jaakar Zubair Malik se hi Puch Lena..hum kon Hain..(She puts her index  finger on the trigger)..Sach bologi ya Nahi..1..2..3..
Voice: Ruk Jao..(HM turns back and was shocked to see As)
As: Ruk jaao..use Jane do.(He was standing calmly with his hands in his pockets.)
HM: Dekho bich mein mat Aao...
As: Ab hum toh aagaye bich mein..(He started stepping forward.)
HM: Hum Goli Chala denge (She said pointing the gun towards As)
As: Nahi Chala Sakti Aap(Still moving forward..smiling slightly.He gestured the girl to run away..and she did.)
HM: Hum Chala denge Goli..
As: Apne hi Pati par kaise Goli chalaogi Haseena..(HM was shocked..As took long steps and went near her and removed her Naqab..HM was still in shock..As slowly took the gun from her hand...) Aascharyachakit ho Gayi????!!
HM: (moved a few stepped back as they were standing too close)..Aap Yaha kaise..
As: Ab tak toh tum samajh Gayi hogi yeh sab tumhe pakadne k liye ek jaal tha..hum jaante the tum Haseena Malik ho...Itni aasani se sach Nahi Batati..aur Dekho main Sahi tha..isiliye for safety purpose Iss ladki pe Humne ek tracker laga dia...yeh toh Naina thi..police ki madat Kiya Karti Hain..Humne toh Aapna sach Bata Diya..ab tumhari Bari..sach bolo Haseena..ya Kahu Shazia..(HM looked at him..her eyes red..)
-----------------------------------------
HM: Sach Sunna Hain na..toh suno Anubhav Singh..Ha hum hi Hain Shazia Malik..aur Apne parivaar k maut Ka badla Lene k liye hi laute Hain...
As: Par Woh toh ek accident tha na..
HM: Nahi tah Woh accident well planned murder tha..(she roared.As held her by her shoulders..made her face him.)
As: Haseena Puri Baat batao..hum pe bharosa Rakho..(She removed herself from his grip and started telling..)
HM: Damyanti  aur humari Daadijaan Vaijyanti Devi do Sagi bahene thi..Daadi Jaan Ka nikaah hua humare dadaji Jamshed Malik se..Woh Bohut bade business man the..aur Damyanti Mathur Ka nikah hua Narendra Mathur se..dadaji aur Narendra Mathur business partners the..Jab humare Abbu 10 Saal k the tab daadijaan kidney failure k Karan chal basi aur Woh sadma na bardasht Kar pane k Karan humare Dadaji bhi chal base..Uske bad Pura business aur abbu ki parvarish ki zimmedari aagayi Damyanti Mathur par..Abbu Apni Ammi jaisa mante the USS aurat ko..(She took a deep breathe)
Phir college mein Abbu aur Ammi ko Pyar hua .. Damyanti Iss Shaadi k khilaf thi kyun ki Woh Janti thi agar abbu Ka khudka parivaar hoga toh uski taqt(throne) kamzor par jayegi..Par abbu ne Zid Karke Ammi se nikaah Kiya..aur hum paida huye..Bohut Pyar karte the abbu Humse(She whimpered.)..yeh Baat Damyanti ko raas na aayi..phir jab hum 10 sal k huye Abbu ko pata Chala business mein Damyanti aur uska beta Ketan cheating Kar rahe Hain..toh unhone business alag karne ki Baat ki..Bohut jhagda hua..aur hum Ammi aur abbu unse alag ho Gaye ...sab Kuch thik tha..hum 11saal k huye..
Ek din hum teeno ek business party mein ja rahe the..achanak ek aadmi humare gaadi se aake takraya..abbu aur Driver bahar Gaye dekhne..toh usi aadmi ne Abbu ko chaku maar Diya..driver bhi unke Saath Mila hua tha..phir Kuch aur gunde aaye aur Hume aur Ammi ko gaadi se bahar nikala..phir aayi Damyanti Mathur...Humari aakho k samne humari Ammi ko chaku maar Diya..Woh bhi pet mein .. 4months pregnant thi humari Ammi...Woh chikh rahi thi dard k mare..(Anubhav Gasped..Haseena fell on her knees and cried out loud).Hum Kuch Nahi Kar paye Anubhav..Phir usne humpar bhi chaku se vaar Kiya..par uski badnasibi..hum mare Nahi..sirf behosh huye the...
