Pehli mulaqaat

2.5K 123 124
                                    

Pehli mulaqaat kuch yun hui,
Aankhein unki humse mili
Aur humari unse,
Baatein aankhon ne karli zabaan ko bolne ki zarurat hi na padi.

Baat kuch aisi hain,
School ka tha wo pehla din
Kitne minute se hum chup baithe the,
Main rahi thi apni ungliyon se gin.

Teacher ne bola tha ki,
"Tum, tum acha padhte ho"
Iss ladki ko notes dedo
Zyada kuch nahin, thoda sabse
Introduction bhi karwa hi do.

Tha wo lunch period
Mujhe apni notes pakda ke
Wo raha tha, mujhe ghur
Ajeeb si khaamoshi chaayi thi zarur.

"Acha toh main lunch karne chalta hoon"
Bolkar woh class se nikal gaya
Meri aankhein uspar teek si gayi thi
Jazbaate meri zara tham si gayi thi.

Aakhri khaane ka niwala
Muh mein liye,
Jazbaat jo mere andar the,
Unhe main kya naam dun
Iss uljhan mein main uljhi thi.

Ab, usse baat karun toh kya karun
Inn khayalo mein hi main abhi tak
padi thi!

Thanks for reading. Do vote, if you liked it.

Ek Afsana (✓)Where stories live. Discover now