The Unveiling

1.8K 169 27
                                    

Next day
Shopping Mall
As:Dhanyawaad Haseenaji Jo aap humari sahayta Karne hetu aayi Yaha..
HM: Humein ek Baat samajh Nahi aarahi sir..gift Riya k liye Lena Hain toh aapne Hume kyun bulaya..I mean Aap agar use laate toh I'm sure Woh bohot zyada Khush Hoti..(She was clearly disinterested in this shopping thing.)
As: Woh kya Hain na hum unhe Ashcharyachakit Karna chahte Hain..
HM: kya Karna chahte Hain.. translate pls?
As:(He chuckled) Surprise..(She nodded.)
(They went to the jewellery section to get a nice bracelet for Riya.)
As: Aap nishchit Hain Riya ko yeh Pasand Aayegi?
HM: Ha ha..use Pasand Hain aise designs.
As: Haseenaji aapko swayam k liye Kuch Nahi Lena?matlab humlog shopping mall mein Hain..Aap bhi Apne liye bracelet kyun Nahi le leti..apke haath mein Jo Hain Woh toh kaafi Purana lag Raha Hain..
HM: Nahi Hume Kuch nahi Lena..aur jaha tak Iss bracelet ki Baat Hain ..ise hum kabhi nahi utarenge..Hum thodi jaldi mein Hain..(As looked at his watch )
As: Thik Hain Aap prasthan kijiye.. Dhanyawaad.
As pov:
Shayed hum Jante Hain Aap yeh bracelet kyun Nahi utarna chahti....Abhi tak toh constables ne Aapna  Kaam Kar diya Hoga..
-----------------------------
Malik residency
(HM entered the hall and looked around..)
HM: Koi Aaya tha kya..Arey Nahi Yaha kon aayega..(She went to her room and found everything perfectly alright.)
Hm in Mind:
Ufff...waqt bit ta jaaraha Hain aur hum Kuch Nahi Kar parahe..Agar yeh engagement ho Gayi toh Singhs aur Mathurs ki business deal final ho jayegi..aur Damyanti k paas paise aagaye toh phirse system ko kharid legi..jaisa 17 Saal pahele Kiya tha..(Tears started rolling down her cheeks)Hum aisa Nahi hone denge..Kabhi Nahi... Damyanti tumhe saza dene k liye..hume kanoon todna pade toh Woh bhi todenge..
------------------------------------
Headquarters
Constable: sir yeh rahi Woh tasveere Jo Aapne mangwai thi...
As: sab thik se wapas Rakh Diya tha na?
Constable: ji sir..
(The constable left and As Started going through the pictures in the phone given by the constable)
As in mind: Maaf kijiye Ga Haseenaji hum Jante Hain Bina anumati constables ko Aapke ghar bhejna galat Hain..par kya karein Aap jhoot pe jhoot bole jaa rahi Hain..Malik residency bhi aapka hain..phir Bhi Aap sab se jhooth bolti Hain...(He was going through her documents..all of them seemed real...Suddenly one document caught his attention.)
As: Yeh toh Mumbai university se issue hui merit certificate Hain...matlab ek aur jhoot..unhone Humse Kaha ki Woh Lucknow se bahar Kabhi Gayi hi Nahi...par inke documents toh saare Sahi lagrahe Hain..par Kuch toh Hain..(As decided to check her social media..he opened Facebook and searched her name..thousands of profiles appeared on the screen but none of them was hers..After an hour he was highly frustrated.)
Har ek Baat Jhoot boli Hain Haseena Malik ne..par inke Sare documents ekdum genuine..aisa kaise ho Sakta Hain...Itna Kisi case ne hume Nahi uljhaya jitna ek Haseena Malik ne uljhaya Hain..(He again started reading  her Documents and he finally found the Missing link.)
As: affidavit of name change..(He was shocked, surprised, happy all at a time.He started reading it.)Iska tatparya hain Shaziya Malik hi Haseena Malik Hain{it was a pretty easy guess.. congratulations to all jinhone kal correct guess Kiya😊}
..par uss file mein toh Likha Hain Shazia Malik ki bhi maut ho chuki Hain...aisa kyun Likha Hain phir..Jo bhi ho yeh tai hain ki Haseena aur Shaziya ek hi hain..par unhone apni pahechan kyun badli..ab toh aamne samne Baat hogi..
------------------------------
(As was driving in full speed towards her home when he found her and Arsal talking in a park by the road side.There was no other person.He decided to listen to their talks so he hid behind a tree.)
HM: Arsal hum kaise yeh shadi rokenge..Woh file bhi Humne dekhli Damyanti Ka ziqr tak Nahi hain usme...Kaise sabko yakeen dilai ki humare ammi-abbu Ka accident Hain Qatl hua hain..kaise..
AA: Tu fiqr na Kar..Allah pe bharosa Rakh..Damyanti ko Uske kiye ki saza zaroor milegi..
HM: Milna hi Hoga...usike liye toh hum Shaziya se Haseena bane..Humare abbu kahete the hum unki shahezaadi Hain isiliye humara naam Shaziya rakha tha..par taqdeer ka khel dekho..na abbu rahe na Woh naam..(She broke down into tears.Arsal immediately engulfed her into a hug..she was crying her heart out after long.After a while she stopped crying.)
HM: Hum Chalte Hain Arsal kaafi Der ho Gayi..bye
AA: Bye Haseena..(They both left.As's eyes were moist too.)
As pov:
Ab shak ki koi gunzaish Nahi..Haseena Malik hi Shaziya Malik Hain..jiska 17 sal pahele accident hua tha..kanoon ki nazar mein Woh Mrit hain...aur inke anusar Damyanti Mathur Inn sabke piche zimmedar Hain.Aj hum waada karte Hain ki aapko insaaf dilwake rahenge..Agar Damyanti Mathur galat hain toh unhe jail hum bhejenge..par uske liye Bohut zaroori Hain ki Aap Humse Baat Karein..Aap toh har pal Humse dur bhagti Hain..koi baat nahi Bohot jald aap sab confess karengi.(He too left for his home.)
------------------------------
Precap: Engagement and Anuseena faceoff
------------------------------
Here was the most awaited truth revelation.Now that As knows HM's truth what will be his next step?
------------------------------
Do vote and comment if you like the chapter.
THANK YOU.

ANUSEENA-Tum Mile✓Where stories live. Discover now