As: Par police report k hisaab se Aap bhi Mrit Hain..
HM: (Smiled sarcastically)..Kharid Liya usne system ko..Neelam Aunty humari Ammi ki Bohut Achi saheli thi..jab Humne Dekha ki Abbu par hamla hua .turant Humne unhe ek SMS Kar diya ..Woh police leke waha pe pounchi...par Damyanti Mathur ne USS Inspector Bilal ko kharid Liya aur usne murder ko accident Bana Diya..aur Neelam Aunty ko dhamki dii agar unhone muh khola toh unka orphanage Band Karwa denge..Saari bodies ko hospital mein le Gaye..doctor ne Kaha hum zinda Hain..phir usi Raat ko humpar humla hua..par humlawaar se Galti ho gayi..usne ek dusri bacchi ko maar Diya..Usi Raat ko jab hospital mein bhaag daud shuru ho Gayi tab Neelam Aunty humein leke bhaggayi..aur agle din humlog Mumbai chale gaye...waha ek boarding school mein Humara admission hua..aunty ne court jaakar Humein Shaziya se Haseena banaya..sach mein us ghatna mein Shaziya Malik mar gayi aur Zinda huye hum.. Haseena Malik..jiska sirf ek hi maqsad Damyanti Mathur se badla.(Her eyes burning with rage.)
As: Aap Arsal ko kaise Janti Hain?
HM: (smiled a bit)Arsal humari dardbhari aur bejaan  bachpan Ka eklauta khoobsurat hissa Hain..Hum paanch saal k the jab usse paheli bar mile the..Neelam Aunty k through hi Mile the hum..Woh bachpan se hi orphan Hain aur Aunty k orphanage mein raheta tha..hum Saath Saath school Jaate the..best friend Hain Woh Humara..har Sukh dukh Ka Saathi tha aur Hain..Hume usse Accha koi Nahi samjhta tha..na hi koi samjhega..(As felt an unknown emotion rising in him..but he ignored it) phir Hume usse dur jaana pada..Woh aata tha Humse Milne aunty Saath Kabhi Kabhi..Mumbai mein raheneke dauran Hume pata Chala Damyanti ne humari Naanijaan Ka bhi qatl Kar diya kyun ki  Woh Iss case ki taiqiqad phir se Karwana chahti thi .(She started crying again...)Phir Humne apni padhai khatam ki aur Lucknow laut aye aur force join Kiya...taaki Damyanti k khilaf Sare saboot ikattha Kar use saza de sake..aur Arsal ne humari madad ki..
As: Damyanti ne Shaadi k din Neelam Aunty ko kaise Nahi pahechana?
HM: Uss Baat ko 17 Saal bit chuke Hain .. aunty Ka chahera bhi kaafi badal Gaya Hain ....shayed Iss wajah se ..Woh Jo bhi ho...hum uss Damyanti Mathur ko nahi chhodenge...zaroorat padi toh Jaan le lenge uski(She shouted)
(As moved towards her and held her shoulders.)
As: Aisa Kuch Nahi karogi tum Haseena..hum kanoon ko haath mein Nahi le sakte..tum toh samajhdar ho..(He cups her face tenderly ).Aur ek Baat jaanlo hum tumhare Saath Hain...humesha.(She looked deep into his already moist  eyes..all she could see was truth..she hugged him tightly and started crying loudly and said..).
HM: Hume humari Ammi abbu Naanijaan aur uss Bhai k liye insaaf Chahiye jo Kabhi Iss duniya mein aa hi Nahi paya...Anubhav Hume insaaf Chahiye..
As: hum Saath Milkar unhe insaaf dilwaenge..(He hugged her more tightly.After 15 minutes of good crying she left him.)
As:(smiled a bit.) Ghar chalein....
HM: Hmm..chalo(They went to his car holding each others hand and drove off to home.)
---------------------------------
Precap: Anuseena comes closer
--------------------------------
Haseena revealed her dreadful past and now Anuseena are determined to punish Damyanti..will it be so easy???
--------------------------------
Do vote and comment if You like the chapter.
Thank You.




ANUSEENA-Tum Mile✓Where stories live. Discover now